"jo gham mein jalte rahe umr-bhar diyaa ban kar bujhaa gai hai unhein maut ab havaa ban kar vo khaamushi jo tiri bazm ne hamein bakhshi khalaa-e-zehn mein gunji hai ik sadaa ban kar jo tu ne mujh ko gham-e-laa-zavaal bakhshaa thaa vo zindagi mein rahaa meraa rahnumaa ban kar vo jin ke lams se tu khil ke phuul bantaa thaa vo ab bhaTakte hain dar par tire sabaa ban kar jab un ki bazm se lauTe to khud ko pahchaanaa vahaan se aae ham 'aazaad' kyaa se kyaa ban kar"
vo jo kisi kaa ruup dhaar kar aayaa thaa — Azad Gulati
"vo jo kisi kaa ruup dhaar kar aayaa thaa mere andar basne vaalaa saayaa thaa vo dukh bhi kyuun ham ko tanhaa chhoD gae kyaa kyaa chhoD ke ham ne jinhein apnaayaa thaa khud tum ne darvaaze band rakkhe varna main ik taaza havaa kaa jhonkaa laayaa thaa meri ik aavaaz se saari TuuT gai vo divaarein jin par tu itraayaa thaa viraan dil mein gham ke priit bhaTakte the meri chup par kisi sadaa kaa saayaa thaa is mein ek janam-bhar ke dukh simTe the vo aansu jo palkon par lahraayaa thaa"
وہ جو کسی کا روپ دھار کر آیا تھا میرے اندر بسنے والا سایا تھا وہ دکھ بھی کیوں ہم کو تنہا چھوڑ گئے کیا کیا چھوڑ کے ہم نے جنہیں اپنایا تھا خود تم نے دروازے بند رکھے ورنہ میں اک تازہ ہوا کا جھونکا لایا تھا میری اک آواز سے ساری ٹوٹ گئی وہ دیواریں جن پر تو اترایا تھا ویراں دل میں غم کے پریت بھٹکتے تھے میری چپ پر کسی صدا کا سایا تھا اس میں ایک جنم بھر کے دکھ سمٹے تھے وہ آنسو جو پلکوں پر لہرایا تھا
वो जो किसी का रूप धार कर आया था मेरे अंदर बसने वाला साया था वो दुख भी क्यूँ हम को तन्हा छोड़ गए क्या क्या छोड़ के हम ने जिन्हें अपनाया था ख़ुद तुम ने दरवाज़े बंद रक्खे वर्ना मैं इक ताज़ा हवा का झोंका लाया था मेरी इक आवाज़ से सारी टूट गई वो दीवारें जिन पर तू इतराया था वीराँ दिल में ग़म के प्रीत भटकते थे मेरी चुप पर किसी सदा का साया था इस में एक जनम-भर के दुख सिमटे थे वो आँसू जो पलकों पर लहराया था

More by Azad Gulati
View all →"lamha lamha ik nai sai-e-baqaa karti hui kaT rahi hai zindagi khud ko fanaa karti hui teri chup hai yaa mire andar machaa kohraam hai koi shai to hai zabaan ko be-navaa karti hui apne andar reza reza TuuT kar bikhraa huun main hai ye kyaa shai chor dil kaa aainaa karti hui kisht-e-jaan se din ko kaTti hai nae zakhmon ki fasl raat aati hai inhein phir se haraa karti hui mere hone se na hone kaa sabab paidaa huaa mujh ko hasti hi thi khud mujh se judaa karti hui maut to 'aazaad' hai aazaadiyon kaa ik jahaan zindagi hai har nafas khud ko rihaa karti hui"
"kabhi mili jo tire dard ki navaa mujh ko khamoshiyon ne mujhi se kiyaa judaa mujh ko badan ke suune khanDar mein kabhi jalaa mujh ko main teri ruuh ki zau huun na yuun bujhaa mujh ko main apni zaat ki ham-saaegi se Dartaa huun mire qarib khudaa ke liye na laa mujh ko main chup huun apni shikast-e-sadaa ki vahshat par mujhe na bolnaa paD jaae mat bulaa mujh ko ye main thaa yaa mire andar kaa khauf thaa jis ne tamaam umr di tanhaai ki sazaa mujh ko bhaTak rahaa huun main be-samt raaston ki tarah kisi bhi samt kaa ho raasta dikhaa mujh ko har ik ne dekhaa mujhe apni apni nazron se koi to meri nazar se bhi dekhtaa mujh ko samo ke aankhon mein umDi ghaTaaein ai 'aazaad' vo ek dard kaa sahraa banaa gayaa mujh ko"
"bahut lambaa safar tapti sulagti khvaahishon kaa thaa magar saayaa hamaare sar pe guzri saaaton kaa thaa saron pe haath apne ghar ki bosida chhaton kaa thaa magar mahfuz saa manzar hamaare aanganon kaa thaa kisi bhi sidhe raste kaa safar miltaa use kyun-kar ki vo masdud khud apne banaae daaeron kaa thaa kabhi hanste hue aansu kabhi roti hui khushiyaan karishma jo bhi thaa saaraa hamaari hi hison kaa thaa khud apni kaavishon se ham ne apni qismatein likkhin magar kuchh haath in mein bhi hamaare dushmanon kaa thaa nae rishte muqaddas khvaab se aavaaz dete the magar aaseb saa dil par guzishta raabton kaa thaa kise milti najaat 'aazaad' hasti ke masaail se ki har koi muqayyad aab-o-gil ke silsilon kaa thaa"
"meraa to naam ret ke saagar pe naqsh hai phir kis kaa naam hai jo tire dar pe naqsh hai pheinkaa thaa ham pe jo kabhi us ko uThaa ke dekh jo kuchh lahu mein thaa usi patthar pe naqsh hai shaayad idhar se guzraa hai ik baar tu kabhi teri nazar kaa lams jo manzar pe naqsh hai teraa khayaal mujh se go mil kar bichhaD gayaa us ki mahak kaa aks mire ghar pe naqsh hai mere khaton ko rakh ke sirhaane vo so gayaa jaagaa to mere jism kaa bistar pe naqsh hai ab is mein jo bhi Daaliye amrit se kam nahin jo in labon pe thaa vahi saaghar pe naqsh hai jo zakhm ik nazar se milaa thaa vo bhar gayaa dhundlaa saa daagh ruuh ke paikar pe naqsh hai khanjar chalaa thaa mujh pe magar moajaza hai ye qaatil kaa apnaa khuun hi khanjar pe naqsh hai 'aazaad' kaun thaa jo tahon mein utar gayaa kis ki hayaat hai jo samundar pe naqsh hai"
"ek hangaama bapaa hai mujh mein koi to mujh se baDaa hai mujh mein inkisaari miraa sheva hai magar ik zaraa zoam-e-anaa hai mujh mein mujh se vo kaise baDaa hai kahiye jab khudaa meraa chhupaa hai mujh mein main nahin huun to miraa kaun hai ye itne janmon jo rahaa hai mujh mein vahi lamhe to ghazal chheDte hain jin ki gum-gashta sadaa hai mujh mein dasht-e-zulmaat mein ham-raah mire koi to hai jo jalaa hai mujh mein"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"