SHAWORDS

phir kisi naam kaa mahtaab na niklaa mujh mein — Irfan Siddiqi

HomeIrfan SiddiqiGhazal
"phir kisi naam kaa mahtaab na niklaa mujh mein muddatein ho gaiin Duubaa thaa vo chehra mujh mein roz-o-shab jism ki divaar se Takraataa hai qaid kar rakkhaa hai kis ne ye parinda mujh mein ek muddat se miri bai'at-e-jaan maangti thi aaj khaamosh hai kyaa dekh ke duniyaa mujh mein vaise mere khas-o-khaashaak mein kyaa rakkhaa hai aag dikhlaao to niklegaa tamaasha mujh mein ret uDti hai bahut saahil-e-ehsaas ke paas sukhtaa jaataa hai shaayad koi dariyaa mujh mein ab main khud se bhi mukhaatib nahin hone paataa jab se chup ho gayaa vo bolne vaalaa mujh mein"
Urdu

پھر کسی نام کا مہتاب نہ نکلا مجھ میں مدتیں ہو گئیں ڈوبا تھا وہ چہرہ مجھ میں روز و شب جسم کی دیوار سے ٹکراتا ہے قید کر رکھا ہے کس نے یہ پرندہ مجھ میں ایک مدت سے مری بیعت جاں مانگتی تھی آج خاموش ہے کیا دیکھ کے دنیا مجھ میں ویسے میرے خس و خاشاک میں کیا رکھا ہے آگ دکھلاؤ تو نکلے گا تماشہ مجھ میں ریت اڑتی ہے بہت ساحل احساس کے پاس سوکھتا جاتا ہے شاید کوئی دریا مجھ میں اب میں خود سے بھی مخاطب نہیں ہونے پاتا جب سے چپ ہو گیا وہ بولنے والا مجھ میں

Hindi

फिर किसी नाम का महताब न निकला मुझ में मुद्दतें हो गईं डूबा था वो चेहरा मुझ में रोज़-ओ-शब जिस्म की दीवार से टकराता है क़ैद कर रक्खा है किस ने ये परिंदा मुझ में एक मुद्दत से मिरी बै'अत-ए-जाँ माँगती थी आज ख़ामोश है क्या देख के दुनिया मुझ में वैसे मेरे ख़स-ओ-ख़ाशाक में क्या रक्खा है आग दिखलाओ तो निकलेगा तमाशा मुझ में रेत उड़ती है बहुत साहिल-ए-एहसास के पास सूखता जाता है शायद कोई दरिया मुझ में अब मैं ख़ुद से भी मुख़ातिब नहीं होने पाता जब से चुप हो गया वो बोलने वाला मुझ में

phir kisī naam kā mahtāb na niklā mujh meñ
Irfan Siddiqi
Irfan Siddiqi
Irfan Siddiqi
poet217 quotes

More by Irfan Siddiqi

View all →
Quote
"ab kahin aur chal ai naaqa-savaar-e-duniyaa bhar gayaa hai miri aankhon mein ghubaar-e-duniyaa mujh ko mil jaae agar saltanat-e-takiya-e-dil main to pal bhar na rahun baaj-guzaar-e-duniyaa be-dili phir havas-e-taaza mein Dhal jaati hai khatm hone hi mein aataa nahin kaar-e-duniyaa aksar aksar nazar aa jaataa hai mahtaab kaa khel chhup gayaa hai miri miTTi mein sharaar-e-duniyaa aisaa lagtaa hai ki siine mein uThi hai koi aaj isi lahr mein pheink aataa huun baar-e-duniyaa 'aadat-e-sair-o-tamaashaa nahin jaane vaali duur se dekhtaa rahtaa huun bahaar-e-duniyaa"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"chamak hai 'ishq ki tira-shabi mein pahle se main jal rahaa huun isi raushni mein pahle se chali thi khaak bhi meri vahin bikharne ko havaa ne raqs kiyaa us gali mein pahle se koi bhi halqa-e-zanjir ho asiir huun main tire hi silsila-e-dilbari mein pahle se tire visaal se kuchh kam nahin umid-e-visaal so ham halaak hue hain khushi mein pahle se Dubo diyaa mujhe mere lahu ne aakhir-kaar bhanvar to soe hue the nadi mein pahle se khulaa ki teraa hi paikar misaal-e-surat-e-sang chhupaa huaa thaa miri shaa'iri mein pahle se"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"kashti to apni khud hi jalaa di basti hamaari dariyaa kinaare dariyaa se puchho ye raat ham ne kaise guzaari dariyaa kinaare barfili rut ne jab bhi tumhaari miTTi kaa daana-paani churaayaa dekho parindo rab ne tumhaari rozi utaari dariyaa kinaare tum bhi musaafir kitne dilaavar ham bhi musaafir kaise shanaavar aandhi ke pichhe jangal se naata dariyaa se yaari dariyaa kinaare reti ke piile daaman pe ham bhi rang-e-hinaa se bikhre paDe hain mauj-e-bahaaraan aaegi kab tak teri savaari dariyaa kinaare tamsil samjho yaa isti'aara itnaa saa logo qissa hamaaraa aankhon mein apni phulon se chehre chehron ki kyaari dariyaa kinaare"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"raah-e-sitam mein soz-e-jigar kaise chhoD dein lambaa safar hai zaad-e-safar kaise chhoD dein aandhi mein chhoDte hain kahin aashiyaan parind ham is havaa ke khauf se ghar kaise chhoD dein chandan ke ban mein saanp nikalte hi rahte hain is Dar se khushbuon ke shajar kaise chhoD dein jab kuchh na thaa to ham ne diyaa thaa zamin ko khuun ab fasl pak chuki to samar kaise chhoD dein ai dil vo dekh khema-e-fardaa qarib hai tujh ko fasil-e-shab ke idhar kaise chhoD dein maanaa ki ek 'umr se Thahri hui hai raat insaan hain umid-e-sahar kaise chhoD dein"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi
Quote
"simaTti dhuup tahrir-e-hinaa si hoti jaati hai saloni shaam jaise khuun ki pyaasi hoti jaati hai thake honThon se boson ke parinde uDte jaate hain havas jaaDe ki shaamon ki udaasi hoti jaati hai sukut-e-shab mein tum aavaaz kaa shisha giraa denaa fazaa sunsaan kamre ki nindaasi hoti jaati hai koi rakh de kisi ilzaam kaa taaza gulaab is mein bichhaDti chaahaton ki god baasi hoti jaati hai to phir ik baar ye chaak-e-garebaan sab ko dikhlaa dein bahut badnaam apni khush-libaasi hoti jaati hai ghazal ki sohbaton se aur kuchh haasil nahin lekin ghazaalon se zaraa surat-shanaasi hoti jaati hai"
Irfan SiddiqiIrfan Siddiqi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud