"salaam us par agar aisaa koi fankaar ho jaae siyaahi khuun ban jaae qalam talvaar ho jaae zamaane se kaho kuchh saaiqa-raftaar ho jaae hamaare saath chalne ke liye tayyaar ho jaae zamaane ko tamannaa hai tiraa didaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko miraa didaar ho jaae vo zulfein saanp hain be-shak agar zanjir ban jaaein mohabbat zahr hai be-shak agar aazaar ho jaae mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain vagarna ham nigaahein Daal dein jis par vahi sarkaar ho jaae"
teraa chehra subh kaa taaraa lagtaa hai — Kaif Bhopali
"teraa chehra subh kaa taaraa lagtaa hai subh kaa taaraa kitnaa pyaaraa lagtaa hai tum se mil kar imli miThi lagti hai tum se bichhaD kar shahad bhi khaaraa lagtaa hai raat hamaare saath tu jaagaa kartaa hai chaand bataa tu kaun hamaaraa lagtaa hai kis ko khabar ye kitni qayaamat Dhaataa hai ye laDkaa jo itnaa bechaara lagtaa hai titli chaman mein phuul se lipTi rahti hai phir bhi chaman mein phuul kanvaaraa lagtaa hai 'kaif' vo kal kaa 'kaif' kahaan hai aaj miyaan ye to koi vaqt kaa maaraa lagtaa hai"
تیرا چہرہ صبح کا تارا لگتا ہے صبح کا تارا کتنا پیارا لگتا ہے تم سے مل کر املی میٹھی لگتی ہے تم سے بچھڑ کر شہد بھی کھارا لگتا ہے رات ہمارے ساتھ تو جاگا کرتا ہے چاند بتا تو کون ہمارا لگتا ہے کس کو خبر یہ کتنی قیامت ڈھاتا ہے یہ لڑکا جو اتنا بیچارہ لگتا ہے تتلی چمن میں پھول سے لپٹی رہتی ہے پھر بھی چمن میں پھول کنوارا لگتا ہے کیفؔ وہ کل کا کیفؔ کہاں ہے آج میاں یہ تو کوئی وقت کا مارا لگتا ہے
तेरा चेहरा सुब्ह का तारा लगता है सुब्ह का तारा कितना प्यारा लगता है तुम से मिल कर इमली मीठी लगती है तुम से बिछड़ कर शहद भी खारा लगता है रात हमारे साथ तू जागा करता है चाँद बता तू कौन हमारा लगता है किस को ख़बर ये कितनी क़यामत ढाता है ये लड़का जो इतना बेचारा लगता है तितली चमन में फूल से लिपटी रहती है फिर भी चमन में फूल कँवारा लगता है 'कैफ़' वो कल का 'कैफ़' कहाँ है आज मियाँ ये तो कोई वक़्त का मारा लगता है

More by Kaif Bhopali
View all →"dar-o-divaar pe shaklein si banaane aai phir ye baarish meri tanhaai churaane aai zindagi baap ki maanind sazaa deti hai rahm-dil maan ki tarah maut bachaane aai aaj kal phir dil-e-barbaad ki baatein hain vahi ham to samjhe the ki kuchh aql Thikaane aai dil mein aahaT si hui ruuh mein dastak gunji kis ki khush-bu ye mujhe mere sirhaane aai main ne jab pahle-pahal apnaa vatan chhoDaa thaa duur tak mujh ko ik aavaaz bulaane aai teri maanind tiri yaad bhi zaalim nikli jab bhi aai hai miraa dil hi dukhaane aai"
"tujhe kaun jaantaa thaa miri dosti se pahle tiraa husn kuchh nahin thaa miri shaairi se pahle idhar aa raqib mere main tujhe gale lagaa luun miraa ishq be-mazaa thaa tiri dushmani se pahle kai inqilaab aae kai khush-khiraam guzre na uThi magar qayaamat tiri kam-sini se pahle miri subh ke sitaare tujhe DhunDti hain aankhein kahin raat Das na jaae tiri raushni se pahle"
"gardish-e-arz-o-samaavaat ne jiine na diyaa kaT gayaa din to hamein raat ne jiine na diyaa kuchh mohabbat ko na thaa chain se rakhnaa manzur aur kuchh un ki inaayaat ne jiine na diyaa haadsa hai ki tire sar pe na ilzaam aayaa vaaqia hai ki tiri zaat ne jiine na diyaa 'kaif' ke bhulne vaale ko khabar ho ki use sadma-e-tark-e-mulaaqaat ne jiine na diyaa"
"etakaaf mein zaahid munh chhupaae baiThaa hai ghaaliban zamaane se maat khaae baiThaa hai vaae-aashiq-e-naadaan kaaenaat ye teri ik shikasta shishe ko dil banaae baiThaa hai taalibaan-e-did un ke dhuup dhuup phirte hain ghair un ke kuche mein saae saae baiThaa hai is taraf bhi ai saahab iltifaat-e-yak-mizhgaan ik gharib mahfil mein sar jhukaae baiThaa hai dur-baash ai gulchin vaa hai dida-e-nargis aaj har gul-e-naazuk khaar khaae baiThaa hai kyuun sunaa nahin detaa faisla muqaddar kaa naama-bar mire aage khat chhupaae baiThaa hai subh ki havaa un se sirf itnaa kah denaa koi shama ki ab tak lau baDhaae baiThaa hai"
"jab hamein masjid jaanaa paDaa hai raah mein ik mai-khaana paDaa hai jaaiye ab kyuun jaanib-e-sahraa shahr to khud viraana paDaa hai ham na piyeinge bhiik ki saaqi le ye tiraa paimaana paDaa hai harj na ho to dekhte chaliye raah mein ik divaana paDaa hai khatm hui sab raat ki mahfil ek par-e-parvaana paDaa hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"