SHAWORDS

jaate vaqt tujhe to ham hanstaa dekheinge — Ankit Maurya

HomeAnkit MauryaGhazal
"jaate vaqt tujhe to ham hanstaa dekheinge phir aaine mein khud kaa ronaa dekheinge ek dafa ham ne tum ko ji bhar dekhaa thaa ham baad tumhaare ab kyaa duniyaa dekheinge aap ne meri aankhon mein dariyaa dekhaa hai thoDaa ruk jaaein to phir sahraa dekheinge un aankhon mein aur kisi kaa chehra dekhaa ham is se ziyaada kyaa aur buraa dekheinge kaun nibhaataa hai taa-umr kisi se rishta phir tujh ko bhi ham hairat se kyaa dekheinge"
Urdu

جاتے وقت تجھے تو ہم ہنستا دیکھیں گے پھر آئینے میں خود کا رونا دیکھیں گے ایک دفعہ ہم نے تم کو جی بھر دیکھا تھا ہم بعد تمہارے اب کیا دنیا دیکھیں گے آپ نے میری آنکھوں میں دریا دیکھا ہے تھوڑا رک جائیں تو پھر صحرا دیکھیں گے ان آنکھوں میں اور کسی کا چہرہ دیکھا ہم اس سے زیادہ کیا اور برا دیکھیں گے کون نبھاتا ہے تا عمر کسی سے رشتہ پھر تجھ کو بھی ہم حیرت سے کیا دیکھیں گے

Hindi

जाते वक़्त तुझे तो हम हँसता देखेंगे फिर आईने में ख़ुद का रोना देखेंगे एक दफ़ा हम ने तुम को जी भर देखा था हम बा'द तुम्हारे अब क्या दुनिया देखेंगे आप ने मेरी आँखों में दरिया देखा है थोड़ा रुक जाएँ तो फिर सहरा देखेंगे उन आँखों में और किसी का चेहरा देखा हम इस से ज़ियादा क्या और बुरा देखेंगे कौन निभाता है ता-उम्र किसी से रिश्ता फिर तुझ को भी हम हैरत से क्या देखेंगे

jaate vaqt tujhe to ham hañstā dekheñge
Ankit Maurya
Ankit Maurya
Ankit Maurya
poet48 quotes

More by Ankit Maurya

View all →
Quote
"sadaaein detaa rahtaa hai ki ai maulaa dikhaai de tu yaani chaahtaa hai ki vo hai kaisaa dikhaai de nikal baahar tu in dair-o-haram ke masalon se phir mohabbat hi mohabbat ki tujhe duniyaa dikhaai de main mandir mein bhi jaataa huun main masjid mein bhi jaaungaa khudaa har samt hi mujh ko bas ik jaisaa dikhaai de na jaane rabt ye kaisaa hai us insaan se meraa kabhi jo muund luun aankhein vahi chehra dikhaai de ye jo hai ishq kaa rasta ye aisaa ek rasta hai jahaan koi nahin manzil faqat rasta dikhaai de"
Ankit MauryaAnkit Maurya

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari