SHAWORDS

ye gavaaraa ki miraa dast-e-tamannaa baandhe — Riyaz Khairabadi

"ye gavaaraa ki miraa dast-e-tamannaa baandhe apni mahram ko na kas kar koi itnaa baandhe baDh ke aae nigah-e-shauq balaaein le le koi baiThaa hai kis andaaz se juuDaa baandhe shohrat-e-be-asari koi miTaae kyuun kar ho na dard aah mein to koi havaa kyaa baandhe dhajjiyaan kyaa mire daaman ki mire kaam aaein baiTh kar dasht mein sab aabla-e-paa baandhe hai buri baat kaho khol ke botal rakh de shaikh pagDi mein na baazaar kaa saudaa baandhe ik zaraa khaa le havaa najd ki ThanDi ThanDi kah do lailaa abhi mahmil mein na pardaa baandhe bikhri zulfein yunhi lahraaein rukh-e-raushan par kabhi juuDaa na miraa gesuon vaalaa baandhe jab main dekhun miri aankhon mein miraa ghar phir jaae chakkar itnaa to bayaabaan mein bagulaa baandhe ham ne dekhaa taraf-e-mai-kada jaate the 'riyaaz' ik asaa thaame abaa pahne amaama baandhe"
Urdu

یہ گوارا کہ مرا دست تمنا باندھے اپنی محرم کو نہ کس کر کوئی اتنا باندھے بڑھ کے آئے نگہ شوق بلائیں لے لے کوئی بیٹھا ہے کس انداز سے جوڑا باندھے شہرت بے اثری کوئی مٹائے کیوں کر ہو نہ درد آہ میں تو کوئی ہوا کیا باندھے دھجیاں کیا مرے دامن کی مرے کام آئیں بیٹھ کر دشت میں سب آبلۂ پا باندھے ہے بری بات کہو کھول کے بوتل رکھ دے شیخ پگڑی میں نہ بازار کا سودا باندھے اک ذرا کھا لے ہوا نجد کی ٹھنڈی ٹھنڈی کہہ دو لیلیٰ ابھی محمل میں نہ پردا باندھے بکھری زلفیں یوں ہی لہرائیں رخ روشن پر کبھی جوڑا نہ مرا گیسوؤں والا باندھے جب میں دیکھوں مری آنکھوں میں مرا گھر پھر جائے چکر اتنا تو بیاباں میں بگولا باندھے ہم نے دیکھا طرف میکدہ جاتے تھے ریاضؔ اک عصا تھامے عبا پہنے عمامہ باندھے

Hindi

ये गवारा कि मिरा दस्त-ए-तमन्ना बाँधे अपनी महरम को न कस कर कोई इतना बाँधे बढ़ के आए निगह-ए-शौक़ बलाएँ ले ले कोई बैठा है किस अंदाज़ से जूड़ा बाँधे शोहरत-ए-बे-असरी कोई मिटाए क्यूँ कर हो न दर्द आह में तो कोई हवा क्या बाँधे धज्जियाँ क्या मिरे दामन की मिरे काम आएँ बैठ कर दश्त में सब आबला-ए-पा बाँधे है बुरी बात कहो खोल के बोतल रख दे शैख़ पगड़ी में न बाज़ार का सौदा बाँधे इक ज़रा खा ले हवा नज्द की ठंडी ठंडी कह दो लैला अभी महमिल में न पर्दा बाँधे बिखरी ज़ुल्फ़ें यूँही लहराएँ रुख़-ए-रौशन पर कभी जूड़ा न मिरा गेसुओं वाला बाँधे जब मैं देखूँ मिरी आँखों में मिरा घर फिर जाए चक्कर इतना तो बयाबाँ में बगूला बाँधे हम ने देखा तरफ़-ए-मय-कदा जाते थे 'रियाज़' इक असा थामे अबा पहने अमामा बाँधे

ye gavārā ki mirā dast-e-tamannā bāñdhe
Riyaz Khairabadi
Riyaz Khairabadi
ریاضؔ خیرآبادی
poet212 quotes

More by Riyaz Khairabadi

View all →
Quote
"nayaa khilaa hai shagufa koi bahaar mein kyaa gundhaa huaa hai miraa dil kisi ke haar mein kyaa uDaane phuul hasin aae hain bahaar mein kyaa lagi hai aag si ye aaj laala-zaar mein kyaa kisi se kahne ye aae hain vo sahar hote tamaam-raat kaTi mere intizaar mein kyaa tumhaare khaal kaa bosa nahin hai ginti mein zaraa si chiiz hai aaegi ye shumaar mein kyaa utaar li sar-e-baazaar jis ne rukh se naqaab hijaab aae use sau main kyaa hazaar mein kyaa ye surma chashm-e-adu ke liye uThaa rakkhein vo khaak Daalte hain chashm-e-etibaar mein kyaa banaaeinge dil-e-pur-daagh jama kar ke unhein chamakte dekhe hain zarre mire ghubaar mein kyaa ye mere dosh se hote nahin judaa dam-e-naza gaDeinge mere farishte mire mazaar mein kyaa hai intizaar ki mai-nosh khum liye pahunchein ghiri hain kal se ghaTaaein ye sabza-zaar mein kyaa jo dekhe saanp ke kaaTe ki lahr use aae bharaa hai zahr ab aisaa bhi zulf-e-yaar mein kyaa sharaab se bhi sivaa khush-gavaar hai ham ko bataaein kyaa ki mazaa paD gayaa udhaar mein kyaa kanaar-e-shauq mein aa kar hasin nikal na sake asar khudaa ne diyaa hai hamaare pyaar mein kyaa 'riyaaz' tauba karo din khizaan ke aae hain tum aae piine ko jaati hui bahaar mein kyaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ku-e-dushman se use chhup ke nikalte dekhaa ham ne naqsh-e-qadam-e-yaar ko chalte dekhaa haae kyaa haal dam-e-vasl hamaaraa hogaa bosa lene mein tumhein rang badalte dekhaa abr ban kar jo baras paDne ko aayaa vaaiz be-tarah ham ne khum-e-mai ko ubalte dekhaa ye bhi piinaa hai koi chaal hai ye bhi koi har-qadam par unhein sau baar sambhalte dekhaa yahi aankhein hain ki jin mein nahin ab naam ko ashk inhin aankhon se kabhi khuun ubalte dekhaa hashr ke roz na taab abr-e-karam ko aai mujh gunahgaar ko jab dhuup mein jalte dekhaa gesu-e-hur kaho sabza-e-turbat kaisaa qabr-e-dushman se dhuaan ham ne nikalte dekhaa kucha-e-ishq mein allaah re paa-mardi-e-dil Thokarein khaa ke use ham ne sambhalte dekhaa ghair ke ghar se jhijakte hue tum nikle the rukte dekhaa tumhein phir chhup ke nikalte dekhaa dil mein kyaa jaan thi kyaa qatra-e-khun ki thi bisaat malte dekhaa use haathon se masalte dekhaa phuul laale kaa khilaa thaa ki shafaq shaam ki thi vasl ki raat ko bhi rang badalte dekhaa kabhi kuchh raat gae yaa kabhi kuchh raat rahe ham ne in parda-nashinon ko nikalte dekhaa khun-e-dil par hai abas rashk tiri mehndi ko apni hi aag mein ham ne use jalte dekhaa dil-e-betaab thaa yaa aag ki chingaari thi kis qadar jild unhein paa-posh se malte dekhaa vaah kyaa rang hai kyaa khuub tabiat hai 'riyaaz' ho zamin koi tumhein phulte-phalte dekhaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"zarur paanv mein apne hinaa vo mal ke chale na pahunche aaj bhi ghar tak mire vo kal ke chale ye dosti hai ki hai saath aag paani kaa jo nikli aah to saath ashk bhi nikal ke chale lahad se laai qayaamat hai paanv paD paD kar Thahar Thahar ke chale ham machal machal ke chale hazaaron Thokarein har ik qadam par us mein hain ye raah-e-ishq hai kyuun kar koi sambhal ke chale ye mujh ko vasl ki shab haae maut kyuun aai hinaa lagaa ke jo aae the haath mal ke chale tumhaari raah mein chalne ki hai khushi aisi ki saath naqsh-e-qadam bhi uchhal uchhal ke chale mazaa to aae jo lein rind baDh ke haathon-haath mazaa to aae kahin se jo mai ubal ke chale adaa se naaz se chalnaa qayaamat un kaa thaa jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale chale vo shama jalaane mazaar par kis ke ki saath saath adu aag ho ke jal ke chale tumhaare gesu-e-pur-pech ne liyaa ham ko ki munh mein saanp ke yaa munh mein ham ajal ke chale uThaa janaaza to boli ye khaana-bardaari nayaa makaan hai kapDe nae badal ke chale hazaaron daagh hain dil mein jigar mein laakhon zakhm 'riyaaz' mahfil-e-khubaan se phul-phal ke chale"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"baalaa-e-baam ghair hai mein aastaan par chaahein jise chaDhaaein huzur aasmaan par kyuun naa-muraad aah gai aasmaan par TuuTe na aasmaan kahin meri jaan par rusvaaiyaan hain saath vo chhup kar hazaar jaan sau sau ke sar jhuke hain qadam ke nishaan par aanaa use zarur go hon laakh ehtimaam aashiq hai un ki niind miri daastaan par thaa raaz-daar-e-husn vo kaafir jo kah gayaa maashuq dil ki baat na laaein zabaan par un ki gali mein raat mein is vaza se gayaa ghabraa ke paasbaan gire paasbaan par naazuk si tegh-e-yaar hai kyaa zahr ki bujhi khaae hue hai zahr mire imtihaan par bante hain shokhiyon se vo suraj bhi chaand bhi naqsh-e-qadam bhi aap ke hain aasmaan par khalvat mein bhi chali hain kahin sina-zoriyaan is tarah aap tan ke uThe kis gumaan par zikr-e-mai-e-tahur ne taDpaa diyaa 'riyaaz' jaanaa paDaa hamein kisi unchi dukaan par"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"zamin mai-kada-e-arsh-e-barin maalum hoti hai ye khisht-e-khum farishte ki jabin maalum hoti hai pari uDne mein zulf-e-ambarin maalum hoti hai ye kaali shakl bhi kitni hasin maalum hoti hai miri hasrat tabassum-aafrin maalum hoti hai chhupi tere tabassum mein nahin maalum hoti hai shafaq kah le koi chaahe shafaq-gun aasmaan kah le hamein to ku-e-qaatil ki zamin maalum hoti hai chali hai tegh to kis naaz se tham tham ke ruk ruk kar ye kuchh un se ziyaada naaznin maalum hoti hai are saaqi zaraa meri sharaab-e-talkh to laanaa mai-e-kausar to bilkul angbin maalum hoti hai chhupi hai vo nigaah-e-shokh bhi mizhgaan ke saae mein chhuri bhi aaj zer-e-aastin maalum hoti hai ubhaaro to zaraa shaayad miraa Duubaa huaa dil ho koi shai bahr-e-gham mein tah-nashin maalum hoti hai nahin ab dard-e-dil lekin abhi tak hai asar kuchh kuchh chamak rah rah ke pahlu mein kahin maalum hoti hai asar Daalaa hai hasrat ne nigaah-e-shauq par kitnaa ki vo ab bhi nigaah vaapsin maalum hoti hai ye ai sayyaad rah rah kar chamakti hai kahaan bijli jahaan meraa nasheman thaa vahin maalum hoti hai lapak us ki chamak us ki vahi dam-kham vahi aalam ye bijli koi aah-e-aatishin maalum hoti hai 'riyaaz' aisi mire dil se lagi hai jaam-e-kausar ki mai-e-angur ab achchhi nahin maalum hoti hai"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb