SHAWORDS

vaqt kaa silsila nahin ruktaa — Naeem Zarrar Ahmad

"vaqt kaa silsila nahin ruktaa laakh roko zaraa nahin ruktaa ye zamin hai khudaaon kaa madfan aadam-e-kaj-adaa nahin ruktaa ishq vo chaar su safar hai jahaan koi bhi raasta nahin ruktaa raftagaan aaina dikhaataa hai kuchh bhi ho irtiqaa nahin ruktaa"
Urdu

وقت کا سلسلہ نہیں رکتا لاکھ روکو ذرا نہیں رکتا یہ زمیں ہے خداؤں کا مدفن آدم کج ادا نہیں رکتا عشق وہ چار سو سفر ہے جہاں کوئی بھی راستہ نہیں رکتا رفتگاں آئینہ دکھاتا ہے کچھ بھی ہو ارتقا نہیں رکتا

Hindi

वक़्त का सिलसिला नहीं रुकता लाख रोको ज़रा नहीं रुकता ये ज़मीं है ख़ुदाओं का मदफ़न आदम-ए-कज-अदा नहीं रुकता इश्क़ वो चार सू सफ़र है जहाँ कोई भी रास्ता नहीं रुकता रफ़्तगाँ आईना दिखाता है कुछ भी हो इर्तिक़ा नहीं रुकता

vaqt kā silsila nahīñ ruktā
Naeem Zarrar Ahmad
Naeem Zarrar Ahmad
Naeem Zarrar Ahmad
poet29 quotes

More by Naeem Zarrar Ahmad

View all →
Quote
"shuur-e-zaat ke saanche mein Dhalnaa chaahtaa huun main girne se bahut pahle sambhalnaa chaahtaa huun libaas-e-aadam-e-khaaki badalnaa chaahtaa huun main apne jism se baahar nikalnaa chaahtaa huun tumhaari yaad ki baarish mein jalnaa chaahtaa huun main sang-o-khisht huun lekin pighalnaa chaahtaa huun mire andar khazaane hain ugalnaa chaahtaa huun tah-e-paataal ko chhu kar uchhalnaa chaahtaa huun mujhe pichhe nahin rahnaa hai jiine ki tamannaa husain ibn-e-ali ke saath chalnaa chaahtaa huun"
Naeem Zarrar AhmadNaeem Zarrar Ahmad

More on Safar

View all →
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"vo tijaarat mein kahaan koi ziyaan chhoDtaa hai ruuh le letaa hai aa'saab yahaan chhoDtaa hai hai ye patthar miraa shishe se tire baalaa-tar kam se kam zulm ke maathe pe nishaan chhoDtaa hai bazm-e-anjum mein uThaa laae ho ye kis kaa diyaa nuur to kuchh nahin detaa hai dhuaan chhoDtaa hai ham se khud-sar su-e-maidaan-e-vighaa jaate hue ye nahin sochte hain kaun kahaan chhoDtaa hai 'ishq vo mo'jiza-e-kun hai nishaan jo apne jahaan hoti nahin ummid vahaan chhoDtaa hai qasr-e-fir'aun idhar aur udhar vaadi-e-misr dekhnaa ye hai kidhar aab-e-ravaan chhoDtaa hai ai khirad-baakhta shaddaad iram par tiri tuf itne saste mein koi baagh-e-jinaan chhoDtaa hai vahshatein khinch liye jaati hain sahraa mein 'safar' apni marzi se bhalaa kaun makaan chhoDtaa hai"
Safar NaqviSafar Naqvi