SHAWORDS

jafaa se vafaa mustarad ho gai — Muztar Khairabadi

"jafaa se vafaa mustarad ho gai yahaan ham bhi qaail hain had ho gai nigaahon mein phirti hai aaThon pahar qayaamat bhi zaalim kaa qad ho gai azal mein jo ik laag tujh se hui vo aakhir ko daagh-e-abad ho gai miri intihaa-e-vafaa kuchh na puchh jafaa dekh jo laa-taad ho gai mukarte ho allaah ke saamne ab aisaa bhi kyaa jhuuT had ho gai taalluq jo palTaa to jhagDaa banaa mohabbat jo badli to kad ho gai vo aankhon ki hadd-e-nazar kab bane nazar khud vahaan jaa ke had ho gai jafaa se unhon ne diyaa dil pe daagh mukammal vafaa ki sanad ho gai qayaamat mein 'muztar' kisi se mile kahaan jaa ke gheraa hai had ho gai"
Urdu

جفا سے وفا مسترد ہو گئی یہاں ہم بھی قائل ہیں حد ہو گئی نگاہوں میں پھرتی ہے آٹھوں پہر قیامت بھی ظالم کا قد ہو گئی ازل میں جو اک لاگ تجھ سے ہوئی وہ آخر کو داغ ابد ہو گئی مری انتہائے وفا کچھ نہ پوچھ جفا دیکھ جو لا تعد ہو گئی مکرتے ہو اللہ کے سامنے اب ایسا بھی کیا جھوٹ حد ہو گئی تعلق جو پلٹا تو جھگڑا بنا محبت جو بدلی تو کد ہو گئی وہ آنکھوں کی حد نظر کب بنے نظر خود وہاں جا کے حد ہو گئی جفا سے انہوں نے دیا دل پہ داغ مکمل وفا کی سند ہو گئی قیامت میں مضطرؔ کسی سے ملے کہاں جا کے گھیرا ہے حد ہو گئی

Hindi

जफ़ा से वफ़ा मुस्तरद हो गई यहाँ हम भी क़ाइल हैं हद हो गई निगाहों में फिरती है आठों पहर क़यामत भी ज़ालिम का क़द हो गई अज़ल में जो इक लाग तुझ से हुई वो आख़िर को दाग़-ए-अबद हो गई मिरी इंतिहा-ए-वफ़ा कुछ न पूछ जफ़ा देख जो ला-तअ'द हो गई मुकरते हो अल्लाह के सामने अब ऐसा भी क्या झूट हद हो गई तअ'ल्लुक़ जो पल्टा तो झगड़ा बना मोहब्बत जो बदली तो कद हो गई वो आँखों की हद्द-ए-नज़र कब बने नज़र ख़ुद वहाँ जा के हद हो गई जफ़ा से उन्हों ने दिया दिल पे दाग़ मुकम्मल वफ़ा की सनद हो गई क़यामत में 'मुज़्तर' किसी से मिले कहाँ जा के घेरा है हद हो गई

jafā se vafā mustarad ho ga.ī
Muztar Khairabadi
Muztar Khairabadi
Muztar Khairabadi
poet268 quotes

More by Muztar Khairabadi

View all →
Quote
"jab kahaa tiir tiri aankh ne aksar maaraa chitvanein pher ke bole ki baraabar maaraa qadr kuchh bhi mire dil ki but-e-kaafir ne na ki zulf-e-pechaan se jo uljhaa to mire sar maaraa jaan be-maut khudaa bhi nahin letaa lekin tu ne be-maut hi logon ko sitamgar maaraa chand zarre meri miTTi ke faqat haath aae dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar maaraa ik musalmaan kaa dil toD diyaa kyaa kahnaa apne nazdik baDaa aap ne kaafar maaraa 'muztar' aisaa koi ab tak na huaa aur na ho maut ne haae 'abas daagh-e-sukhanavar maaraa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"kaise dil lagtaa haram mein daur-e-paimaana na thaa is liye phir aae kaabe se ki mai-khaana na thaa tum ne dekhi hi nahin taqdir ki taarikiyaan ik andheri gor thi furqat mein kaashaana na thaa majma-e-bait-ul-haram ki dhuum sunte the magar jaa ke jab dekhaa to un mein koi farzaana na thaa hashr mein us shokh kaa tarz-e-taghaaful dekhnaa mujh ko pahchaanaa nahin haalaanki begaana na thaa hashr mein aakhir use bhi chhoDte hi ban paDi khaana-e-madfan bhi goyaa apnaa kaashaana na thaa aisi kyaa biiti ki 'muztar' un buton par mar miTaa jaan de detaa vo kuchh aisaa to divaana na thaa"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"ik naqsh-e-khayaal ru-ba-ru hai jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai har phuul ke saath ek kaanTaa har dost ke saath ik adu hai dil hai to hazaar tujh se achchhe aisaa hi to ik baDaa vo tu hai dushman ke jigar kaa khaar main huun aur us ke gale kaa haar tu hai daaman jo hai parda-daar-e-vahshat is mein bhi kai jagah rafu hai main aap hi aap ro rahaa huun kuchh aap hi aap guftugu hai mahshar mein kisi kaa haae kahnaa ab aap ke haath aabru hai o ghair ko aankh dene vaale 'muztar' bhi nigaah-e-ru-ba-ru hai"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi
Quote
"jaan ye kah ke but-e-hosh-rubaa ne le li koi puchhe to ye kahnaa ki khudaa ne le li gul-e-maqsud mein avval to mahak thi hi nahin aur jo thi bhi vo hasrat ki havaa ne le li sab se pahle to siyaahi miri qismat ko mili jo bachi thi vo tiri zulf-e-dotaa ne le li jaan kambakht mohabbat mein bachaae na bachi but-e-kaafir se jo chhuTi to khudaa ne le li dam-e-aakhir but-e-bedard kaa daaman chhuTaa mere haathon se baDi chiiz khudaa ne le li chal basi jaan to is baat kaa gham kyaa 'muztar' ik amaanat thi khudaa ki so khudaa ne le li"
Muztar KhairabadiMuztar Khairabadi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud