SHAWORDS

ishq mein har balaa ko aane do — Maya Khanna Raje Barelvi

"ishq mein har balaa ko aane do mujh ko meraa maqaam paane do guzri baaton ko kaise jaane duun ahd-e-maazi ko yaad aane do marhalon se gurez kyaa maanea himmat-e-zist ko baDhaane do khud samajh leinge dil ko vo mere un ko dil ke qarib aane do kal unhein bhi to phuul bannaa hai aaj ghunchon ko muskuraane do un ki dariyaa-dili ko dekhein ham aaj daaman hamein baDhaane do jin ko 'raaje' qarib samjhaa hai vo sataate hain to sataane do"
Urdu

عشق میں ہر بلا کو آنے دو مجھ کو میرا مقام پانے دو گزری باتوں کو کیسے جانے دوں عہد ماضی کو یاد آنے دو مرحلوں سے گریز کیا مانع ہمت زیست کو بڑھانے دو خود سمجھ لیں گے دل کو وہ میرے ان کو دل کے قریب آنے دو کل انہیں بھی تو پھول بننا ہے آج غنچوں کو مسکرانے دو ان کی دریا دلی کو دیکھیں ہم آج دامن ہمیں بڑھانے دو جن کو راجےؔ قریب سمجھا ہے وہ ستاتے ہیں تو ستانے دو

Hindi

इश्क़ में हर बला को आने दो मुझ को मेरा मक़ाम पाने दो गुज़री बातों को कैसे जाने दूँ अहद-ए-माज़ी को याद आने दो मरहलों से गुरेज़ क्या माने' हिम्मत-ए-ज़ीस्त को बढ़ाने दो ख़ुद समझ लेंगे दिल को वो मेरे उन को दिल के क़रीब आने दो कल उन्हें भी तो फूल बनना है आज ग़ुंचों को मुस्कुराने दो उन की दरिया-दिली को देखें हम आज दामन हमें बढ़ाने दो जिन को 'राजे' क़रीब समझा है वो सताते हैं तो सताने दो

ishq meñ har balā ko aane do
Maya Khanna Raje Barelvi
Maya Khanna Raje Barelvi
Maya Khanna Raje Barelvi
poet25 quotes

More by Maya Khanna Raje Barelvi

View all →
Quote
"hazaar maslahat-e-vaqt saath saath rahi junun ke saamne baazi khirad ki maat rahi jahaan bhi main ne imaarat kaa ehtiraam kiyaa vahin pe ruuTh ke mujh se miri hayaat rahi tiri nigaah-e-karam par yaqin kyaa aayaa fareb-e-husn mein ye saari kaaenaat rahi vo ik kali ne chaTak kar chaman ko samjhaa di jo baat-chit sitaaron se saari raat rahi khirad ne laakh dikhaain vafaa ki tasvirein miri nigaah magar jaanib-e-furaat rahi vo dasht ho ki falak-bos gumbad-o-mehraab gharaz ki ho ke mohabbat ki vaardaat rahi ye apne apne samajhne kaa farq hai 'raaje' kahaan nigaah-e-karam nazr-e-iltifaat rahi"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"ye fitrat ki haqiqat hai jo jhuTlaai nahin jaati hai kyaa shai putlaa-e-khaaki mein jo paai nahin jaati huzur-e-husn mein ye ishq ki khuddaariyaan naadaan tamannaa arz ki jaati hai farmaai nahin jaati mujhe ai dil usi kuche usi mahfil mein phir le chal tabiat mai-kade mein mujh se bahlaai nahin jaati miraa ronaa mire bas mein nahin hai naaseh-e-mushfiq ghaTaa ye khud baras jaati hai barsaai nahin jaati zaraa saa guftugu mein moD ho to chaunk uThti huun miri divaangi se itni daanaai nahin jaati na vo divaangi hai ab na vo sahraa na vo kaanTe magar talvon se shaan-e-aabla-paai nahin jaati un aankhon se ziyaa-e-mehr ki ummid ai 'raaje' jin aankhon mein mohabbat ki ramaq paai nahin jaati"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"chaunk uThe aql vaale ye kyaa kah diyaa husn ko main ne apnaa khudaa kah diyaa nur-e-dil se hai raushan jahaan-e-vafaa dil ko main ne charaagh-e-vafaa kah diyaa phuul muskaae kaliyon ne angDaai li ai nasim-e-sahar tu ne kyaa kah diyaa main ne dil mein koi baat rakkhi nahin main ne har baat ko barmalaa kah diyaa meri rudaad-e-gham khaa gai hai mujhe sunne vaalon ne to vaah-vaa kah diyaa log le jaaeinge su-e-daar-o-rasan ham ne dil kaa agar muddaaa kah diyaa apnaa sheva rahaa 'raaje' kyaa saadgi ham ne un ki jafaa ko vafaa kah diyaa"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi
Quote
"yaqin-o-ilm ki fazaa na shahr mein na gaanv mein kisi kaa koi muddaaa na shahr mein na gaanv mein samajh sake jo raaste mein gardishon ki chaal ko koi bhi aisaa rahnumaa na shahr mein na gaanv mein sisak rahi hain izzatein uchhal rahi hain pagDiyaan sharaafaton se vaasta na shahr mein na gaanv mein vatan mein luuT ho rahi taraqqiyon ke naam par numud-e-subh-e-irtiqaa na shahr mein na gaanv mein hon munaqid qadam-qadam mohabbaton ki mahfilein huaa hai aisaa faisla na shahr mein na gaanv mein"
Maya Khanna Raje BarelviMaya Khanna Raje Barelvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb