"maahaul-e-dil-e-zaar abhi kyaa thaa abhi kyaa hai ye shahr bhi hairat-kada-e-hosh-rubaa hai ik vo hain ki asbaab-e-zamaana hain mulaazim ik ham ki mayassar na davaa hai na du'aa hai sab kaam dalilon se nahin chalte jahaan mein gar ham ko yaqin hai ki khudaa hai to khudaa hai tasvir-e-mukammal huun magar meraa musavvir lagtaa hai yahaan rakh ke mujhe bhuul gayaa hai bekaar hai divaaron se sar phoDnaa 'khaalid' kuchh daad-rasi ho to shikaayat bhi bajaa hai"
maaal-e-sabr hai meraa nashaat-e-hasrat-afzaai — Abdullah Khalid
"maaal-e-sabr hai meraa nashaat-e-hasrat-afzaai tabi'at bazm ki khugar magar qismat hai tanhaai achaanak un khayaal-angez aankhon mein chamak aai bas itni baat kaafi thi mujhe hone ko saudaai zahe-uzlat ki jaari hai ba-shakl-e-khvaab bedaari sar-e-shaam-e-tamannaa ehtimaam-e-bazm-aaraai 'adu ki fauj saf-basta musallah bhi munazzam bhi magar ham hain abhi gharq-e-khayaal-e-razm-aaraai savaal is kaa nahin viraan hai dil masala ye hai agar andar na thaa koi to phir kis ki sadaa aai darichon par koi bandish nahin thi aaj phir 'khaalid' koi bhuli hui khushbu havaa ke saath dar aai"
مآل صبر ہے میرا نشاط حسرت افزائی طبیعت بزم کی خوگر مگر قسمت ہے تنہائی اچانک ان خیال انگیز آنکھوں میں چمک آئی بس اتنی بات کافی تھی مجھے ہونے کو سودائی زہے عزلت کہ جاری ہے بہ شکل خواب بیداری سر شام تمنا اہتمام بزم آرائی عدو کی فوج صف بستہ مسلح بھی منظم بھی مگر ہم ہیں ابھی غرق خیال رزم آرائی سوال اس کا نہیں ویران ہے دل مسئلہ یہ ہے اگر اندر نہ تھا کوئی تو پھر کس کی صدا آئی دریچوں پر کوئی بندش نہیں تھی آج پھر خالدؔ کوئی بھولی ہوئی خوشبو ہوا کے ساتھ در آئی
मआल-ए-सब्र है मेरा नशात-ए-हसरत-अफ़्ज़ाई तबी'अत बज़्म की ख़ूगर मगर क़िस्मत है तन्हाई अचानक उन ख़याल-अंगेज़ आँखों में चमक आई बस इतनी बात काफ़ी थी मुझे होने को सौदाई ज़हे-उज़्लत कि जारी है ब-शक्ल-ए-ख़्वाब बेदारी सर-ए-शाम-ए-तमन्ना एहतिमाम-ए-बज़्म-आराई 'अदू की फ़ौज सफ़-बस्ता मुसल्लह भी मुनज़्ज़म भी मगर हम हैं अभी ग़र्क़-ए-ख़याल-ए-रज़्म-आराई सवाल इस का नहीं वीरान है दिल मसअला ये है अगर अंदर न था कोई तो फिर किस की सदा आई दरीचों पर कोई बंदिश नहीं थी आज फिर 'ख़ालिद' कोई भूली हुई ख़ुशबू हवा के साथ दर आई

More by Abdullah Khalid
View all →"apnon ke darmiyaan hai magar be-amaan saa dil bhi sitam-rasida hai hindostaan saa naa-mehrbaan hai vaqt magar ek mehrbaan saaya-fagan hai sar pe mire aasmaan saa aghyaar tang-dil hain to apne munaafiqin meraa bhi haal zaar hai urdu zabaan saa muhtaat qurbaton kaa maza hi ajiib hai main khush-gumaan saa huun na to bad-gumaan saa aalaam-o-saanehaat-o-havaadis ke ru-ba-ru kab tak ye musht-e-khaak banegaa chaTaan saa sail-e-shikast-e-khvaab guzar to gayaa magar aankhon mein rah gayaa hai lahu kaa nishaan saa apnaa safar havaaon ke rahm-o-karam pe hai hasti safina-rang hai tan baadbaan saa is daur mein sukun-o-qaraar-o-qiyaam-e-amn 'khaalid' mujhe to lagtaa hai vahm-o-gumaan saa"
"aavaargi ke naqsh ubhar kar bikhar gae vo shab-guzaar log na jaane kidhar gae tajdid-e-dosti ke sabab ye huaa zarur kuchh zakhm taaza ho gae kuchh zakhm bhar gae aae to haathon-haath liyaa aur dam-e-vidaa’ kaandhon pe sab uThaae hamein chhoD kar gae vo din bhi the ki madd-e-muqaabil na thaa koi ye din bhi hai ki aaina dekhaa to Dar gae hamdard gham-gusaar mizaaj-aashnaa rafiq kuchh log aas-paas the jaane kidhar gae sar-basta raaz hi rahi ham par hamaari zaat ham be-khabar hi aae the aur be-khabar gae gumnaam kar na paae to badnaam kar diyaa ahbaab mere haq mein baDaa kaam kar gae 'khaalid' jo kah rahe the ki hai 'umr-bhar kaa saath afsos meraa saath vahi chhoD kar gae"
"'ishq legaa dil mein jab angDaaiyaan sab dhari rah jaaeingi daanaaiyaan avval avval anjuman-aaraaiyaan aakhirash mahrumiyaan tanhaaiyaan soch liije phir tamanna kijiye sab ko raas aati nahin unchaaiyaan dekh lenaa raushni tak saath hain doston ki khushnumaa parchhaaiyaan hain hamaari nek-naami ki dalil duur tak phaili hui rusvaaiyaan zalzale sailaab tufaan haadse vaqt ki allaah re angDaaiyaan kyon na ho apnaa ta'alluq khush-gavaar tum bhi duniyaa-daar main bhi kaaiyaan"
"savaar koi pas-e-parda-e-ghubaar na thaa magar tajassus-e-nazzaara ko qaraar na thaa main is qadar bhi to auhaam kaa shikaar na thaa khushaa vo din ki tiraa lutf baar baar na thaa vo ek shakhs jo rah rah ke yaad aataa hai vafaa-shanaas thaa lekin vafaa-shi'aar na thaa ye haadisa bhi 'ajab hai ki mere hone par sivaae mere koi aur sogvaar na thaa mire yaqin ki zanjir kaT gai hoti tire fareb kaa khanjar hi aab-daar na thaa vo haadse ki lahu-rang ho gayaa ehsaas vo saanahe ki mujhe jin kaa intizaar na thaa"
"vaqt aisaa bhi hai aane vaalaa khud bhi roegaa rulaane vaalaa kuchh bhi ho daad kaa haqdaar to hai tiir par tiir chalaane vaalaa mar gayaa main to kahoge sab se haae vo khvaab dikhaane vaalaa uf ye khaamoshi kaa 'aalam jaise koi tufaan ho aane vaalaa na suni aah na aansu dekhe kitnaa be-mehr thaa jaane vaalaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"