SHAWORDS

vo bevafaa koi dam aur jo Thahar jaataa — Anwar Anjum

HomeAnwar AnjumGhazal
"vo bevafaa koi dam aur jo Thahar jaataa rah-e-talab mein ye dil yuun na dar-ba-dar jaataa tiri gali mein fasaane bikherne ke liye ye laazmi thaa ki ham saa hi be-khatar jaataa tujh ajnabi kaa ho kyaa gham ki is andhere mein main apne-aap ko khud dekhtaa to Dar jaataa tumhaari bandish-e-aadaab se nazar jaagi main be-khabar to yunhi raah se guzar jaataa mujhi mein ho na kisi aanch ki kami varna koi sukhan to tiri ruuh tak utar jaataa koi nigaah to hoti sukun-shanaas kabhi koi nafas to kisi moD par Thahar jaataa vo bu-e-gul hai to ham mauja-e-sabaa 'anjum' vo ham se bach ke chalaa thaa magar kidhar jaataa"
Urdu

وہ بے وفا کوئی دم اور جو ٹھہر جاتا رہ طلب میں یہ دل یوں نہ در بدر جاتا تری گلی میں فسانے بکھیرنے کے لئے یہ لازمی تھا کہ ہم سا ہی بے خطر جاتا تجھ اجنبی کا ہو کیا غم کہ اس اندھیرے میں میں اپنے آپ کو خود دیکھتا تو ڈر جاتا تمہاری بندش آداب سے نظر جاگی میں بے خبر تو یوں ہی راہ سے گزر جاتا مجھی میں ہو نہ کسی آنچ کی کمی ورنہ کوئی سخن تو تری روح تک اتر جاتا کوئی نگاہ تو ہوتی سکوں شناس کبھی کوئی نفس تو کسی موڑ پر ٹھہر جاتا وہ بوئے گل ہے تو ہم موجۂ صبا انجمؔ وہ ہم سے بچ کے چلا تھا مگر کدھر جاتا

Hindi

वो बेवफ़ा कोई दम और जो ठहर जाता रह-ए-तलब में ये दिल यूँ न दर-ब-दर जाता तिरी गली में फ़साने बिखेरने के लिए ये लाज़मी था कि हम सा ही बे-ख़तर जाता तुझ अजनबी का हो क्या ग़म कि इस अंधेरे में मैं अपने-आप को ख़ुद देखता तो डर जाता तुम्हारी बंदिश-ए-आदाब से नज़र जागी मैं बे-ख़बर तो यूँही राह से गुज़र जाता मुझी में हो न किसी आँच की कमी वर्ना कोई सुख़न तो तिरी रूह तक उतर जाता कोई निगाह तो होती सुकूँ-शनास कभी कोई नफ़स तो किसी मोड़ पर ठहर जाता वो बू-ए-गुल है तो हम मौजा-ए-सबा 'अंजुम' वो हम से बच के चला था मगर किधर जाता

vo bevafā koī dam aur jo Thahar jaatā
Anwar Anjum
Anwar Anjum
Anwar Anjum
poet23 quotes

More by Anwar Anjum

View all →
Quote
"qarib aa ki khazaana huun laal-o-gauhar kaa hazaar ret sahi ret huun samundar kaa khilaa hai phuul bahut roz mein muqaddar kaa bas ab na band ho darvaaza tere mandar kaa ye raahe-gaahe kaa milnaa bhi koi milnaa hai jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar kaa tamaam-shahr hai hangaama-e-nashaat mein gum magar ye karb ye sannaaTaa mere andar kaa sadaa kisi ki ho aataa hai apne-aap se khauf main vo gharib ki ghar kaa rahaa na baahar kaa kabhi na khul ke hansaa huun na royaa ji-bhar ke rakhaa hai main ne hamesha qadam baraabar kaa kabhi kabhi kaa ho qissa to koi dukh bhi sune uThaae bojh bhalaa kaun zindagi-bhar kaa gurez hai use meri gali se yuun jaise yahaan jo aayaa to ho jaaegaa vo patthar kaa asir-e-daam fareb-e-zabaan huaa aakhir na e'tibaar jise aayaa dida-e-tar kaa gham-e-zamaana hai vo tegh-e-tishna-kaam 'anjum' uDe hain paanv agar vaar bach gayaa sar kaa"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"tu chaand hai to chaand-nagar mujh se chhin le main kyaa karungaa khaak-basar mujh se chhin le ab teri be-rukhi kaa bhi aataa hai yuun khayaal jaise koi mataa-e-digar mujh se chhin le tu khud hi apni tarz-e-sitam par nigaah rakh main kyaa kahun ye dard-e-jigar mujh se chhin le Daste raheinge zehn ko kab tak mushaahidaat yaarab ye imtiyaaz-e-nazar mujh se chhin le pahchaanti nahin hai use jab kisi ki aankh be-kaar hai nishaan-e-hunar mujh se chhin le ru-e-sahar tu khair mujhe kyaa dikhaaegaa tu aarzu-e-did-e-sahar mujh se chhin le"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"kyaa ravish rakkhi hai phir aap ne auron ke liye gar yahi tarz-e-mulaaqaat hai apnon ke liye rasm-e-ulfat bhi agar aap ke aadaab mein hai to uThaa rakkhi hai vo kaun se vaqton ke liye jaan kaa rog banaa li jo mohabbat ham ne ab vo sunte hain ki tafrih hai logon ke liye teri baatein ye tiraa harf-e-tasalli jaise saamne rakh de khilaune koi bachchon ke liye kabhi aalam thaa ki har khat thaa tiraa dida-e-tar rah gae ab to ye auraaq havaalon ke liye mere chehre pe ho kyuun rang-e-shikaayat 'anjum' mere daaman kaa har ik taar hai yaaron ke liye"
Anwar AnjumAnwar Anjum
Quote
"jahaan-bhar se na yuun meraa tazkira kiije main dil kaa raaz huun dil se miraa gila kiije ye kyaa yaqin ki samajh legaa har ishaara vo labon kaa farz nigaahon se kyuun adaa kiije nasib mein jo kabhi subh kaa ujaalaa ho to mil hi jaaegaa har raat kyaa duaa kiije khulus ko bhi yahaan maslahat kaheinge log bhalaa yahi hai kisi se na jo bhalaa kiije dar-e-havas pe hai har-lahza ik nai dastak jo khud se chhupte na phirye to aur kyaa kiije ye ji mein hai ki tiraa but taraash kar barson tire huzur khaDe arz-e-muddaaa kiije tumhaare haal se ham be-khabar nahin 'anjum' par ab bataao ki kyaa ranj ke sivaa kiije"
Anwar AnjumAnwar Anjum

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil