"jab sabaa aai idhar zikr-e-bahaar aa hi gayaa yaad ham ko inqalaab-e-rozgaar aa hi gayaa kis liye ab jabr ki taklif farmaate hain aap banda-parvar main to zer-e-ikhtiyaar aa hi gayaa laala-o-gul par jo guzri hai guzarne dijiye aap ko to mehrbaan lutf-e-bahaar aa hi gayaa dahr mein rasm-e-vafaa badnaam ho kar hi rahi ham bachaate hi rahe daaman ghubaar aa hi gayaa hans ke bole ab tujhe zanjir ki haajat nahin un ko meri bebasi kaa e'tibaar aa hi gayaa shikva-sanji apni aadat mein nahin daakhil magar dil dukhaa to lab pe harf-e-naagavaar aa hi gayaa"
qaaem hai surur-e-mai-e-gulfaam hamaaraa — Kaleem Aajiz
"qaaem hai surur-e-mai-e-gulfaam hamaaraa kyaa gham hai agar TuuT gayaa jaam hamaaraa itnaa bhi kisi dost kaa dushman na ho koi taklif hai un ke liye aaraam hamaaraa phulon se mohabbat hai taqaazaa-e-tabiat kaanTon se ulajhnaa to nahin kaam hamaaraa bhule se koi naam vafaa kaa nahin letaa duniyaa ko abhi yaad hai anjaam hamaaraa ghair aa ke bane hain sabab-e-raunaq-e-mahfil ab aap ki mahfil mein hai kyaa kaam hamaaraa mausam ke badalte hi badal jaati hain aankhein yaaraan-e-chaman bhuul gae naam hamaaraa"
قائم ہے سرور مئے گلفام ہمارا کیا غم ہے اگر ٹوٹ گیا جام ہمارا اتنا بھی کسی دوست کا دشمن نہ ہو کوئی تکلیف ہے ان کے لیے آرام ہمارا پھولوں سے محبت ہے تقاضائے طبیعت کانٹوں سے الجھنا تو نہیں کام ہمارا بھولے سے کوئی نام وفا کا نہیں لیتا دنیا کو ابھی یاد ہے انجام ہمارا غیر آ کے بنے ہیں سبب رونق محفل اب آپ کی محفل میں ہے کیا کام ہمارا موسم کے بدلتے ہی بدل جاتی ہیں آنکھیں یاران چمن بھول گئے نام ہمارا
क़ाएम है सुरूर-ए-मय-ए-गुलफ़ाम हमारा क्या ग़म है अगर टूट गया जाम हमारा इतना भी किसी दोस्त का दुश्मन न हो कोई तकलीफ़ है उन के लिए आराम हमारा फूलों से मोहब्बत है तक़ाज़ा-ए-तबीअत काँटों से उलझना तो नहीं काम हमारा भूले से कोई नाम वफ़ा का नहीं लेता दुनिया को अभी याद है अंजाम हमारा ग़ैर आ के बने हैं सबब-ए-रौनक़-ए-महफ़िल अब आप की महफ़िल में है क्या काम हमारा मौसम के बदलते ही बदल जाती हैं आँखें यारान-ए-चमन भूल गए नाम हमारा

More by Kaleem Aajiz
View all →"zakhmon ke nae phuul khilaane ke liye aa phir mausam-e-gul yaad dilaane ke liye aa masti liye aankhon mein bikhere hue zulfein aa phir mujhe divaana banaane ke liye aa ab lutf isi mein hai mazaa hai to isi mein aa ai mire mahbub sataane ke liye aa aa rakh dahan-e-zakhm pe phir ungliyaan apni dil baansuri teri hai bajaane ke liye aa haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa maanaa ki mire ghar se adaavat hi tujhe hai rahne ko na aa aag lagaane ke liye aa pyaare tiri surat se bhi achchhi hai jo tasvir main ne tujhe rakkhi hai dikhaane ke liye, aa aashufta kahe hai koi divaana kahe hai main kaun huun duniyaa ko bataane ke liye aa kuchh roz se ham shahr mein rusvaa na hue hain aa phir koi ilzaam lagaane ke liye aa ab ke jo vo aa jaae to 'aajiz' use le kar mahfil mein ghazal apni sunaane ke liye aa"
"yahi bekasi thi tamaam shab usi bekasi mein sahar hui na kabhi chaman mein guzar huaa na kabhi gulon mein basar hui ye pukaar saare chaman mein thi vo sahar hui vo sahar hui mire aashiyaan se dhuaan uThaa to mujhe bhi is ki khabar hui mujhe kyaa agar tire dosh se tiri zulf taa-ba-kamar hui ki main aisaa khaana-kharaab huun kabhi chhaanv mein na basar hui tujhe fakhr apne sitam pe hai ki asaa-e-raah-numaa banaa mujhe naaz apni vafaa pe hai ki charaagh-e-raahguzar hui main tiri balaa se ujaD gayaa tiraa hausla to nikal gayaa ye baDi khushi kaa maqaam hai ki ye iid bhi tire ghar hui"
"miri masti ke afsaane raheinge jahaan gardish mein paimaane raheinge nikaale jaaeinge ahl-e-mohabbat ab is mahfil mein begaane raheinge yahi andaaz-e-mai-noshi rahegaa to ye shishe na paimaane raheinge rahegaa silsila daar-o-rasan kaa jahaan do chaar divaane raheinge jinhein gulshan mein Thukraayaa gayaa hai unhi phulon ke afsaane raheinge khirad zanjir pahnaati rahegi jo divaane hain divaane raheinge"
"judaa jab tak tiri zulfon se pech-o-kham nahin honge sitam duniyaa mein baDhte hi raheinge kam nahin honge Dil-e-pur-gham na honge dida-e-pur-nam nahin honge andheraa hogaa us mahfil mein jis mein ham nahin honge dilaase un ke jo dard-aashnaa-e-gham nahin honge namak hi honge dil ke zakhm par marham nahin honge agar baDhtaa rahaa yunhi ye saudaa-e-sitamgaari tumhi rusvaa sar-e-baazaar hoge ham nahin honge janaab-e-shaikh par afsos hai ham ne to samjhaa thaa haram ke rahne vaale aise naa-mahram nahin honge idhar aao tumhaari zulf ham aaraasta kar dein jo gesu ham sanvaareinge kabhi barham nahin honge agarche 'ishq mein marne kaa khatra hi ziyaada hai magar marne ke Dar se marne vaale kam nahin honge"
"dard kab dil mein mehrbaan na rahaa haan magar qaabil-e-bayaan na rahaa ham jo gulshan mein the bahaar na thi jab bahaar aai aashiyaan na rahaa gham garaan jab na thaa garaan thaa mujhe jab garaan ho gayaa garaan na rahaa doston kaa karam maaaz-allaah shikva-e-jaur-e-dushmanaan na rahaa bijliyon ko duaaein detaa huun dosh par baar-e-aashiyaan na rahaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"