SHAWORDS

maut ko ziist tarasti hai yahaan — Mukhtar Siddiqui

"maut ko ziist tarasti hai yahaan maut hi kaun si sasti hai yahaan dam ki mushkil nahin aasaan karte kis qadar uqda-parasti hai yahaan sab kharaabe hain tamannaaon ke kaun basti hai jo basti hai yahaan chhoDo be-sarfa hain saavan bhaadon dekho har aankh barasti hai yahaan ab to har auj kaa taaraa Duubaa auj kaa naam hi pasti hai yahaan"
Urdu

موت کو زیست ترستی ہے یہاں موت ہی کون سی سستی ہے یہاں دم کی مشکل نہیں آساں کرتے کس قدر عقدہ پرستی ہے یہاں سب خرابے ہیں تمناؤں کے کون بستی ہے جو بستی ہے یہاں چھوڑو بے صرفہ ہیں ساون بھادوں دیکھو ہر آنکھ برستی ہے یہاں اب تو ہر اوج کا تارا ڈوبا اوج کا نام ہی پستی ہے یہاں

Hindi

मौत को ज़ीस्त तरसती है यहाँ मौत ही कौन सी सस्ती है यहाँ दम की मुश्किल नहीं आसाँ करते किस क़दर उक़्दा-परस्ती है यहाँ सब ख़राबे हैं तमन्नाओं के कौन बस्ती है जो बस्ती है यहाँ छोड़ो बे-सर्फ़ा हैं सावन भादों देखो हर आँख बरसती है यहाँ अब तो हर औज का तारा डूबा औज का नाम ही पस्ती है यहाँ

maut ko ziist tarastī hai yahāñ
Mukhtar Siddiqui
Mukhtar Siddiqui
Mukhtar Siddiqui
poet24 quotes

More by Mukhtar Siddiqui

View all →
Quote
"is ki shikaayat kaun karegaa dil ki vo haalat gar na rahi baare tere talavvun se yaksaani-e-shaam-o-sahar na rahi apni tarah is vahshat-gaah mein har unvaan se rusvaa hai jab se fughaan-e-nim-shabi mamnun-e-baab-e-asar na rahi unchi shaakh kaa phuul bhi kyaa aur qurbat ki makhmuri kyaa dur-o-qarib ki koi yaad bhi raahat-e-dil ban kar na rahi jiite rahe to Thaani hai ye naumidaana ziist karein aur koi tadbir na thi jo ab tak pesh-e-nazar na rahi kis birte par baatein banaaein yaani sher shiaar karein rang-e-zamaana dekh ke ham ko himmat-e-arz-e-hunar na rahi"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui
Quote
"tire jalve tere hijaab ko meri hairaton se numu mili ki thaa shab se din kabhi tira-tar kabhi shab hi aaina-ru mili tiri qurbaton se bhi kyaa huaa tiri duriyon kaa to kyaa gila vo maqaam main hi na paa sakaa mujhe jis maqaam pe tu mili vo havaaon hi se baras paDe vo tiri nigah se chhalak uThe koi be-khudi na hamein mili ki jo be-niyaaz-e-subu mili vo ho fasl-e-gul ki fazaa-e-dil jo milaa kahin to junun milaa magar ik khirad hi na mil saki jo mili to sarf-e-rafu mili"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui
Quote
"thi to sahi par aaj se pahle aisi haqir faqir na thi dil ki sharaafat zehn ki jaudat itni baDi taqsir na thi sach kahte ho ham aise kahaan aur soz-o-gudaaz-e-ishq kahaan sach hai mire aaina-e-dil mein koi kabhi tasvir na thi ab jo uchaaT hui hai tabiat shaayad ab ham rukhsat hain bin-kaaran be-baat vagarna aisi kabhi dil-gir na thi ahl-e-junun ko fasl-e-khizaan se ab ke bhi go na rabt rahaa ab ke bahaar vo aai ki jis ki bu-e-gul bhi safir na thi aakhir ghairat ne samjhaayaa nau-midaanaa ziist karein baaqi har tadbir to ki jo apne khilaaf-e-zamir na thi"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui
Quote
"shokh the rang har ik daur mein afsaanon ke dil dhaDakte hi rahe aas mein insaanon ke ilm ne khair na chaahi kabhi insaanon ki zarre barbaad yunhi to nahin viraanon ke raahein shahron se guzarti rahin viraanon ki naqsh milte rahe kaabe mein sanam-khaanon ke zindagi vaalaa-o-shaidaa rahi farzaanon ki naam raushan hue har daur mein divaanon ke maryami morid-e-tohmat rahi armaanon ki TukDe ik daftar-e-ilzaam hain daamaanon ke fikr sab ko hai rafu ke liye saamaanon ki puchhtaa koi nahin haal girebaanon ke qadr kuchh kam to nahin ab bhi tan-aasaanon ki roz o shab aaj bhi bhaari hain giraan-jaanon ke"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui

More on Maut

View all →
Quote
"aap ki jab se mehrbaani hai dil ke har zakhm par javaani hai aap se duur rah ke zinda hain ye bhi kyaa koi zindagaani hai baad muddat ke us ko dekhaa hai jo mohabbat kaa meri baani hai puchhte kyaa ho mere dil kaa haal is ki to lambi ik kahaani hai saath jiinaa hai saath marnaa hai ye qasam aap ko bhi khaani hai jis ki khaatir ye ho gai hai ghazal vo khayaalon ki mere raani hai khauf mein us ke ham nahin rahte maut to ek roz aani hai kitnaa be-dard ho gayaa vo 'salim' duur rahne ki jis ne Thaani hai"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"khushk us ki zaat kaa saaton samundar ho gayaa dhuup kuchh aisi paDi vo shakhs banjar ho gayaa aangan aangan zahr barsaaegi us ki chaandni vo agar mahtaab ki surat ujaagar ho gayaa mere aadhe jism ki us ko lagegi bad-du'aa kal khabar aa jaaegi vo shakhs patthar ho gayaa kis ne apne haath se khud maut kaa katba likhaa kaun apni qabr par 'ibrat kaa patthar ho gayaa qurb jab had se baDhaa duuri muqaddar ho gai us kaa milnaa bhi na milne ke baraabar ho gayaa main ki baahar ki fazaa mein qaid thaa jis ke sabab aaj vo khud jins ke pinjre ke andar ho gayaa muft mein taqsim ki 'saajid' mataa-e-shaaeri jis ne apnaa qurb apnaayaa vo shaa'ir ho gayaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"yaad aa ke tiri hijr mein samjhaaegi kis ko dil hi nahin siine mein to bahlaaegi kis ko dam khinchtaa hai kyuun aaj ye rag rag se hamaaraa kyaa jaane idhar dil ki kashish laaegi kis ko uThne hi nahin deti hai jab yaas biThaa kar phir shauq ki himmat kahin le jaaegi kis ko jab maar hi Daalaa hamein be-taabi-e-dil ne karvaT shab-e-furqat mein badalvaaegi kis ko mar jaaeinge be-maut gham-e-hijr ke maare aaegi to ab zinda ajal paaegi kis ko achchhaa rahe tasvir kisi ki mire dil par kam-bakht na Thahregaa to Thahraaegi kis ko kuchh baiTh gayaa dil hi yahaan baiTh ke apnaa ghairat tiri mahfil se ab uThvaaegi kis ko is vaada-khilaafi ne agar jaan hi le li phir jhuTi tasalli tiri taDpaaegi kis ko kyuun leinge 'jalaal' aa ke mire dil mein vo chuTki jhapkegi palak kaahe ko niind aaegi kis ko"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi