SHAWORDS

qatra-e-ashk se taskin-e-jigar ki ummid — Mohammad Zakariyya Khan

"qatra-e-ashk se taskin-e-jigar ki ummid qulzum-e-chashm se hai aab-e-guhar ki ummid gham mein hoti hai ajab-khez bashar ki ummid dard-e-jaan-kaah-e-firaaq aur sahar ki ummid qatl ko us ne pas-az-umr nikaali talvaar baad muddat ke bar aai mire sar ki ummid nazar aataa hai bayaabaan se adam ko jaanaa khaak ho dard-e-junun mein mujhe ghar ki ummid us ne dekhaa na miraa haal-e-zabun taa-dam-e-marg jaan ke saath gai ek nazar ki ummid vaada-e-vasl mein thaa kis qadar andaaz-e-fareb na thi ummid-e-vafaa us se magar ki ummid zabt-e-gham tark-e-havas paas-e-vafaa kartaa huun aah ke saath rahi dil mein asar ki ummid tere qadmon mein hi ghaltaan na huaa zinat-e-gosh khaak mein mil gai afsos guhar ki ummid kaavish-e-tir kahaan burrish-e-shamshir kahaan dil ki hasrat hai abas aur jigar ki ummid ponchhte ponchhte aansu mire vo sharmaae kyon kahaa haae ye thi dida-e-tar ki ummid aarzu hai ki dil-e-saaf mein ho jalva-e-yaar raushan aaine se hai aaina-gar ki ummid shama-saan subh-e-shab-e-vaada huaa jal ke tamaam ho gai khaak miri chaar-pahar ki ummid dida-e-shauq bane mahv-e-tamaashaa Thahre teraa jalva hai magar shams-o-qamar ki ummid abhi vo haal hai jo sadma-e-shab se hotaa shaam-e-hijraan nazar aati hai sahar ki ummid haath se us ke hue qatl na gham hi se halaak puuri hoti hai idhar ki na udhar ki ummid zoaf achchhaa hai rafiq apnaa tariq-e-gham mein har qadam kyon na ho anjaam-e-safar ki ummid tum ko saudaa hai 'zaki' aah mein taasir kahaan shajar-e-bed se rakhte ho samar ki ummid"
Urdu

قطرۂ اشک سے تسکین جگر کی امید قلزم چشم سے ہے آب گہر کی امید غم میں ہوتی ہے عجب خیز بشر کی امید درد جانکاہ فراق اور سحر کی امید قتل کو اس نے پس از عمر نکالی تلوار بعد مدت کے بر آئی مرے سر کی امید نظر آتا ہے بیاباں سے عدم کو جانا خاک ہو درد جنوں میں مجھے گھر کی امید اس نے دیکھا نہ مرا حال زبوں تا دم مرگ جان کے ساتھ گئی ایک نظر کی امید وعدۂ وصل میں تھا کس قدر انداز فریب نہ تھی امید وفا اس سے مگر کی امید ضبط غم ترک ہوس پاس وفا کرتا ہوں آہ کے ساتھ رہی دل میں اثر کی امید تیرے قدموں میں ہی غلطاں نہ ہوا زینت گوش خاک میں مل گئی افسوس گہر کی امید کاوش تیر کہاں برش شمشیر کہاں دل کی حسرت ہے عبث اور جگر کی امید پونچھتے پونچھتے آنسو مرے وہ شرمائے کیوں کہا ہائے یہ تھی دیدۂ تر کی امید آرزو ہے کہ دل صاف میں ہو جلوۂ یار روشن آئینہ سے ہے آئینہ گر کی امید شمع ساں صبح شب وعدہ ہوا جل کے تمام ہو گئی خاک مری چار پہر کی امید دیدۂ شوق بنے محو تماشا ٹھہرے تیرا جلوہ ہے مگر شمس و قمر کی امید ابھی وہ حال ہے جو صدمۂ شب سے ہوتا شام ہجراں نظر آتی ہے سحر کی امید ہاتھ سے اس کے ہوئے قتل نہ غم ہی سے ہلاک پوری ہوتی ہے ادھر کی نہ ادھر کی امید ضعف اچھا ہے رفیق اپنا طریق غم میں ہر قدم کیوں نہ ہو انجام سفر کی امید تم کو سودا ہے ذکیؔ آہ میں تاثیر کہاں شجر بید سے رکھتے ہو ثمر کی امید

Hindi

क़तरा-ए-अश्क से तस्कीन-ए-जिगर की उम्मीद क़ुल्ज़ुम-ए-चश्म से है आब-ए-गुहर की उम्मीद ग़म में होती है अजब-ख़ेज़ बशर की उम्मीद दर्द-ए-जाँ-काह-ए-फ़िराक़ और सहर की उम्मीद क़त्ल को उस ने पस-अज़-उम्र निकाली तलवार बाद मुद्दत के बर आई मिरे सर की उम्मीद नज़र आता है बयाबाँ से अदम को जाना ख़ाक हो दर्द-ए-जुनूँ में मुझे घर की उम्मीद उस ने देखा न मिरा हाल-ए-ज़बूँ ता-दम-ए-मर्ग जान के साथ गई एक नज़र की उम्मीद वादा-ए-वस्ल में था किस क़दर अंदाज़-ए-फ़रेब न थी उम्मीद-ए-वफ़ा उस से मगर की उम्मीद ज़ब्त-ए-ग़म तर्क-ए-हवस पास-ए-वफ़ा करता हूँ आह के साथ रही दिल में असर की उम्मीद तेरे क़दमों में ही ग़लताँ न हुआ ज़ीनत-ए-गोश ख़ाक में मिल गई अफ़सोस गुहर की उम्मीद काविश-ए-तीर कहाँ बुर्रिश-ए-शमशीर कहाँ दिल की हसरत है अबस और जिगर की उम्मीद पोंछते पोंछते आँसू मिरे वो शरमाए क्यों कहा हाए ये थी दीदा-ए-तर की उम्मीद आरज़ू है कि दिल-ए-साफ़ में हो जल्वा-ए-यार रौशन आईने से है आइना-गर की उम्मीद शम्अ-साँ सुब्ह-ए-शब-ए-वा'दा हुआ जल के तमाम हो गई ख़ाक मिरी चार-पहर की उम्मीद दीदा-ए-शौक़ बने महव-ए-तमाशा ठहरे तेरा जल्वा है मगर शम्स-ओ-क़मर की उम्मीद अभी वो हाल है जो सदमा-ए-शब से होता शाम-ए-हिज्राँ नज़र आती है सहर की उम्मीद हाथ से उस के हुए क़त्ल न ग़म ही से हलाक पूरी होती है इधर की न उधर की उम्मीद ज़ोफ़ अच्छा है रफ़ीक़ अपना तरीक़-ए-ग़म में हर क़दम क्यों न हो अंजाम-ए-सफ़र की उम्मीद तुम को सौदा है 'ज़की' आह में तासीर कहाँ शजर-ए-बेद से रखते हो समर की उम्मीद

qatra-e-ashk se taskīn-e-jigar kī ummīd
Mohammad Zakariyya Khan
Mohammad Zakariyya Khan
Mohammad Zakariyya Khan
poet16 quotes

More by Mohammad Zakariyya Khan

View all →
Quote
"dil kyaa harif ho tiri ranjish ke biim kaa tufaan hai charaagh ko jhokaa nasim kaa nazzaargi ko nashsha hai zauq-e-kalim kaa jalva magar buton mein hai nur-e-qadim kaa vo saadgi se pursish-e-ahvaal ab kahaan khulnaa sitam huaa mire haal-e-saqim kaa duniyaa mein soz-e-ishq ko paayaa sazaa-e-ishq dil ho gayaa kanaar mein shoala jahim kaa baiThaa uThaa rahaa hai maze sair-e-charkh ke paaya buland hai tire dar ke muqim kaa mansur ko milaa thaa anal-haq se auj-e-daar bartar huaa kalaam se rutba kalim kaa yuun be-khabar haqiqat-e-aalam se rah gayaa nashsha thaa jaam-e-jam mein dimaagh-e-hakim kaa ratb-ul-lisaan hai mauj to gauhar hai tar vahaan dariyaa muhit hai tire faiz-e-amim kaa us hur-vash se chashm-e-tasavvur hai jalva-zaar nazzaara hai khayaal mein baagh-e-naim kaa yusuf se nur-e-dida-e-yaaqub thaa ravaan thaa pairahan dikhaane ko parda shamim kaa gir kar tumhaare kaan se be-aab hai guhar utraa hai dard-e-hijr se munh us yatim kaa ummid hai ki morid-e-in'aam-e-dost huun juuyaa huun main vafaa ki rah-e-mustaqim kaa be-yaar bazm-e-hasti-e-aashiq hai be-farogh dil shoala-e-fasurda hai shama-e-harim kaa tamkin-e-vaza-o-tarz-e-tabassum mein dekhiye andaaz us ki shokhi-e-taba-e-salim kaa imaan hai tire rukh-e-raushan ko dekhnaa pesh-e-nazar hai moajiza maah-e-do-nim kaa har dam hai qabz-o-bast tire lutf-o-qahr se dil aaina hai surat-e-umid-o-bim kaa aadaab ki jagah hai 'zaki' bazm-e-ittihaad naazuk hai misl-e-shisha-e-mai dil nadim kaa"
Mohammad Zakariyya KhanMohammad Zakariyya Khan
Quote
"ham ko dildaar aziiz apnaa dil-e-zaar aziiz dein na dein jins-e-aziz aur kharidaar aziiz khvaar rah kar hue barson mein vafaadaar aziiz tul-e-aazaar se hote hain ye bimaar aziiz is qadar kyon hai khudaa ishq kaa aazaar aziiz mubtalaa is mein hamesha rahe do-chaar aziiz kabhi zindaan se nikalne nahin detaa baahar paasbaan ko hain magar is ke giraftaar aziiz ye sabab raunaq-e-dil ke vo mataaa-e-baazaar yusuf-e-dil hue yaa yusuf-e-baazaar aziiz allah allaah buton kaa vo tabakhtur vo ghurur kis ke hain un ke sivaa nakhvat-o-pindaar aziiz kaafir-e-ishq-e-butaan huun yahi mazhab hai miraa surat-e-rishta-e-jaan hai mujhe zunnaar aziiz mujhe ai naala tiri be-asari hai manzur rah mire dil mein ki hai khaatir-e-dildaar aziiz ye mujhe kucha-e-jaanaan se uThaa laate hain dost jo karte hain karnaa nahin zinhaar aziiz qais divaana nahin thaa to gayaa kyon su-e-dasht hote hain ku-e-sanam ke dar-o-divaar aziiz dil-e-jaan-baaz ko bhi abru-e-qaatil hai pasand jis tarah mard sipaahi ko ho talvaar aziiz fitna-e-ishq mein kyaa shaan-e-sar-afraazi hai ki chaDhaate hain azizon ko sar-e-daar aziiz daulat-e-husn ghulaamon ko banaati hai shaah tohmat-e-ishq se hote hain subuksaar aziiz teri shaamat hai 'zaki' baiThe-baiThaae tu ne kyon hasinon ko diyaa dil ki huaa khvaar aziiz"
Mohammad Zakariyya KhanMohammad Zakariyya Khan
Quote
"dil hi mein naala-e-shab-gir ulaT jaataa hai naa-muvaafiq hai havaa tiir ulaT jaataa hai naale us ki nigah-e-qahr se ruk jaate hain tiir se murgh-e-havaa-gir ulaT jaataa hai jalva-gah mein tiri kyaa Thahrun ki saaya naa-chaar jab huaa rukash-e-tanvir ulaT jaataa hai Thahraa izhaar-e-vafaa shikva-e-vasl-e-aghyaar rashk se haasil-e-taqrir ulaT jaataa hai munh kharaabaat mein rindon se chhupaae kyaa shaikh nashshe mein daaman-e-tazvir ulaT jaataa hai zauq-e-tahsin 'zaki' kis qadar allaah-allaah dam-e-bismil dam-e-takbir ulaT jaataa hai"
Mohammad Zakariyya KhanMohammad Zakariyya Khan
Quote
"vo sunte hi nahin to hui daastaan abas shikve abas hamaare hamaaraa bayaan abas lete hain bekason ke dil-o-din-o-jaan abas turkaan-e-shokh luTte hain kaarvaan abas duniyaa mein jab khudaa hi buton ko banaa chukaa kartaa hai aur fikr-e-sitam aasmaan abas tasvir ki tarah hain tiri bazm mein khamosh goyaa hui hai khalq hamaari zabaan abas dil mubtalaa-e-dard-o-alam thaa gayaa gayaa li jaan bhi buton ne huaa ye ziyaan abas yuun hi sitam-kashon se taghaaful agar rahaa be-sud hai umid-e-vafaa imtihaan abas honi hai ek roz khizaan is bahaar ki gulshan mein kyon banaae koi aashiyaan abas us ke sivaa hai hech mujhe jumla kaaenaat vo hi na ho nazar mein to kaun-o-makaan abas baaqi hai dil ke jaane kaa siine mein ek daagh hotaa hai baad zakhm ke jaise nishaan abas sote hain vo kanaar-e-adu mein tamaam raat misl-e-azaan-e-subh yahaan hai fughaan abas us ki vo guftugu vo tabassum kahaan nasib bulbul ki hai zabaan to gul kaa dahaan abas vo baad-e-marg meri ayaadat ko aae hain naa-mehrbaan hue bhi agar mehrbaan abas aazaar-e-taaza ai sitam-ijaad mujh ko de khu ho ke ho gayaa hai gham-e-jaavedaan abas anjaam-e-shauq-e-vasl-e-butaan jaantaa to hai rahtaa hai be-qaraar miraa raaz-daan abas Thokar lagaaein ye bhi giraan naazuki se hai rakhtaa huun un ki rah mein sar-e-naa-tavaan abas"
Mohammad Zakariyya KhanMohammad Zakariyya Khan
Quote
"dil hi thaa bas mein na vo rashk-e-qamar aaj ki raat kuchh ajab Dhang se ki ham ne sahar aaj ki raat vaada-e-vasl se bhi kal to tasalli dil ko aaj inkaar hai kyun-kar ho basar aaj ki raat tere bimaar ko har roz taab thaa lekin us ke munh par hai ayaan rang-e-digar aaj ki raat raahat-e-khvaab nahin hai jo ham-aaghoshi mein siine par shauq se rakh lijiye sar aaj ki raat rouun kyaa chashm ko ham-saae mujhe rote hain sail-e-girya ne na chhoDaa koi ghar aaj ki raat naqd-e-dil nazr karun maaya-e-jaan bhi de duun un ke aane ki jo de koi khabar aaj ki raat un ke aane mein na ho jaae kahin ye bhi uzr tham ke ro ek zaraa dida-e-tar aaj ki raat dekh luun subh ko kyaa hoti hai dil ko raahat mujh ko jiine de tu ai soz-e-jigar aaj ki raat ham na kahte the 'zaki' ishq na kiijo naadaan hai vahi hijr-e-sanam pesh-e-nazar aaj ki raat"
Mohammad Zakariyya KhanMohammad Zakariyya Khan
Quote
"ye imtihaan khuub hai husn-e-shabaab kaa lenaa thaa dil bhi mujh se hi khaana-kharaab kaa aankhon se dekhnaa hai tariqa hijaab kaa rahtaa hai dil mein jalva yahaan aaftaab kaa do khalq ko na rabt-e-adu se fareb-e-mehr uThne do rozgaar se Dar inqalaab kaa mai bhi thi aag aatish-e-hasrat hui nasib ai kaash daagh siina mein hotaa sharaab kaa uThnaa thaa us ke rukh se qayaamat naqaab kaa aalam har ek zarra mein hai aaftaab kaa qata-e-vafaa se rafa-e-shikaayat muhaal hai haan silsila hai naala-e-dil pech-o-taab kaa ye hashr kyaa huaa abhi main ne kiyaa nahin kuchh bhi bayaan apne gham-e-be-hisaab kaa martaa huun rashk se ki muqaddar huaa thaa kyon mahshar mein mujh se yaar se uThnaa hijaab kaa likkhaa hai shauq-e-vasl to main ne unhein magar dhaDkaa hai naama-bar kaa taraddud javaab kaa saaqi ke saath jaagein to soein buton ke saath lazzat vo jaagne ki hai ye lutf khvaab kaa rone se apni jaa chuki naakaami-e-azal namnaak ho kar aaina tishna hai aab kaa maghrur-e-husn hain unhein kyaa yaad raah mein maaraa huaa hai kaun nigaah-e-itaab kaa dil ko judaai-e-sanam us par shakeb haif khugar na ho gayaa ho ye kaafir azaab kaa kahne se qabl chehre kaa rang uD gayaa yahaan sunne se pahle samjhe vo haal iztiraab kaa nairangi-e-tilism-e-tamanna ko kyaa kahun aalam dikhaa rahaa hai zulekhaa ke khvaab kaa maadum ho 'zaki' hai agar shauq-e-vasl asl baad-e-fanaa hai bahr mein milnaa habaab kaa"
Mohammad Zakariyya KhanMohammad Zakariyya Khan

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari