SHAWORDS

vo dil jo kushta-e-gham-e-sud-o-ziyaan na thaa — Abdul Aziz Fitrat

"vo dil jo kushta-e-gham-e-sud-o-ziyaan na thaa shaaista-e-navaazish-e-daur-e-jahaan na thaa kab mujh ko lutf-e-ahl-e-mohabbat na thaa nasib kab meraa dil mataaa-e-gham-e-dostaan na thaa juz teri yaad ke na thi dil-soz koi yaad juz tere gham ke dil pe koi gham giraan na thaa dil aur gham ke rabt ne majbur kar diyaa yuun varna har qadam pe kabhi imtihaan na thaa vo mil gayaa hai ab mujhe apni khabar ho kyon thi us ki justuju to ye banda kahaan na thaa tum to har ek husn ko pahchaante ho khuub gul ki chaTak mein kyaa miraa husn-e-bayaan na thaa"
Urdu

وہ دل جو کشتۂ غم سود و زیاں نہ تھا شائستۂ نوازش دور جہاں نہ تھا کب مجھ کو لطف اہل محبت نہ تھا نصیب کب میرا دل متاع غم دوستاں نہ تھا جز تیری یاد کے نہ تھی دل سوز کوئی یاد جز تیرے غم کے دل پہ کوئی غم گراں نہ تھا دل اور غم کے ربط نے مجبور کر دیا یوں ورنہ ہر قدم پہ کبھی امتحاں نہ تھا وہ مل گیا ہے اب مجھے اپنی خبر ہو کیوں تھی اس کی جستجو تو یہ بندہ کہاں نہ تھا تم تو ہر ایک حسن کو پہچانتے ہو خوب گل کی چٹک میں کیا مرا حسن بیاں نہ تھا

Hindi

वो दिल जो कुश्ता-ए-ग़म-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ न था शाइस्ता-ए-नवाज़िश-ए-दौर-ए-जहाँ न था कब मुझ को लुत्फ़-ए-अहल-ए-मोहब्बत न था नसीब कब मेरा दिल मताअ'-ए-ग़म-ए-दोस्ताँ न था जुज़ तेरी याद के न थी दिल-सोज़ कोई याद जुज़ तेरे ग़म के दिल पे कोई ग़म गिराँ न था दिल और ग़म के रब्त ने मजबूर कर दिया यूँ वर्ना हर क़दम पे कभी इम्तिहाँ न था वो मिल गया है अब मुझे अपनी ख़बर हो क्यों थी उस की जुस्तुजू तो ये बंदा कहाँ न था तुम तो हर एक हुस्न को पहचानते हो ख़ूब गुल की चटक में क्या मिरा हुस्न-ए-बयाँ न था

vo dil jo kushta-e-ġham-e-sūd-o-ziyāñ na thā
Abdul Aziz Fitrat
Abdul Aziz Fitrat
Abdul Aziz Fitrat
poet35 quotes

More by Abdul Aziz Fitrat

View all →
Quote
"rah-e-gham mein zikr un kaa miraa khaas ham-safar thaa gharaz un ke hi karam se safar apnaa mukhtasar thaa ye sarisht thi jabin ki ise tum muaaf kar do na khayaal-e-dard-e-sar thaa na khayaal-e-sang-e-dar thaa gham-e-dil surur ban kar miri zindagi pe chhaayaa gham-e-dil ki khush-mazaaqi se main kitnaa baa-khabar thaa mire doston ne jaanchaa hai miri sukhan-vari ko na main saahaib-e-hunar thaa na main khaadim-e-hunar thaa kabhi zulmaton kaa shaidaa kabhi nuur kaa thaa joyaa kabhi shab-parast thaa main kabhi kushta-e-sahar thaa nai manzilon ke raste mire paaon chhu rahe hain main harif-e-rahguzar huun main harif-e-rahguzar thaa baDi muddaton mein aa kar ye khulaa hai mujh pe 'fitrat' ki bayaan-e-gham ki khaatir main zabaan-e-chashm-e-tar thaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"us se kahun main haal-e-dil-e-daagh-daagh kyaa hans kar jo ye kahe ki sajaayaa hai baagh kyaa qabr ek khush-nasib ki phulon se aT gai yaaron ke aansuon ne jalaae charaagh kyaa vo multafit nahin hain to kyaa lutf-e-mai-kashi ab hain nazar mein hech subu kyaa ayaagh kyaa vo mehrbaan na hon to khushi kaa kise dimaagh dil mutmain na ho to gham-e-sair-e-baagh kyaa shabnam ke girya se miraa pahunchaa kahaan khayaal ghuncha hai sina-e-chamanistaan kaa daagh kyaa 'fitrat' mizaaj-e-sher ki garmi na puchhiye do she'r kah ke jalne lagaa hai dimaagh kyaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"masti mein bhi khayaal-e-hudud-e-adab rahaa ashkon mein haal arz kiyaa basta-lab rahaa tere karam ne mujh ko ataa ki vo be-khudi arz-e-sipaas kaa mujhe phir hosh kab rahaa tu ne jo kuchh diyaa vo diyaa lutf-e-khaas se paaband-e-aastin miraa dast-e-talab rahaa us bazm mein nigaah pe qaabu na rakh sakaa haan mujh ko e'tiraaf hai main be-adab rahaa daur-e-amal mein ham se to kuchh bhi na ho sakaa itnaa huaa ki shohra-e-bazm-e-adab rahaa jaam-e-tahi milaa tiri mahfil se kyaa huaa paimaana dil ke khuun se yahaan lab-ba-lab rahaa 'fitrat' rumuz-e-ishq na kah girya-kosh rah sab kuchh kahaa usi ne jo yaan basta-lab rahaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"vaaiz mariz huun main kisi ki nigaah kaa mujh par asar na hogaa tire intibaah kaa tasvir un ke aariz-e-zebaa ki hai sahar raat ek aks hai mire haal-e-tabaah kaa un ko kiyaa pasand to khud ho gayaa pasand aalam hai mo'tarif mire zauq-e-nigaah kaa nur-e-mohammad-e-arabi mere dil mein hai surma hai meri aankh mein yasrib ki raah kaa jin ki jabin ne sajda-e-khaak-e-haram kiyaa unchaa hai sab se gosha unhin ki kulaah kaa ai zauq-e-did shaan-e-shab-e-maahtaab dekh aaina hai ye husn ki jaulaan-gaah kaa go mujh ko hasrat-e-karam-e-mustaqil nahin khvaahaan hai dil magar sitam-e-gaah-gaah kaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"jigar kaa khuun aansu mein agar shaamil nahin hogaa ye moti armughaan-e-dost ke qaabil nahin hogaa hasin khvaabon ki duniyaa muztarib jazbaat ki basti tumhein kyunkar yaqin aaya ye meraa dil nahin hogaa shikasta saaz hai TuuTaa huaa saaghar hai dil meraa miraa dil baais-e-rangini-e-mahfil nahin hogaa tumhaaraa sang-e-dar meri jabin-e-shauq kyaa kahiye ye sang-e-dar harif-e-sajda-e-saail nahin hogaa mujhi se zid hai daur-e-aasmaan aur daur-e-saaghar ko mujhe kyon muddaaa-e-zindagi haasil nahin hogaa miri kashti hui hai jaa ke aasuda jahaan 'fitrat' fanaa ki mauj hogi dekhnaa saahil nahin hogaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari