"hai zaruri miri zindagi ke liye lauT aao ghaDi do ghaDi ke liye tere jaane se aisi hui tirgi dil jalaanaa paDaa raushni ke liye ham ne dekhi hai un ki bhi ranginiyaan vo jo mashhur hain saadgi ke liye jaan jaati hai yuun to judaai mein par ham judaa honge teri khushi ke liye raah takti hain meri bhi nadiyaan kai khud ko pyaasaa rakhaa ik nadi ke liye hausla hai to laD zindagi se ai dost buzdili chaahiye khud-kushi ke liye"
hadein baDhne lagi thi tirgi ki — Ankit Maurya
"hadein baDhne lagi thi tirgi ki kami jab ho gai thi raushni ki khudaa tu hi bataa kis baat pe ye sazaa ham ko mili hai zindagi ki koi kartaa nahin hai intizaar ab zarurat bhi nahin paDti ghaDi ki karein duniyaa jahaan ki fikr kyon ham hamaari umr hai aavaargi ki ham ik muddat se roe jaa rahe hain chukaani paD rahi qimat hansi ki khushi mein yaad naa aai khudaa ki jab aayaa gham usi ki bandagi ki main ab har chiiz se uktaa chukaa huun mujhe mat do duaaein zindagi ki"
حدیں بڑھنے لگی تھی تیرگی کی کمی جب ہو گئی تھی روشنی کی خدا تو ہی بتا کس بات پہ یہ سزا ہم کو ملی ہے زندگی کی کوئی کرتا نہیں ہے انتظار اب ضرورت بھی نہیں پڑتی گھڑی کی کریں دنیا جہاں کی فکر کیوں ہم ہماری عمر ہے آوارگی کی ہم اک مدت سے روئے جا رہے ہیں چکانی پڑ رہی قیمت ہنسی کی خوشی میں یاد نا آئی خدا کی جب آیا غم اسی کی بندگی کی میں اب ہر چیز سے اکتا چکا ہوں مجھے مت دو دعائیں زندگی کی
हदें बढ़ने लगी थी तीरगी की कमी जब हो गई थी रौशनी की ख़ुदा तू ही बता किस बात पे ये सज़ा हम को मिली है ज़िंदगी की कोई करता नहीं है इंतिज़ार अब ज़रूरत भी नहीं पड़ती घड़ी की करें दुनिया जहाँ की फ़िक्र क्यों हम हमारी उम्र है आवारगी की हम इक मुद्दत से रोए जा रहे हैं चुकानी पड़ रही क़ीमत हँसी की ख़ुशी में याद ना आई ख़ुदा की जब आया ग़म उसी की बंदगी की मैं अब हर चीज़ से उक्ता चुका हूँ मुझे मत दो दुआएँ ज़िंदगी की

More by Ankit Maurya
View all →"sadaaein detaa rahtaa hai ki ai maulaa dikhaai de tu yaani chaahtaa hai ki vo hai kaisaa dikhaai de nikal baahar tu in dair-o-haram ke masalon se phir mohabbat hi mohabbat ki tujhe duniyaa dikhaai de main mandir mein bhi jaataa huun main masjid mein bhi jaaungaa khudaa har samt hi mujh ko bas ik jaisaa dikhaai de na jaane rabt ye kaisaa hai us insaan se meraa kabhi jo muund luun aankhein vahi chehra dikhaai de ye jo hai ishq kaa rasta ye aisaa ek rasta hai jahaan koi nahin manzil faqat rasta dikhaai de"
"donon taraf se rabt ke pahlu nikaal kar vo le gayaa hai aankh se aansu nikaal kar in ke sahaare kuchh nai si dhun banaaungaa laayaa huun us ke paanv se ghunghru nikaal kar vo husn bhi lage hai mujhe tab se 'aam saa jab se gayaa vo 'ishq kaa jaadu nikaal kar jhapki thi main ne aankh bhi jis ke yaqin par vo jaa chukaa hai niind mein baazu nikaal kar mujh ko badan nasib thaa par ruuh ke baghair us ne diyaa bhi phuul to khushbu nikaal kar"
"hamin karte the din raushan tumhaaraa hamin se bhar gayaa ab man tumhaaraa udaasi aa lage mere gale se ho khushiyon se bharaa daaman tumhaaraa kisi ne puchhaa thaa ham se khudaa hai zabaan pe naam thaa rasman tumhaaraa dilon ko toDnaa tum jaante ho yahi to hai miri jaan fan tumhaaraa hain siitaa ki tarah ham ghar se nikle to yaani raam saa thaa man tumhaaraa usi aangan ke TukDe kar rahe ho jahaan khelaa kabhi bachpan tumhaaraa"
"tu chhoD kar gayaa hai mujhe aise haal mein din raat uljhaa rahtaa huun tere khayaal mein ye Thiik baat hai ki main vaisaa nahin rahaa tu bhi badal gayaa hai bahut tiin saal mein duniyaa mein aa ke phans gayaa huun is tarah se main machhli phansi hui ho koi jaise jaal mein lahja hi thoDaa talkh hai duniyaa ke saamne vaise to Thik-Thaak huun main bol-chaal mein jin ko thaa phuul toDnaa vo toD liye gae maali lagaa hi rah gayaa bas dekh-bhaal mein"
"jab us ki hi agar marzi nahin hai kisi ki phir yahaan chalti nahin hai yahaan pe maut bhi sasti nahin hai piyaala hai magar whiskey nahin hai ye samjhein dekh kar duniyaa ke gham ko hamaaraa gham abhi kuchh bhi nahin hai mohabbat class hai jis mein kabhi bhi khayaal-e-yaar se chhuTTi nahin hai hamaare paas le ke aaiye dil hamaari husn se banti nahin hai sadaa to duur naiin hai raushni bhi dar-e-zindaan hai khiDki nahin hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"