"aah ke tiin dil-e-hairaan-o-khafaa ko saunpaa main ne ye ghuncha-e-tasvir sabaa ko saunpaa tere kuche mein miri khaak bhi paamaal hui thaa vo be-dard mujhe jin ne vafaa ko saunpaa ab to jaataa hi hai kaa'be ko to but-khaane se jald phir pahunchiyo ai 'mir' khudaa ko saunpaa"
ham ne jaanaa thaa sukhan honge zabaan par kitne — Meer Taqi Meer
"ham ne jaanaa thaa sukhan honge zabaan par kitne par qalam haath jo aai likhe daftar kitne main ne is us sannaa' se sar khinchaa hai ki har ik kuche mein jis ke the hunar-var kitne kishvar-e-ishq ko aabaad na dekhaa ham ne har gali-kuche mein uujaD paDe the ghar kitne aah nikli hai ye kis ki havas sair-e-bahaar aate hain baagh mein aavaara hue par kitne dekhiyo panja-e-mizhgaan ki Tak aatish-dasti har sahar khaak mein milte hain dar-e-tar kitne kab talak ye dil-e-sad-paara nazar mein rakhiye us par aankhein hi siye rahte hain dilbar kitne 'umr guzri ki nahin do aadam se koi jis taraf dekhiye 'arse mein hain ab khar kitne tu hai bechaara gadaa 'mir' tiraa kyaa mazkur mil gae khaak mein yaan saahab-e-afsar kitne"
ہم نے جانا تھا سخن ہوں گے زباں پر کتنے پر قلم ہاتھ جو آئی لکھے دفتر کتنے میں نے اس اس صناع سے سر کھینچا ہے کہ ہر اک کوچے میں جس کے تھے ہنر ور کتنے کشور عشق کو آباد نہ دیکھا ہم نے ہر گلی کوچے میں اوجڑ پڑے تھے گھر کتنے آہ نکلی ہے یہ کس کی ہوس سیر بہار آتے ہیں باغ میں آوارہ ہوئے پر کتنے دیکھیو پنجۂ مژگاں کی ٹک آتش دستی ہر سحر خاک میں ملتے ہیں در تر کتنے کب تلک یہ دل صد پارہ نظر میں رکھیے اس پر آنکھیں ہی سیے رہتے ہیں دلبر کتنے عمر گزری کہ نہیں دو آدم سے کوئی جس طرف دیکھیے عرصے میں ہیں اب خر کتنے تو ہے بیچارہ گدا میرؔ ترا کیا مذکور مل گئے خاک میں یاں صاحب افسر کتنے
हम ने जाना था सुख़न होंगे ज़बाँ पर कितने पर क़लम हाथ जो आई लिखे दफ़्तर कितने मैं ने इस उस सन्ना' से सर खींचा है कि हर इक कूचे में जिस के थे हुनर-वर कितने किश्वर-ए-इश्क़ को आबाद न देखा हम ने हर गली-कूचे में ऊजड़ पड़े थे घर कितने आह निकली है ये किस की हवस सैर-ए-बहार आते हैं बाग़ में आवारा हुए पर कितने देखियो पंजा-ए-मिज़्गाँ की टक आतिश-दस्ती हर सहर ख़ाक में मिलते हैं दर-ए-तर कितने कब तलक ये दिल-ए-सद-पारा नज़र में रखिए उस पर आँखें ही सिए रहते हैं दिलबर कितने 'उम्र गुज़री कि नहीं दो आदम से कोई जिस तरफ़ देखिए 'अर्से में हैं अब ख़र कितने तू है बेचारा गदा 'मीर' तिरा क्या मज़कूर मिल गए ख़ाक में याँ साहब-ए-अफ़सर कितने

More by Meer Taqi Meer
View all →"khat likh ke koi saada na us ko malul ho ham to huun bad-gumaan jo qaasid-e-rasul ho chaahun to bhar ke kauli uThaa luun abhi tumhein kaise hi bhaari ho mire aage to phuul ho surma jo nuur bakhshe hai aankhon ko khalq ki shaayad ki raah-e-yaar ki hi khaak dhuul ho jaavein nisaar hone ko ham kis bisaat par ik niim jaan rakhein hain so vo jab qubul ho ham in dinon mein lag nahin paDte hain subh-o-shaam varna du'aa karein to jo chaahein husul ho dil le ke launDe dilli ke kab kaa pachaa gae ab un se khaai pi hui shai kyaa vasul ho naakaam is liye ho ki chaaho ho sab kuchh aaj tum bhi to 'mir' saahib-o-qibla ajuul ho"
"jab junun se hamein tavassul thaa apni zanjir-e-paa hi kaa ghul thaa bistara thaa chaman mein jon bulbul naala sarmaaya-e-tavakkul thaa yak nigah ko vafaa na ki goyaa mausam-e-gul safir-e-bulbul thaa un ne pahchaan kar hamein maaraa munh na karnaa idhar tajaahul thaa shahr mein jo nazar paDaa us kaa kushta-e-naaz yaa taghaaful thaa ab to dil ko na taab hai na qaraar yaad-e-ayyaam jab tahammul thaa jaa phansaa daam-e-zulf mein aakhir dil nihaayat hi be-taammul thaa yuun gai qad ke kham hue jaise umr ik rahrav sar-e-pul thaa khuub daryaaft jo kiyaa ham ne vaqt-e-khush 'mir' nikhat-e-gul thaa"
"sair ke qaabil hai dil-sad-paara us nakhchir kaa jis ke har TukDe mein ho paivast paikaan tiir kaa sab khulaa baagh-e-jahaan illaa ye hairaan-o-khafaa jis ko dil samjhe the ham so ghuncha thaa tasvir kaa bu-e-khun se ji rukaa jaataa hai ai baad-e-bahaar ho gayaa hai chaak dil shaayad kaso dil-gir kaa kyunke naqqaash-e-azal ne naqsh abru kaa kiyaa kaam hai ik tere munh par khinchnaa shamshir kaa rahguzar sail-e-havaadis kaa hai be-buniyaad-e-dahr is kharaabe mein na karnaa qasd tum taamir kaa bas tabib uTh jaa miri baalin se mat de dard-e-sar kaam yaan aakhir huaa ab faaeda tadbir kaa naala-kash hain ahd-e-piri mein bhi tere dar pe ham qadd-e-kham-gashta hamaaraa halqa hai zanjir kaa jo tire kuche mein aayaa phir vahin gaaDaa use tishna-e-khun mein to huun us khaak-e-daaman-gir kaa khuun se mere hui yak-dam khushi tum ko to lek muft mein jaataa rahaa ji ek be-taqsir kaa lakht-e-dil se juun chhiDi phulon ki gundhi hai vale faaeda kuchh ai jigar is aah-e-be-taasir kaa gor-e-majanun se na jaaveinge kahin ham be-navaa aib hai ham mein jo chhoDein Dher apne piir kaa kis tarah se maaniye yaaro ki ye aashiq nahin rang uDaa jaataa hai Tak chehra to dekho 'mir' kaa"
"koi huaa na ru-kash Tak meri chashm-e-tar se kyaa kyaa na abr aa kar yaan zor zor barse vahshat se meri yaaro khaatir na jama rakhiyo phir aave yaa na aave nau pur uThaa jo ghar se ab juun sarishk un se phirne ki chashm mat rakh jo khaak mein mile hain gir kar tiri nazar se didaar khvaah us ke kam hon to shor kam ho har subh ik qayaamat uThti hai us ke dar se daagh ek ho jilaa bhi khuun ek ho bahaa bhi ab bahs kyaa hai dil se kyaa guftugu jigar se dil kis tarah na khinchein ashaar rekhte ke behtar kyaa hai main ne us aib ko hunar se anjaam-e-kaar bulbul dekhaa ham apni aankhon aavaara the chaman mein do chaar TuuTe par se be-taaqati ne dil ki aakhir ko maar rakhaa aafat hamaare ji ki aai hamaare ghar se dilkash ye manzil aakhir dekhaa to aah nikli sab yaar jaa chuke the aae jo ham safar se aavaara 'mir' shaayad vaan khaak ho gayaa hai yak gard uTh chale hai gaah us ki rahguzar se"
"yaar ajab tarah nigah kar gayaa dekhnaa vo dil mein jagah kar gayaa tang qabaai kaa samaan yaar ki pairahan ghuncha ko tah kar gayaa jaanaa hai us bazm se aayaa to kyaa koi ghaDi go ki tu rah kar gayaa vasf khat-o-khaal mein khubaan ke 'mir' naama-e-aamaal siyah kar gayaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"