SHAWORDS

lamhe shab-e-visaal ke sarf-e-visaal ho gae — Imdad Akash

HomeImdad AkashGhazal
"lamhe shab-e-visaal ke sarf-e-visaal ho gae us ko bhi niind aa gai ham bhi niDhaal ho gae kaise hasin log the kaisi hasin mahfilein vo jo khayaal-o-khvaab the khvaab-o-khayaal ho gae main bhi thaa rashk-e-aaina tum bhi the rashk-e-aaina main bhi sifaal ho gayaa tum bhi sifaal ho gae mujh ko thi un ki zaat se aisi musaabqat ki bas jab main banaa misaal to vo be-misaal ho gae chashm vo naaz-aafrin khul ke baras paDein kahin ham se kai nihaal-e-gham phir se nihaal ho gae baalon mein barf thi yahaan khvaahish bhi sard thi yahaan us ne jo aanch di to ham shoala-khisaal ho gae gutthi hai utni gunjlak asraar-e-kaaenaat ki jitne mire javaab the saare savaal ho gae kaayaa-kalap hui hai yuun gurgaan-e-dasht-e-sus ki girya-kunaan jamaal-ju zohra-jamaal ho gae"
Urdu

لمحے شب وصال کے صرف وصال ہو گئے اس کو بھی نیند آ گئی ہم بھی نڈھال ہو گئے کیسے حسین لوگ تھے کیسی حسین محفلیں وہ جو خیال و خواب تھے خواب و خیال ہو گئے میں بھی تھا رشک آئینہ تم بھی تھے رشک آئینہ میں بھی سفال ہو گیا تم بھی سفال ہو گئے مجھ کو تھی ان کی ذات سے ایسی مسابقت کہ بس جب میں بنا مثال تو وہ بے مثال ہو گئے چشم وہ ناز آفریں کھل کے برس پڑیں کہیں ہم سے کئی نہال غم پھر سے نہال ہو گئے بالوں میں برف تھی یہاں خواہش بھی سرد تھی یہاں اس نے جو آنچ دی تو ہم شعلہ خصال ہو گئے گتھی ہے اتنی گنجلک اسرار کائنات کی جتنے مرے جواب تھے سارے سوال ہو گئے کایا کلپ ہوئی ہے یوں گرگان دشت سوس کی گریہ کناں جمال جو زہرہ جمال ہو گئے

Hindi

लम्हे शब-ए-विसाल के सर्फ़-ए-विसाल हो गए उस को भी नींद आ गई हम भी निढाल हो गए कैसे हसीन लोग थे कैसी हसीन महफ़िलें वो जो ख़याल-ओ-ख़्वाब थे ख़्वाब-ओ-ख़याल हो गए मैं भी था रश्क-ए-आईना तुम भी थे रश्क-ए-आईना मैं भी सिफ़ाल हो गया तुम भी सिफ़ाल हो गए मुझ को थी उन की ज़ात से ऐसी मुसाबक़त कि बस जब मैं बना मिसाल तो वो बे-मिसाल हो गए चश्म वो नाज़-आफ़रीं खुल के बरस पड़ें कहीं हम से कई निहाल-ए-ग़म फिर से निहाल हो गए बालों में बर्फ़ थी यहाँ ख़्वाहिश भी सर्द थी यहाँ उस ने जो आँच दी तो हम शो'ला-ख़िसाल हो गए गुत्थी है उतनी गुंजलक असरार-ए-काएनात की जितने मिरे जवाब थे सारे सवाल हो गए काया-कलप हुई है यूँ गुरगान-ए-दश्त-ए-सूस की गिर्या-कुनाँ जमाल-जू ज़ोहरा-जमाल हो गए

lamhe shab-e-visāl ke sarf-e-visāl ho ga.e
Imdad Akash
Imdad Akash
Imdad Akash
poet21 quotes

More by Imdad Akash

View all →
Quote
"ahd-e-junun mein arsa-e-vahshat guzaarnaa jaise shab-e-visaal mein furqat guzaarnaa jaanaa suraagh-e-jauhar-e-takhliq DhunDne aur us ke baad aalam-e-hairat guzaarnaa karnaa hayaat pahlu-e-aivaan-e-dard mein rozaana ek roz-e-qayaamat guzaarnaa ab tak to hai uruus badan ke nasib mein zulfon pe khaak Daalnaa iddat guzaarnaa jivan sazaa-e-maut se pahle kaa khel hai sab ko hai ye mili hui mohlat guzaarnaa 'aakaash' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din phir taa-abad sukun ki haalat guzaarnaa"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"ne aadmi pasand na is ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aainaa-pasand do-chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo mo'tadil mizaaj thaa main intihaa pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar-shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand ghaughaa-e-marg chaaron taraf phailne lagaa kyaa is jahaan ko chhoD gae baadiya-pasand us par hi bhejtaa hai vo aafat bhi maut bhi shaayad use gharib kaa bachcha hai naa-pasand aakaash ek shakhs hai duniyaa se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
Imdad AkashImdad Akash

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb