SHAWORDS

kis or le chali hai havaa-e-numu mujhe — Akhtar Usman

HomeAkhtar UsmanGhazal
"kis or le chali hai havaa-e-numu mujhe miltaa hai gaam-gaam ik aashufta-rau mujhe kahnaa to aur kuchh thaa dam-e-guftugu mujhe ik or samt Daal gae rang-o-bu mujhe donon hi dard-kesh the donon hi besh the main tujh ko kam samajhtaa rahaa aur tu mujhe bazm-e-numud-o-naam saji shor saa uThaa main chal diyaa ki raas na thi haao-hu mujhe 'akhtar' baDi kaDi thi masaafat aur us ke baad mujh par khulaa ki apni hi thi justuju mujhe"
Urdu

کس اور لے چلی ہے ہوائے نمو مجھے ملتا ہے گام گام اک آشفتہ رو مجھے کہنا تو اور کچھ تھا دم گفتگو مجھے اک اور سمت ڈال گئے رنگ و بو مجھے دونوں ہی درد کیش تھے دونوں ہی بیش تھے میں تجھ کو کم سمجھتا رہا اور تو مجھے بزم نمود و نام سجی شور سا اٹھا میں چل دیا کہ راس نہ تھی ہاؤ ہو مجھے اخترؔ بڑی کڑی تھی مسافت اور اس کے بعد مجھ پر کھلا کہ اپنی ہی تھی جستجو مجھے

Hindi

किस ओर ले चली है हवा-ए-नुमू मुझे मिलता है गाम-गाम इक आशुफ़्ता-रौ मुझे कहना तो और कुछ था दम-ए-गुफ़्तुगू मुझे इक ओर सम्त डाल गए रंग-ओ-बू मुझे दोनों ही दर्द-केश थे दोनों ही बेश थे मैं तुझ को कम समझता रहा और तू मुझे बज़्म-ए-नुमूद-ओ-नाम सजी शोर सा उठा मैं चल दिया कि रास न थी हाओ-हू मुझे 'अख़्तर' बड़ी कड़ी थी मसाफ़त और उस के बाद मुझ पर खुला कि अपनी ही थी जुस्तुजू मुझे

kis or le chalī hai havā-e-numū mujhe
Akhtar Usman
Akhtar Usman
Akhtar Usman
poet19 quotes

More by Akhtar Usman

View all →

More on Dard

View all →
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar