"dil le ke hasinon ne ye dastur nikaalaa dil jis kaa liyaa us ko bahut duur nikaalaa zaahid ko kisi aur ki baatein nahin aatin aayaa to vahi tazkira-e-hur nikaalaa dushman ko ayaadat ke liye yaar ne bhejaa achchhaa ye ilaaj-e-dil-e-ranjur nikaalaa ai tir-e-sitam chal tiri daavat hai mire ghar zakhm-e-dil-e-naashaad ne ankur nikaalaa vo tazkira-e-ghair pe jhunjhlaa ke ye bole phir aap ne 'muztar' vahi mazkur nikaalaa"
kyaa kahun hasrat-e-didaar ne kyaa kyaa khinchaa — Muztar Khairabadi
"kyaa kahun hasrat-e-didaar ne kyaa kyaa khinchaa kabhi daaman tiraa khinchaa kabhi pardaa khinchaa naqsh-e-ummid mire shauq ne ulTaa khinchaa mujh se khinchte hi gae vo unhein jitnaa khinchaa vo tire dil mein hamaari bhi jagah kar degaa jis ne is aankh ke til mein tiraa naqshaa khinchaa khvaab is dil pe tiri aankh ne Dore Daale khuub kaajal ne tiri aankh mein Doraa khinchaa taan liin donon bhavein Daal ke nazrein us ne tiir chhoDe to kamaanon ne bhi chillaa khinchaa zabt-e-fariyaad se 'muztar' miri saansein uljhin rasm-e-fariyaad ne uupar ko kalejaa khinchaa"
کیا کہوں حسرت دیدار نے کیا کیا کھینچا کبھی دامن ترا کھینچا کبھی پردا کھینچا نقش امید مرے شوق نے الٹا کھینچا مجھ سے کھنچتے ہی گئے وہ انہیں جتنا کھینچا وہ ترے دل میں ہماری بھی جگہ کر دے گا جس نے اس آنکھ کے تل میں ترا نقشا کھینچا خواب اس دل پہ تری آنکھ نے ڈورے ڈالے خوب کاجل نے تری آنکھ میں ڈورا کھینچا تان لیں دونوں بھویں ڈال کے نظریں اس نے تیر چھوڑے تو کمانوں نے بھی چلا کھینچا ضبط فریاد سے مضطرؔ مری سانسیں الجھیں رسم فریاد نے اوپر کو کلیجا کھینچا
क्या कहूँ हसरत-ए-दीदार ने क्या क्या खींचा कभी दामन तिरा खींचा कभी पर्दा खींचा नक़्श-ए-उम्मीद मिरे शौक़ ने उल्टा खींचा मुझ से खिंचते ही गए वो उन्हें जितना खींचा वो तिरे दिल में हमारी भी जगह कर देगा जिस ने इस आँख के तिल में तिरा नक़्शा खींचा ख़्वाब इस दिल पे तिरी आँख ने डोरे डाले ख़ूब काजल ने तिरी आँख में डोरा खींचा तान लीं दोनों भवें डाल के नज़रें उस ने तीर छोड़े तो कमानों ने भी चिल्ला खींचा ज़ब्त-ए-फ़रियाद से 'मुज़्तर' मिरी साँसें उलझीं रस्म-ए-फ़रियाद ने ऊपर को कलेजा खींचा

More by Muztar Khairabadi
View all →"jab kahaa tiir tiri aankh ne aksar maaraa chitvanein pher ke bole ki baraabar maaraa qadr kuchh bhi mire dil ki but-e-kaafir ne na ki zulf-e-pechaan se jo uljhaa to mire sar maaraa jaan be-maut khudaa bhi nahin letaa lekin tu ne be-maut hi logon ko sitamgar maaraa chand zarre meri miTTi ke faqat haath aae dasht-e-ghurbat ke bagulon ne jo chakkar maaraa ik musalmaan kaa dil toD diyaa kyaa kahnaa apne nazdik baDaa aap ne kaafar maaraa 'muztar' aisaa koi ab tak na huaa aur na ho maut ne haae 'abas daagh-e-sukhanavar maaraa"
"kaise dil lagtaa haram mein daur-e-paimaana na thaa is liye phir aae kaabe se ki mai-khaana na thaa tum ne dekhi hi nahin taqdir ki taarikiyaan ik andheri gor thi furqat mein kaashaana na thaa majma-e-bait-ul-haram ki dhuum sunte the magar jaa ke jab dekhaa to un mein koi farzaana na thaa hashr mein us shokh kaa tarz-e-taghaaful dekhnaa mujh ko pahchaanaa nahin haalaanki begaana na thaa hashr mein aakhir use bhi chhoDte hi ban paDi khaana-e-madfan bhi goyaa apnaa kaashaana na thaa aisi kyaa biiti ki 'muztar' un buton par mar miTaa jaan de detaa vo kuchh aisaa to divaana na thaa"
"ik naqsh-e-khayaal ru-ba-ru hai jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai har phuul ke saath ek kaanTaa har dost ke saath ik adu hai dil hai to hazaar tujh se achchhe aisaa hi to ik baDaa vo tu hai dushman ke jigar kaa khaar main huun aur us ke gale kaa haar tu hai daaman jo hai parda-daar-e-vahshat is mein bhi kai jagah rafu hai main aap hi aap ro rahaa huun kuchh aap hi aap guftugu hai mahshar mein kisi kaa haae kahnaa ab aap ke haath aabru hai o ghair ko aankh dene vaale 'muztar' bhi nigaah-e-ru-ba-ru hai"
"teri rangat bahaar se nikli phuuT kar laala-zaar se nikli dil jo dhoyaa to tu nazar aayaa kyaa hi surat ghubaar se nikli chheD kar aazmaa liyaa ham ne teri aavaaz taar se nikli ruuh meri tire tajassus mein jism-e-naa-paaidaar se nikli muft barbaad hai miri hasrat kyuun dil-e-be-qaraar se nikli bahr-e-taazim hashr barpaa hai kis ki mayyat mazaar se nikli"
"jaan ye kah ke but-e-hosh-rubaa ne le li koi puchhe to ye kahnaa ki khudaa ne le li gul-e-maqsud mein avval to mahak thi hi nahin aur jo thi bhi vo hasrat ki havaa ne le li sab se pahle to siyaahi miri qismat ko mili jo bachi thi vo tiri zulf-e-dotaa ne le li jaan kambakht mohabbat mein bachaae na bachi but-e-kaafir se jo chhuTi to khudaa ne le li dam-e-aakhir but-e-bedard kaa daaman chhuTaa mere haathon se baDi chiiz khudaa ne le li chal basi jaan to is baat kaa gham kyaa 'muztar' ik amaanat thi khudaa ki so khudaa ne le li"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"