"fasaana-e-gham-e-dil mukhtasar nahin hotaa ab us gali se hamaaraa guzar nahin hotaa hazaar aise ki phirte hain jo khalaaon mein magar ik ham ki vatan mein safar nahin hotaa jise masil samajhte ho be-misaal hai vo jo ek baar ho baar-e-digar nahin hotaa khud apnaa saath bhi ham ko giraan guzartaa hai safar vahi hai jahaan ham-safar nahin hotaa amiir us kaa lahu pi rahaa hai barson se magar gharib pe koi asar nahin hotaa khalaa se guzre hain mirrikh par bhi pahunche hain magar kisi kaa falak par guzar nahin hotaa"
kuchh na khat mein na kuchh javaab mein hai — Khalid Hasan Qadiri
"kuchh na khat mein na kuchh javaab mein hai jo bhi kuchh hai tire hisaab mein hai ye vafaa bhi jafaa ke baab mein hai jaan meri bhi ik azaab mein hai tere jalve se mehr-e-aalam-taab nuur jis tarah maahtaab mein hai apni hai aur manzil-e-maqsud aap kaa kucha paaturaab mein hai kuchh na samjhe haqiqat-e-aalam saaraa hangaama ek khvaab mein hai tum ne kyaa baat raat kah di thi ghair bhi aaj iztiraab mein hai rashk-e-ishrat hai lazzat-e-hasrat kuchh gunah mein hai ne savaab mein hai hosh aaegaa ab qayaamat ko saari duniyaa abhi to khvaab mein hai jab se vaada kiyaa hai aane kaa 'qaadri' un ke roab-o-daab mein hai"
کچھ نہ خط میں نہ کچھ جواب میں ہے جو بھی کچھ ہے ترے حساب میں ہے یہ وفا بھی جفا کے باب میں ہے جان میری بھی اک عذاب میں ہے تیرے جلوے سے مہر عالم تاب نور جس طرح ماہتاب میں ہے اپنی ہے اور منزل مقصود آپ کا کوچہ پاتراب میں ہے کچھ نہ سمجھے حقیقت عالم سارا ہنگامہ ایک خواب میں ہے تم نے کیا بات رات کہہ دی تھی غیر بھی آج اضطراب میں ہے رشک عشرت ہے لذت حسرت کچھ گنہ میں ہے نے ثواب میں ہے ہوش آئے گا اب قیامت کو ساری دنیا ابھی تو خواب میں ہے جب سے وعدہ کیا ہے آنے کا قادریؔ ان کے رعب و داب میں ہے
कुछ न ख़त में न कुछ जवाब में है जो भी कुछ है तिरे हिसाब में है ये वफ़ा भी जफ़ा के बाब में है जान मेरी भी इक अज़ाब में है तेरे जल्वे से मेहर-ए-आलम-ताब नूर जिस तरह माहताब में है अपनी है और मंज़िल-ए-मक़्सूद आप का कूचा पातुराब में है कुछ न समझे हक़ीक़त-ए-आलम सारा हंगामा एक ख़्वाब में है तुम ने क्या बात रात कह दी थी ग़ैर भी आज इज़्तिराब में है रश्क-ए-इशरत है लज़्ज़त-ए-हसरत कुछ गुनह में है ने सवाब में है होश आएगा अब क़यामत को सारी दुनिया अभी तो ख़्वाब में है जब से वा'दा किया है आने का 'क़ादरी' उन के रोब-ओ-दाब में है

More by Khalid Hasan Qadiri
View all →"aadmi bhi aadmi kaa raazdaan hotaa nahin be khabar rahtaa hai lekin bad-gumaan hotaa nahin zahmatein yaksaan makaan-o-laa-makaan se kyaa huaa kyaa khalaaon se pare bhi aasmaan hotaa nahin ham ki khud rah-rav bhi hain rahbar bhi hain rahzan bhi hain vaan pahunchte hain jahaan par kaarvaan hotaa nahin baDh gae ikhvaan-e-yusuf se ye ikhvaanus-safaa pheink dete hain vahaan jis jaa kuaan hotaa nahin hai jaraahat-aafrin darmaan-e-dard-e-laa-davaa shoala kartaa hai sharar-baari dhuaan hotaa nahin husn-e-be-pardaa harif-e-taab-e-nazzaara nahin ho nazar ke saamne lekin ayaan hotaa nahin marg-e-be-hangaam apne shahr kaa maamul hai log mar jaate hain koi nauha-khvaan hotaa nahin jo bhi ho jis haal mein hai zindagi us ko aziiz jaan-e-jaan kahne se kuchh jaan-e-jahaan hotaa nahin be-adaa-kaari bhi khaamoshi se mar jaate hain log yaan pe koi khel mirzaa saahebaan hotaa nahin"
"mere aaine mein tum surat-e-zebaa dekho tum ne ab tak jo na dekhaa ho vo jalvaa dekho ik jahaan daavat-e-nazzaara hai kyaa kyaa dekho husn-e-didaar-talab kaa bhi tamaashaa dekho jaagti aankhon ke khvaabon ki bhi taabirein hon khvaab kal raat jo dekhaa thaa adhuraa dekho hai vahi maulaa vahi apnaa vakil aur nasir tum yahud aur nasaaraa kaa sahaaraa dekho kurra-e-arz bhi mehvar se haTaa jaataa hai be-jahat husn kaa ik ye bhi tamaashaa dekho surma-e-shams-o-qamar raahat-e-chashm-e-nargis dil-e-binaa se hi kaifiyyat-e-fardaa dekho kahkashaan luuT di hai haath baDhaa kar ham ne ab khalaa se bhi pare jaa ke ujaalaa dekho ham khalaaon se bhi angaare lapak lete hain kis jagah girtaa hai TuuTaa huaa taaraa dekho nai duniyaa mein nae chaand sitaare laao 'qaadri' ne bhi lagaayaa hai ye shosha dekho"
"buton se kuchh na huaa jo huaa khudaa se huaa davaa se kuchh na banaa jo huaa du'aa se huaa bharam daraazi-e-daamaan-e-yaar kaa na rahaa ajiib kaam mire dast-e-naa-rasaa se huaa dilon ko sabr-o-sukun to na mil sakaa lekin koi to kaam tiri chashm-e-baa-hayaa se huaa lagaa di aag si jangal mein naa-bakaaron ke ye faaeda to miri aatishin-navaa se huaa dilon ko ishq ne bakhshi hayaat-e-gham-afzaa ajab nishaana khataa tir-e-be-khataa se huaa qalandaron ne ulaT di bisaat-e-mai-khaana na rind se huaa aur kuchh na paarsaa se huaa mukhaalifon ki bhi jo dushmani se ho na sakaa vo kaam ik mire dam-saaz-o-aashnaa se huaa na kuchh bhi kar sake ashaab-e-fil the to bahut jo kuchh huaa tire darvesh-e-be-navaa se huaa ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi na raushni se huaa kuchh na kuchh havaa se huaa vo ek qatl kaa ilzaam sar pe thaa so rahaa qisaas se na huaa kuchh na khun-bahaa se huaa"
"jalva-e-nau-bahaar ne luuT liyaa luTaa diyaa gesu-e-mushk-baar ne luuT liyaa luTaa diyaa bazm mein kah ke haal-e-dil un ko kyaa hai muzmahil dida-e-ashk-baar ne luuT liyaa luTaa diyaa haae vo dil-farebiyaan husn-e-nazar-fareb ki jalva-e-husn-e-yaar ne luuT liyaa luTaa diyaa pursish-e-gham pe haath se daaman-e-zabt chhuT gayaa mehr-e-nigaah-e-yaar ne luuT liyaa luTaa diyaa un ki nazar ki kyaa khataa dil se huaa qusur-e-shauq apne hi raaz-daar ne luuT liyaa luTaa diyaa haae vo chashm-e-nargis-e-jaam-e-sharaab-e-aatishin gardish-e-chashm-e-yaar ne luuT liyaa luTaa diyaa aae bhi yaa na aae ab mujh ko gharaz bahaar se kaif-e-gham-e-bahaar ne luuT liyaa luTaa diyaa daavar-e-hashr ke huzur shikve zabaan pe ruk gae dida-e-sharmsaar ne luuT liyaa luTaa diyaa aah-e-jigar-khraash se nazm-e-jahaan badal diyaa 'khaalid'-e-dil-e-figaar ne luuT liyaa luTaa diyaa"
"vo ek shakhs ki jo saath saath phirtaa thaa nazar jo badli to phir vo nazar nahin aayaa phiraa kiye hain chahl saal dasht-e-vahshat mein kisi ko yaad tiraa rahguzar nahin aayaa bahut jataayaa kisi ne ki saath saath thaa vo hamein to yaad koi ham-safar nahin aayaa kahaa thaa shaam se pahle hi lauT aaegaa hamein khayaal rahaa raat bhar nahin aayaa thake hue the bahut baiTh jaate saae mein hamaari raah mein koi shajar nahin aayaa ye raah-e-koh-e-nidaa hai qadam na apne baDhaa vahaan se lauT ke koi bashar nahin aayaa bahut hudud-e-zamaan-o-makaan se duur gae hamein to raas kabhi bhi safar nahin aayaa nahin ki yaad pataa us ko mere ghar kaa na thaa tamaam shahr mein ghumaa idhar nahin aayaa misaal-e-saaya thaa vo phir bhi duur duur rahaa hazaar saal hue lauT kar nahin aayaa rahaa raqib se hujjat mein 'qaadri' masruf magar vo le ke tumhaari khabar nahin aayaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"