SHAWORDS

vahi naa-saburi-e-aarzu vahi naqsh-e-paa vahi jaada hai — Ada Jafarey

HomeAda JafareyGhazal
"vahi naa-saburi-e-aarzu vahi naqsh-e-paa vahi jaada hai koi sang-e-rah ko khabar karo usi aastaan kaa iraada hai vahi ashk-e-khun ke gulaab hain vahi khaar khaar hai pairahan na karam ki aas bujhi abhi na sitam ki dhuup ziyaada hai abhi raushni ki lakir si sar-e-rahguzaar hai jaan-ba-lab kisi dil ki aas miTi nahin kahin ik daricha kushaada hai tan-e-zakhm zakhm ko chhoD de mire chaaragar mire mehrbaan dil-e-daagh daagh kaa hausla tiri marhamat se ziyaada hai jo nazar bachaa ke guzar gae to na aa sakoge palaT ke tum baDi mohtaram hai ye bebasi ki khulus-e-jaan kaa libaada hai yahi zindagi hai buri-bhali ye kashida sar ye barahna-paa na ghubaar-e-raah se muzmahil na sukun-e-jaan kaa iaada hai miraa iftikhaar vafaa talak mujhe raas aa na sakaa 'adaa' tiraa naam jis pe likhaa rahaa vo kitaab aaj bhi saada hai"
Urdu

وہی نا صبورئ آرزو وہی نقش پا وہی جادہ ہے کوئی سنگ رہ کو خبر کرو اسی آستاں کا ارادہ ہے وہی اشک خوں کے گلاب ہیں وہی خار خار ہے پیرہن نہ کرم کی آس بجھی ابھی نہ ستم کی دھوپ زیادہ ہے ابھی روشنی کی لکیر سی سر رہ گزار ہے جاں بہ لب کسی دل کی آس مٹی نہیں کہیں اک دریچہ کشادہ ہے تن زخم زخم کو چھوڑ دے مرے چارہ گر مرے مہرباں دل داغ داغ کا حوصلہ تری مرحمت سے زیادہ ہے جو نظر بچا کے گزر گئے تو نہ آ سکو گے پلٹ کے تم بڑی محترم ہے یہ بے بسی کہ خلوص جاں کا لبادہ ہے یہی زندگی ہے بری بھلی یہ کشیدہ سر یہ برہنہ پا نہ غبار راہ سے مضمحل نہ سکون جاں کا اعادہ ہے مرا افتخار وفا تلک مجھے راس آ نہ سکا اداؔ ترا نام جس پہ لکھا رہا وہ کتاب آج بھی سادہ ہے

Hindi

वही ना-सबूरी-ए-आरज़ू वही नक़्श-ए-पा वही जादा है कोई संग-ए-रह को ख़बर करो उसी आस्ताँ का इरादा है वही अश्क-ए-ख़ूँ के गुलाब हैं वही ख़ार ख़ार है पैरहन न करम की आस बुझी अभी न सितम की धूप ज़ियादा है अभी रौशनी की लकीर सी सर-ए-रहगुज़ार है जाँ-ब-लब किसी दिल की आस मिटी नहीं कहीं इक दरीचा कुशादा है तन-ए-ज़ख़्म ज़ख़्म को छोड़ दे मिरे चारागर मिरे मेहरबाँ दिल-ए-दाग़ दाग़ का हौसला तिरी मरहमत से ज़ियादा है जो नज़र बचा के गुज़र गए तो न आ सकोगे पलट के तुम बड़ी मोहतरम है ये बेबसी कि ख़ुलूस-ए-जाँ का लिबादा है यही ज़िंदगी है बुरी-भली ये कशीदा सर ये बरहना-पा न ग़ुबार-ए-राह से मुज़्महिल न सुकून-ए-जाँ का इआदा है मिरा इफ़्तिख़ार वफ़ा तलक मुझे रास आ न सका 'अदा' तिरा नाम जिस पे लिखा रहा वो किताब आज भी सादा है

vahī nā-sabūrī-e-ārzū vahī naqsh-e-pā vahī jaada hai
Ada Jafarey
Ada Jafarey
Ada Jafarey
poet101 quotes

More by Ada Jafarey

View all →
Quote
"be-gaangi-e-tarz-e-sitam bhi bahaana-saaz be-chaargi-e-karb-o-alam bhi bahaana-saaz kuchh but banaa liye hain chaTTaanein taraash kar dil bhi bahaana-saaz hai gham bhi bahaana-saaz uzr-e-vafaa ke saath jalaate rahe charaagh khultaa hai ab ki dida-e-nam bhi bahaana-saaz paabandi-e-rusum-o-vafaa bhi bahaana-khu tark-e-vafaa-o-sheva-e-ram bhi bahaana-saaz har lamha-e-hayaat kaa tanhaa rahaa vajud dildaari-e-nigaah-e-karam bhi bahaana-saaz kuchh duur saath saath the itnaa to yaad hai sahraa-e-gham mein naqsh-e-qadam bhi bahaana-saaz sab se baDaa fareb hai khud zindagi 'adaa' is hila-ju ke saath hain ham bhi bahaana-saaz"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"har gaam sambhal sambhal rahi thi yaadon ke bhanvar mein chal rahi thi saanche mein khabar ke Dhal rahi thi ik khvaab ki lau se jal rahi thi shabnam si lagi jo dekhne main patthar ki tarah pighal rahi thi rudaad safar ki puchhte ho main khvaab mein jaise chal rahi thi kaifiyyat-e-intizaar-e-paiham hai aaj vahi jo kal rahi thi thi harf-e-duaa si yaad us ki zanjir-e-firaaq gal rahi thi kaliyon ko nishaan-e-rah dikhaa kar mahki hui raat Dhal rahi thi logon ko pasand laghzish-e-paa aise mein 'adaa' sambhal rahi thi"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"aage harim-e-gham se koi raasta na thaa achchhaa huaa ki saath kisi ko liyaa na thaa daamaan-e-chaak chaak gulon ko bahaana thaa dil kaa jo rang thaa vo nazar se chhupaa na thaa rang-e-shafaq ki dhuup khili thi qadam qadam maqtal mein subh-o-shaam kaa manzar judaa na thaa kyaa bojh thaa ki jis ko uThaae hue the log muD kar kisi ki samt koi dekhtaa na thaa kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa kuchh log sharmsaar khudaa jaane kyuun hue apne sivaa hamein to kisi se gilaa na thaa har ik qadam uThaa thaa nae mausamon ke saath vo jo sanam taraash thaa but pujtaa na thaa jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ataa huaa us aastaan-e-shauq pe sajda ravaa na thaa aandhi mein barg-e-gul ki zabaan se adaa huaa vo raaz jo kisi se abhi tak kahaa na thaa"
Ada JafareyAda Jafarey
Quote
"Dhalke Dhalke aansu Dhalke chhalke chhalke saaghar chhalke dil ke taqaaze un ke ishaare bojhal bojhal halke halke dekho dekho daaman uljhaa Thahro Thahro saaghar chhalke un kaa taghaaful un ki tavajjoh ik dil us par laakh tahalke un ki tamannaa un ki mohabbat dekho sanbhaal ke dekho sanbhal ke gham ne uThaae saikDon tufaan dil ne bisaaraa laakh machal ke pal mein hansaao pal mein rulaao pal mein ujaale pal mein dhundalke ham ne samjhaa tum ne jaanaa dil ne machaae laakh tahalke laakh manaayaa laakh bhulaayaa nain kaTore bhar bhar kar chhalke kitne uljhe kitne sidhe raste un ke rang-mahal ke"
Ada JafareyAda Jafarey

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb