SHAWORDS

koi hangaama sar-e-bazm uThaayaa jaae — Zehra Nigaah

HomeZehra NigaahGhazal
"koi hangaama sar-e-bazm uThaayaa jaae kuchh kiyaa jaae charaaghon ko bujhaayaa jaae bhulnaa khud ko to aasaan hai bhulaa baiThaa huun vo sitamgar jo na bhule se bhulaayaa jaae jis ke baais hain ye chehre ki lakirein maghmum ghair-mumkin hai ki manzar vo dikhaayaa jaae shaam khaamosh hai aur chaand nikal aayaa hai kyuun na ik naqsh hi paani pe banaayaa jaae zakhm hanste hain to ye fasl-e-bahaar aati hai haan isi baat pe phir zakhm lagaayaa jaae"
Urdu

کوئی ہنگامہ سر بزم اٹھایا جائے کچھ کیا جائے چراغوں کو بجھایا جائے بھولنا خود کو تو آساں ہے بھلا بیٹھا ہوں وہ ستم گر جو نہ بھولے سے بھلایا جائے جس کے باعث ہیں یہ چہرے کی لکیریں مغموم غیرممکن ہے کہ منظر وہ دکھایا جائے شام خاموش ہے اور چاند نکل آیا ہے کیوں نہ اک نقش ہی پانی پہ بنایا جائے زخم ہنستے ہیں تو یہ فصل بہار آتی ہے ہاں اسی بات پہ پھر زخم لگایا جائے

Hindi

कोई हंगामा सर-ए-बज़्म उठाया जाए कुछ किया जाए चराग़ों को बुझाया जाए भूलना ख़ुद को तो आसाँ है भुला बैठा हूँ वो सितमगर जो न भूले से भुलाया जाए जिस के बाइस हैं ये चेहरे की लकीरें मग़्मूम ग़ैर-मुमकिन है कि मंज़र वो दिखाया जाए शाम ख़ामोश है और चाँद निकल आया है क्यूँ न इक नक़्श ही पानी पे बनाया जाए ज़ख़्म हँसते हैं तो ये फ़स्ल-ए-बहार आती है हाँ इसी बात पे फिर ज़ख़्म लगाया जाए

koī hañgāma sar-e-bazm uThāyā jaa.e
Zehra Nigaah
Zehra Nigaah
Zehra Nigaah
poet80 quotes

More by Zehra Nigaah

View all →
Quote
"qurbaton se kab talak apne ko bahlaaeinge ham Doriyaan mazbut hongi chhuTte jaaeinge ham teraa rukh saae ki jaanib meri aankhein su-e-mahr dekhnaa hai kis jagah kis vaqt mil paaeinge ham ghar ke saare phuul hangaamon ki raunaq ho gae khaali gul-daanon se baatein karke so jaaeinge ham adh-khuli takiye pe hogi ilm-o-hikmat ki kitaab vasvason vahmon ke tufaanon mein ghar jaaeinge ham us ne aahista se 'zahra' kah diyaa dil khil uThaa aaj se is naam ki khushbu mein bas jaaeinge ham"
Zehra NigaahZehra Nigaah

More on Chaand

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar