SHAWORDS

mazhaka aao uDaaein ishq-e-be-buniyaad kaa — Hafeez Jalandhari

"mazhaka aao uDaaein ishq-e-be-buniyaad kaa ik judaa madfan banaaein tesha-e-farhaad kaa vaah-vaah kyaa rang badlaa gulshan-e-ijaad kaa saaya-e-gul par gumaan hone lagaa sayyaad kaa bah chalaa hai ashk-e-hasrat al-madad ai barq-e-yaas ye bhi ik daana hai mere khirman-e-barbaad kaa kis nigaah-e-garm se dekhaa hai us ne vaqt qatl aah ThanDi paD gai dam ghuT gayaa fariyaad kaa ghuncha ghuncha khauf se mujh ko nazar aayaa qafas patte patte par huaa dhokaa kaf-e-saiyaad kaa ye samajh liije kisi shaa'ir ke dil kaa TuTnaa TuuT jaanaa hai tilism-e-aalam-e-ijaad kaa ho na ehsaas-e-asiri to rihaai hai muhaal aise qaidi naam tak lete nahin mi'aad kaa zo'f ki ye himmatein hain naa-tavaani kaa ye zor TukDe TukDe kar diyaa daaman miri fariyaad kaa us sukhanvar se mujhe faiz-e-sukhan hai ai 'hafiz' naam-e-naami hai giraami jis jahaan ustaad kaa"
Urdu

مضحکہ آؤ اڑائیں عشق بے بنیاد کا اک جدا مدفن بنائیں تیشۂ فرہاد کا واہ واہ کیا رنگ بدلا گلشن ایجاد کا سایۂ گل پر گماں ہونے لگا صیاد کا بہہ چلا ہے اشک حسرت المدد اے برق یاس یہ بھی اک دانہ ہے میرے خرمن برباد کا کس نگاہ گرم سے دیکھا ہے اس نے وقت قتل آہ ٹھنڈی پڑ گئی دم گھٹ گیا فریاد کا غنچہ غنچہ خوف سے مجھ کو نظر آیا قفس پتے پتے پر ہوا دھوکا کف صیاد کا یہ سمجھ لیجے کسی شاعر کے دل کا ٹوٹنا ٹوٹ جانا ہے طلسم عالم ایجاد کا ہو نہ احساس اسیری تو رہائی ہے محال ایسے قیدی نام تک لیتے نہیں میعاد کا ضعف کی یہ ہمتیں ہیں ناتوانی کا یہ زور ٹکڑے ٹکڑے کر دیا دامن مری فریاد کا اس سخنور سے مجھے فیض سخن ہے اے حفیظؔ نام نامی ہے گرامی جس جہاں استاد کا

Hindi

मज़हका आओ उड़ाएँ इश्क़-ए-बे-बुनियाद का इक जुदा मदफ़न बनाएँ तेशा-ए-फ़रहाद का वाह-वाह क्या रंग बदला गुलशन-ए-ईजाद का साया-ए-गुल पर गुमाँ होने लगा सय्याद का बह चला है अश्क-ए-हसरत अल-मदद ऐ बर्क़-ए-यास ये भी इक दाना है मेरे ख़िर्मन-ए-बर्बाद का किस निगाह-ए-गर्म से देखा है उस ने वक़्त क़त्ल आह ठंडी पड़ गई दम घुट गया फ़रियाद का ग़ुंचा ग़ुंचा ख़ौफ़ से मुझ को नज़र आया क़फ़स पत्ते पत्ते पर हुआ धोका कफ़-ए-सैय्याद का ये समझ लीजे किसी शा'इर के दिल का टूटना टूट जाना है तिलिस्म-ए-आलम-ए-ईजाद का हो न एहसास-ए-असीरी तो रिहाई है मुहाल ऐसे क़ैदी नाम तक लेते नहीं मीआ'द का ज़ो'फ़ की ये हिम्मतें हैं ना-तवानी का ये ज़ोर टुकड़े टुकड़े कर दिया दामन मिरी फ़रियाद का उस सुख़नवर से मुझे फ़ैज़-ए-सुख़न है ऐ 'हफ़ीज़' नाम-ए-नामी है गिरामी जिस जहाँ उस्ताद का

maz.haka aao uḌā.eñ ishq-e-be-buniyād kā
Hafeez Jalandhari
Hafeez Jalandhari
Hafeez Jalandhari
poet147 quotes

More by Hafeez Jalandhari

View all →
Quote
"maston pe ungliyaan na uThaao bahaar mein dekho to hosh hai bhi kisi hoshyaar mein kuchh mohtasib kaa khauf hai kuchh shaikh kaa lihaaz piitaa huun chhup ke daaman-e-abr-e-bahaar mein vo saamne dhari hai suraahi bhari hui donon jahaan hain aaj mire ikhtiyaar mein allaah baat kyaa hai ki divaangi miri divaangi nahin nazar-e-hoshiyaar mein jhuTi tasalliyon se na bahlaao jaao jaao jaao ki tum nahin ho mire ikhtiyaar mein huun vaadi-e-hayaat mein is tarah sust-e-gaam jaise ho paa-shikasta koi khaar-zaar mein ab vo sukun-e-yaas na vo iztiraab-e-shauq siine mein dil hai yaa koi laasha mazaar mein ab khaak uDaaiye na hamaare mazaar ki ab khaak bhi nahin hai hamaare mazaar mein tanhaai-e-firaaq mein ummid baar-haa gum ho gai sukut ke hangaama-zaar mein vo andalib-e-gulshan-e-maani huun main 'hafiz' soz-e-sukhan se aag lagaa duun bahaar mein"
Hafeez JalandhariHafeez Jalandhari
Quote
"o dil toD ke jaane vaale dil ki baat bataataa jaa ab main dil ko kyaa samjhaaun mujh ko bhi samjhaataa jaa haan mere majruh tabassum khushk labon tak aataa jaa phuul ki hast-o-bud yahi hai khiltaa jaa murjhaataa jaa meri chup rahne ki aadat jis kaaran bad-naam hui ab vo hikaayat aam hui hai suntaa jaa sharmaataa jaa ye dukh-dard ki barkhaa bande den hai tere daataa ki shukr-e-neamat bhi kartaa jaa daaman bhi phailaataa jaa jiine kaa armaan karun yaa marne kaa saamaan karun ishq mein kyaa hotaa hai naaseh aql ki baat sujhaataa jaa tujh ko abr-aalud dinon se kaam na chaandni raaton se bahlaataa hai baaton se bahlaataa jaa bahlaataa jaa donon sang-e-raah-e-talab hain raah-numaa bhi manzil bhi zauq-e-talab har ek qadam par donon ko Thukraataa jaa naghme se jab phuul khileinge chunne vaale chun leinge sunne vaale sun leinge tu apni dhun mein gaataa jaa aakhir tujh ko bhi maut aai khair 'hafiz' khudaa-haafiz lekin marte marte pyaare vajh-e-marg bataataa jaa"
Hafeez JalandhariHafeez Jalandhari
Quote
"ye kyaa maqaam hai vo nazaare kahaan gae vo phuul kyaa hue vo sitaare kahaan gae yaaraan-e-bazm jurat-e-rindaana kyaa hui un mast ankhDiyon ke ishaare kahaan gae ek aur daur kaa vo taqaazaa kidhar gayaa umDe hue vo hosh ke dhaare kahaan gae uftaad kyuun hai laghzish-e-mastaana kyuun nahin vo uzr-e-mai-kashi ke sahaare kahaan gae dauraan-e-zalzala jo panaah-e-nigaah the leTe hue the paanv pasaare kahaan gae baandhaa thaa kyaa havaa pe vo ummid kaa tilism rangini-e-nazar ke ghubaare kahaan gae uTh uTh ke baiTh baiTh chuki gard raah ki yaaro vo qaafile thake haare kahaan gae har mir-e-kaarvaan se mujhe puchhnaa paDaa saathi tire kidhar ko sidhaare kahaan gae farmaa gae the raah mein baiTh intizaar kar aae nahin palaT ke vo pyaare kahaan gae tum se bhi jin kaa ahd-e-vafaa ustuvaar thaa ai dushmanon vo dost hamaare kahaan gae kashti nai bani ki uThaa le gayaa koi takhte jo lag gae the kinaare kahaan gae ab Dubton se puchhtaa phirtaa hai naakhudaa jin ko lagaa chukaa huun kinaare kahaan gae betaab tere dard se the chaaraagar 'hafiz' kyaa jaaniye vo dard ke maare kahaan gae"
Hafeez JalandhariHafeez Jalandhari
Quote
"koi davaa na de sake mashvara-e-duaa diyaa chaaragaron ne aur bhi dil kaa dard baDhaa diyaa donon ko de ke suratein saath hi aaina diyaa 'ishq bisorne lagaa husn ne muskuraa diyaa zauq-e-nigaah ke sivaa shauq-e-gunaah ke sivaa mujh ko buton se kyaa milaa mujh ko khudaa ne kyaa diyaa thi na khizaan ki rok-thaam daaman-e-ikhtiyaar mein ham ne bhari bahaar mein apnaa chaman luTaa diyaa husn-e-nazar ki aabru sanat-e-barhaman se hai jis ko sanam banaa liyaa us ko khudaa banaa diyaa daagh hai mujh pe 'ishq kaa meraa gunaah bhi to dekh us ki nigaah bhi to dekh jis ne ye gul khilaa diyaa 'ishq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-naa-muraad ubhraa kahin jo ye fasaad dil ne vahin dabaa diyaa naqsh-e-vafaa to main hi thaa ab mujhe DhunDte ho kyaa harf-e-ghalat nazar paDaa tum ne mujhe miTaa diyaa khubs-e-darun dikhaa diyaa har dahan-e-ghaliz ne kuchh na kahaa 'hafiz' ne hans diyaa muskuraa diyaa"
Hafeez JalandhariHafeez Jalandhari
Quote
"un ko jigar ki justuju un ki nazar ko kyaa karun mujh ko nazar ki aarzu apne jigar ko kyaa karun raat hi raat mein tamaam tai hue umr ke maqaam ho gai zindagi ki shaam ab main sahar ko kyaa karun vahshat-e-dil fuzun to hai haal miraa zubun to hai ishq nahin junun to hai us ke asar ko kyaa karun farsh se mutmain nahin past hai naa-pasand hai arsh bahut buland hai zauq-e-nazar ko kyaa karun haae koi davaa karo haae koi duaa karo haae jigar mein dard hai haae jigar ko kyaa karun ahl-e-nazar koi nahin is liye khud-pasand huun aap hi dekhtaa huun main apne hunar ko kyaa karun tark-e-taalluqaat par gir gai barq-e-iltifaat raahguzar mein mil gae raahguzar ko kyaa karun"
Hafeez JalandhariHafeez Jalandhari
Quote
"kyuun hijr ke shikve kartaa hai kyuun dard ke rone rotaa hai ab ishq kiyaa to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hotaa hai aaghaaz-e-musibat hotaa hai apne hi dil ki shaamat se aankhon mein phuul khilaataa hai talvon mein kaanTe botaa hai ahbaab kaa shikva kyaa kijiye khud zaahir o baatin ek nahin lab uupar uupar hanste hain dil andar andar rotaa hai mallaahon ko ilzaam na do tum saahil vaale kyaa jaano ye tufaan kaun uThaataa hai ye kashti kaun Dubotaa hai kyaa jaaniye ye kyaa khoegaa kyaa jaaniye ye kyaa paaegaa mandir kaa pujaari jaagtaa hai masjid kaa namaazi sotaa hai khairaat ki jannat Thukraa de hai shaan yahi khuddaari ki jannat se nikaalaa thaa jis ko tu us aadam kaa potaa hai"
Hafeez JalandhariHafeez Jalandhari

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari