Quote
"ik e'timaad ajab saa yaqin pe rakhtaa huun vo kyaa hai main jise apni jabin pe rakhtaa huun yahi to baat hui jaa rahi hai mere khilaaf kahin pe milti hai ik shai kahin pe rakhtaa huun jo chiiz dekhne ki hai vo baar baar rahe main is tarah kaa tamaasha zamin pe rakhtaa huun ghubaar hoti hui jaa rahi hai ye duniyaa hai haan kaa shaaiba jis ko nahin pe rakhtaa huun kise khabar hai ye kis vaqt kaam aa jaae hai khaak khaak jise aastin pe rakhtaa huun havaa ho yaa ki na ho 'tur' main charaagh-e-ishq huun chaahtaa jahaan rakhnaa vahin pe rakhtaa huun"
