"dilon par ye naqsh us ne apnaa biThaayaa ki jo choT par said aayaa biThaayaa misaal-e-kabutar mire dil ko us ne bhagaayaa bulaayaa uThaayaa biThaayaa tire aatishin husn ne shama ko shab khapaayaa jalaayaa galaayaa biThaayaa uThaayaa usi gham ne duniyaa se pyaare kabhi tum ne ham ko na tanhaa biThaayaa samajh teri ulTi hai ai jaan-e-aalam ki apnaa uThaayaa paraayaa biThaayaa na bole lahad mein bhi ham Dar se tere farishton ne kitnaa jagaayaa biThaayaa gayaa koThe par vo ye ki mah ne azmat ki ujlaa bichhaunaa bichhaayaa biThaayaa ye vo qais hai khaas shaagird meraa pakaD kaan jis ko uThaayaa biThaayaa 'vaqaar' is ghazal ki zamin had buri thi bahut zor de kar biThaayaa biThaayaa"
rahtaa hai mere dil mein tiraa nuur raat din — Kishan Kumaar Waqaar
"rahtaa hai mere dil mein tiraa nuur raat din ik shoala barq-zan hai sar-e-tur raat din maanind mehr-o-maah hasinon mein hai firaaq kyuun ek ek se na rahe duur raat din ham ne milaai aankh ye munh hai sahaab kaa jaari hai zakhm-e-chashm kaa naasur raat din tere liye misaal-e-mah-o-mehr-o-najm-o-charkh phirte hain lunj-o-lang-o-kar-o-kor raat din kuchh gham firaaq kaa hai na kuchh vasl ki khushi huun us ke zauq-o-shauq mein masrur raat din munh kis kaa meraa zikr kare us ke ru-ba-ru rahtaa hai varna khalq kaa mazkur raat din khvaahish har aaina hai udhar bhi nazar rahe go aaina nazar ke hai manzur raat din dil mein jo bas rahi hai koi naaznin hasin phirti hai meri aankhon mein ik huur raat din sozish hai daagh-e-hijr mein is se sivaa 'vaqaar' bhartaa huun jitnaa marham-e-kaafur raat din"
رہتا ہے میرے دل میں ترا نور رات دن اک شعلہ برق زن ہے سر طور رات دن مانند مہر و ماہ حسینوں میں ہے فراق کیوں ایک ایک سے نہ رہے دور رات دن ہم نے ملائی آنکھ یہ منہ ہے سحاب کا جاری ہے زخم چشم کا ناسور رات دن تیرے لیے مثال مہ و مہر و نجم و چرخ پھرتے ہیں لنج و لنگ و کر و کور رات دن کچھ غم فراق کا ہے نہ کچھ وصل کی خوشی ہوں اس کے ذوق و شوق میں مسرور رات دن منہ کس کا میرا ذکر کرے اس کے روبرو رہتا ہے ورنہ خلق کا مذکور رات دن خواہش ہر آئنہ ہے ادھر بھی نظر رہے گو آئینہ نظر کے ہے منظور رات دن دل میں جو بس رہی ہے کوئی نازنیں حسیں پھرتی ہے میری آنکھوں میں اک حور رات دن سوزش ہے داغ ہجر میں اس سے سوا وقارؔ بھرتا ہوں جتنا مرہم کافور رات دن
रहता है मेरे दिल में तिरा नूर रात दिन इक शो'ला बर्क़-ज़न है सर-ए-तूर रात दिन मानिंद मेहर-ओ-माह हसीनों में है फ़िराक़ क्यूँ एक एक से न रहे दूर रात दिन हम ने मिलाई आँख ये मुँह है सहाब का जारी है ज़ख़्म-ए-चश्म का नासूर रात दिन तेरे लिए मिसाल-ए-मह-ओ-मेहर-ओ-नज्म-ओ-चर्ख़ फिरते हैं लुंज-ओ-लंग-ओ-कर-ओ-कोर रात दिन कुछ ग़म फ़िराक़ का है न कुछ वस्ल की ख़ुशी हूँ उस के ज़ौक़-ओ-शौक़ में मसरूर रात दिन मुँह किस का मेरा ज़िक्र करे उस के रू-ब-रू रहता है वर्ना ख़ल्क़ का मज़कूर रात दिन ख़्वाहिश हर आइना है उधर भी नज़र रहे गो आईना नज़र के है मंज़ूर रात दिन दिल में जो बस रही है कोई नाज़नीं हसीं फिरती है मेरी आँखों में इक हूर रात दिन सोज़िश है दाग़-ए-हिज्र में इस से सिवा 'वक़ार' भरता हूँ जितना मर्हम-ए-काफ़ूर रात दिन
More by Kishan Kumaar Waqaar
View all →"aashiqi mein hai jaan kaa khaTkaa aur bhi kuchh buraa bhalaa khaTkaa yaar sayyaad baaghbaan kaa huaa ye nayaa aur ik bandhaa khaTkaa kaan aahaT ki raah se na haTe dil mein thaa kis ke aane kaa khaTkaa vahi kaavish mizha ne ki aakhir jis kaa avval se dil mein thaa khaTkaa bulbul-e-paak-bin hai aashiq-e-gul baaghbaan tu na khaTkhaTaa khaTkaa be tire yaar sair-e-gulshan mein phuul aankhon mein khaar saa khaTkaa tujh ko dekhaa uThaa uThaa kar sar saans kaa bhi agar huaa khaTkaa ishq ke hain 'vaqaar' chaar unsur khauf andesha-o-daghaa khaTkaa"
"vo mizha maarti kaTaari hai chashm-e-baddur zakhm kaari hai aankhein chamkaa gayaa vo barq-aasaa dil miraa vaqf-e-be-qaraari hai qais baad-e-sabaa hai bu lailaa shaakh-e-gul naafe ki savaari hai zulf tak go na pahunchaa shaana-vaar haath ko par umid-vaari hai dil pe chaDhti nahin koi tadbir meri taqdir vo utaari hai doston se hai un ki ayyaari aur aadaa se dost-daari hai dam samajhtaa hai ai 'vaqaar' vo shokh meri do din se dam-shumaari hai"
"ishq hai us zulf kaa sartaaj aaj hai rasul-e-husn ki mearaaj aaj nok-e-mizhgaan par nahin hai lakht-e-dil daar par khinchaa gayaa hallaaj aaj tark chashm-e-yaar ke tevar hain aur khirman-e-taaqat kaa hai taaraaj aaj tegh-e-abru kal paDi dil par mire tiir mizhgaan kaa huaa aamaaj aaj chuse hain us ke misi aaluda-lab main ne nilam kaa kiyaa pokhraaj aaj vasl ki marzi thi kal us shokh ki phir gayaa vo vaqt-e-istimzaaj aaj likkhaa hai jo vasf abru kaa 'vaqaar' sher-sheari se na le kyuun baaj aaj"
"shoaraa mein na ho kyuun sher hamaaraa unchaa ki qad-e-yaar kaa mazmun hai baandhaa unchaa naaz ki nashv-o-numaa hai ki hai joban kaa ubhaar varna kyaa hai tire siine pe ye unchaa unchaa dil musaafir hai safar shab kaa phir is par turra kucha-e-zulf mein hai har jagah nichaa unchaa ai adab khaar ki taazim hai nichaa rahnaa haan kahin ho na sar-e-aabla-e-paa unchaa zulf hai past jo gesu se to ye kaakul se chau-gune martaba mein is se hai turra unchaa chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ik haath ghair mumkin hai zamin se bahe dariyaa unchaa kyuun 'vaqaar' apnaa galaa pir-o-javaan phaaDte hain pir-e-kohna hai falak had se hai suntaa unchaa"
"aariz se tire bahaar maqsud hai khat se ba-naqsha-zaar maqsud uD uD ke ghubaar-e-aashiq aayaa kucha mein jo thaa mazaar maqsud kaabe se ghazaal kudtaa aae ho un kaa agar shikaar maqsud gesu se gharaz hai khaas kar lail rukhsaar se hai nahaar maqsud nargis hai chaman ki dida-e-shauq hai aap kaa intizaar maqsud dil ki na kali shagufta hogi gul se na rakhe hazaar maqsud daaghon kaa 'vaqaar' siina mushtaaq hai koh kaa laala-zaar maqsud"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kyaa manzil-e-gham simaT gai hai ik aah mein raah kaT gai hai phir saamne hai pahaaD si raat phir shaam se niind uchaT gai hai pahlu mein ye kaisaa dard uThaa hai ye kaun si raah kaT gai hai aap aae nahin to maut kambakht aa aa ke palaT palaT gai hai uTh uTh ke mariz-e-gham ne puchhaa kyaa hijr ki raat kaT gai hai phir 'saif' havaa-e-yaad-e-rafta har gham ki naqaab ulaT gai hai"