SHAWORDS

vo jo aae hayaat yaad aai — Khumar Barabankavi

"vo jo aae hayaat yaad aai bhuli-bisri si baat yaad aai haal-e-dil un se kah ke jab lauTe un se kahne ki baat yaad aai aap ne din banaa diyaa thaa jise zindagi bhar vo raat yaad aai tere dar se uThe hi the ki hamein tangi-e-kaaenaat yaad aai vaasta jab paDaa masarrat se gham ki ek ek baat yaad aai kyaa javaani gai janaab-e-'khumaar' kaise tauba ki baat yaad aai"
Urdu

وہ جو آئے حیات یاد آئی بھولی بسری سی بات یاد آئی حال دل ان سے کہہ کے جب لوٹے ان سے کہنے کی بات یاد آئی آپ نے دن بنا دیا تھا جسے زندگی بھر وہ رات یاد آئی تیرے در سے اٹھے ہی تھے کہ ہمیں تنگیٔ کائنات یاد آئی واسطہ جب پڑا مسرت سے غم کی ایک ایک بات یاد آئی کیا جوانی گئی جناب خمارؔ کیسے توبہ کی بات یاد آئی

Hindi

वो जो आए हयात याद आई भूली-बिसरी सी बात याद आई हाल-ए-दिल उन से कह के जब लौटे उन से कहने की बात याद आई आप ने दिन बना दिया था जिसे ज़िंदगी भर वो रात याद आई तेरे दर से उठे ही थे कि हमें तंगी-ए-काएनात याद आई वास्ता जब पड़ा मसर्रत से ग़म की एक एक बात याद आई क्या जवानी गई जनाब-ए-'ख़ुमार' कैसे तौबा की बात याद आई

vo jo aa.e hayāt yaad aa.ī
Khumar Barabankavi
Khumar Barabankavi
Khumar Barabankavi
poet92 quotes

More by Khumar Barabankavi

View all →
Quote
"mujh ko ye jaan-o-dil qubul naghme ko naghma hi samajh saaz ye bitti hai kyaa ye bhi kabhi kabhi samajh ishq hai tishnagi kaa naam toD de gar mile bhi jaam shiddat-e-tishnagi na dekh lazzat-e-tishnagi samajh husn ki mehrbaaniyaan ishq ke haq mein zahr hain husn ke ijtinaab tak ishq ki zindagi samajh tark-e-taalluqaat bhi ain-e-taalluqaat hai aag bujhi hui na jaan aag dabi hui samajh aql ke kaarobaar mein dil ko bhi rakh sharik-e-kaar dil ke muaamalaat mein aql ko ajnabi samajh ghuncha-o-gul ke saath saath dil ki taraf bhi ik nazar shefta-e-shaguftagi vajh-e-shaguftagi samajh aise bhi raaz hain 'khumaar' hote nahin jo aashkaar apni hi mushkilein na dekh un ki bhi bebasi samajh"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"kabhi sher-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein Dhal ke vo mujhe mile to lekin mile suratein badal ke ye vafaa ki sakht raahein ye tumhaare paa-e-naazuk na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke vahi aankh be-bahaa hai jo gham-e-jahaan mein Duube vahi jaam jaam-e-jam hai jo baghair farq chhalke na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai ye kahaan pahunch gae ham tiri bazm se nikal ke ye charaagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehmaan tu jalaa vo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke koi ai 'khumaar' un ko mire sher nazr kar de jo mukhaalifin mukhlis nahin mo'tarif ghazal ke"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"ham unhein vo hamein bhulaa baiThe do gunahgaar zahr khaa baiThe haal-e-gham kah ke gham baDhaa baiThe tiir maare the tiir khaa baiThe aandhiyo jaao ab karo aaraam ham khud apnaa diyaa bujhaa baiThe ji to halkaa huaa magar yaaro ro ke ham lutf-e-gham ganvaa baiThe be-sahaaron kaa hausla hi kyaa ghar mein ghabraae dar pe aa baiThe jab se bichhDe vo muskuraae na ham sab ne chheDaa to lab hilaa baiThe ham rahe mubtalaa-e-dair-o-haram vo dabe paanv dil mein aa baiThe uTh ke ik bevafaa ne de di jaan rah gae saare baa-vafaa baiThe hashr kaa din abhi hai duur 'khumaar' aap kyuun zaahidon mein jaa baiThe"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi