Quote
"aable suukh chuke phir bhi kasak baaqi hai dil ke har zakhm mein yaadon ki mahak baaqi hai chhoD duun kaise bhalaa apne buzurgon kaa chalan meri rag rag mein abhi un kaa namak baaqi hai jin ke saae mein bahal jaataa thaa bachpan aksar mere ehsaas mein ab tak vo dhanak baaqi hai tum ko aanaa hai to aa jaao ba-sad-shauq yahaan ab bhi haalaat mein halki si lachak baaqi hai band hoti nahin palkein miri sadiyaan guzrin khvaab to TuuT chuke sirf chamak baaqi hai dil ki dhaDkan miri aavaaz-e-anaa hai 'zarrin' mere har lafz mein lahje ki khanak baaqi hai"
