"asar na kam ho kabhi naala-e-rasaa teraa rahe baDhaa huaa har aan hausla teraa paDhi hai aariz-o-kaakul ki daastaan main ne sunaa hai main ne fasaana zaraa zaraa teraa ai ashk-e-shauq tujhi se hai zindagi dil ki fuzun hai chashma-e-haivaan se martaba teraa tamaam raah hai faiz-e-qadam se nuraani hai maahtaab zamin par ki naqsh-e-paa teraa qadam ko tez kar is se ziyaada ai 'betaab' nikal gayaa hai bahut duur qaafila teraa"
zaraa soch kar ai jafaa karne vaale — Betab Azimabadi
"zaraa soch kar ai jafaa karne vaale kahin ji na chhoDein vafaa karne vaale gila kuchh nahin mujh ko vaaiz se lekin ye kaun aap kaa tazkira karne vaale ghamanD un ko allaah re itnaa jafaa kaa to kyaa mar gae ab vafaa karne vaale baDe be-muravvat baDe bevafaa ho hamesha bahaana nayaa karne vaale gali mein tiri sar-ba-kaf ho ke aaein kahaan hain miraa saamnaa karne vaale vo bebaak chitvan yahi kah rahi hai kisi se nahin ham vafaa karne vaale shahidaan-e-ulfat na khush hon taDap kar vo is par nahin e'tinaa karne vaale ye kahtaa hai parvaane kaa jal ke marnaa vafaa karte hain yuun vafaa karne vaale samajhte hain aasaan abhi un kaa milnaa bahut duur hain hausla karne vaale naqaab un ki jis vaqt sarkegi rukh se qayaamat kareinge hayaa karne vaale dam-e-naza aakhir nikal aae aansu kahaan jaa ke chauke vafaa karne vaale zabaan par miri raaz-e-dil ab to aayaa miri sharm rakh le hayaa karne vaale davaa se to bimaar kuchh aur uljhaa maraz hi na samjhe davaa karne vaale khamoshi miri laash ki kah rahi hai jafaa sahte hain yuun vafaa karne vaale gadaa kaun betaab saa is gali mein hain yuun to bahut se sadaa karne vaale"
ذرا سوچ کر اے جفا کرنے والے کہیں جی نہ چھوڑیں وفا کرنے والے گلہ کچھ نہیں مجھ کو واعظ سے لیکن یہ کون آپ کا تذکرہ کرنے والے گھمنڈ ان کو اللہ رے اتنا جفا کا تو کیا مر گئے اب وفا کرنے والے بڑے بے مروت بڑے بے وفا ہو ہمیشہ بہانہ نیا کرنے والے گلی میں تری سر بکف ہو کے آئیں کہاں ہیں مرا سامنا کرنے والے وہ بے باک چتون یہی کہہ رہی ہے کسی سے نہیں ہم وفا کرنے والے شہیدان الفت نہ خوش ہوں تڑپ کر وہ اس پر نہیں اعتنا کرنے والے یہ کہتا ہے پروانے کا جل کے مرنا وفا کرتے ہیں یوں وفا کرنے والے سمجھتے ہیں آساں ابھی ان کا ملنا بہت دور ہیں حوصلہ کرنے والے نقاب ان کی جس وقت سرکے گی رخ سے قیامت کریں گے حیا کرنے والے دم نزع آخر نکل آئے آنسو کہاں جا کے چوکے وفا کرنے والے زباں پر مری راز دل اب تو آیا مری شرم رکھ لے حیا کرنے والے دوا سے تو بیمار کچھ اور الجھا مرض ہی نہ سمجھے دوا کرنے والے خموشی مری لاش کی کہہ رہی ہے جفا سہتے ہیں یوں وفا کرنے والے گدا کون بیتاب سا اس گلی میں ہیں یوں تو بہت سے صدا کرنے والے
ज़रा सोच कर ऐ जफ़ा करने वाले कहीं जी न छोड़ें वफ़ा करने वाले गिला कुछ नहीं मुझ को वाइ'ज़ से लेकिन ये कौन आप का तज़्किरा करने वाले घमंड उन को अल्लाह रे इतना जफ़ा का तो क्या मर गए अब वफ़ा करने वाले बड़े बे-मुरव्वत बड़े बेवफ़ा हो हमेशा बहाना नया करने वाले गली में तिरी सर-ब-कफ़ हो के आएँ कहाँ हैं मिरा सामना करने वाले वो बेबाक चितवन यही कह रही है किसी से नहीं हम वफ़ा करने वाले शहीदान-ए-उल्फ़त न ख़ुश हों तड़प कर वो इस पर नहीं ए'तिना करने वाले ये कहता है परवाने का जल के मरना वफ़ा करते हैं यूँ वफ़ा करने वाले समझते हैं आसाँ अभी उन का मिलना बहुत दूर हैं हौसला करने वाले नक़ाब उन की जिस वक़्त सरकेगी रुख़ से क़यामत करेंगे हया करने वाले दम-ए-नज़अ आख़िर निकल आए आँसू कहाँ जा के चौके वफ़ा करने वाले ज़बाँ पर मिरी राज़-ए-दिल अब तो आया मिरी शर्म रख ले हया करने वाले दवा से तो बीमार कुछ और उलझा मरज़ ही न समझे दवा करने वाले ख़मोशी मिरी लाश की कह रही है जफ़ा सहते हैं यूँ वफ़ा करने वाले गदा कौन बेताब सा इस गली में हैं यूँ तो बहुत से सदा करने वाले
More by Betab Azimabadi
View all →"khaTak ne dil ki diyaa zakhm-e-be-nishaan kaa pataa na us dahan mein fughaan thi na thaa zabaan kaa pataa sar-e-niyaaz jhukaane ki khu to paidaa kar jabin-e-shauq lagaa legi aastaan kaa pataa sitam dabaa na sakaa aap ke shahidon ko jafaa miTaa na saki khun-e-be-kasaan kaa pataa rag-e-burida pukaaregi naam qaatil kaa kafan bataaegaa us tegh-e-khun-chakaan kaa pataa isi qadar to hai sarmaaya-e-tajassus-e-aql ki kuchh zamin ki khabar hai kuchh aasmaan kaa pataa dil-e-tapaan thaa kahin chashm-e-khunfishaan thi kahin qadam qadam pe milaa kucha-e-butaan kaa pataa asir-e-daam-e-mohabbat se puchhiye 'betaab' kamand turra-e-mushkin-e-dilsitaan kaa pataa"
"gham se naa-ahl-e-vafaa hashr tak aazaad na ho mar ke sau baar ho zinda to kabhi shaad na ho is nasheman mein dharaa kyaa hai ki barbaad na ho chaar tinke hon paDe aur koi buniyaad na ho kyaa kahaa thaa tiri aankhon ne nazar milte vaqt phir nazar mujh se milaa le jo tujhe yaad na ho koi gaahak nahin murjhaae hue phulon kaa kisi siine mein ilaahi dil-e-naashaad na ho khush ho bulbul ki sazaa-vaar-e-asiri Thahri vaae us par hai ki jis kaa koi sayyaad na ho teri aankhon kaa jo maaraa nahin zinda hi nahin hai vahi ain ghalat jis pe tiraa saad na ho saamne aa gai hai manzil-e-paa laghz-e-firaaq madad ai ishq koi raah mein uftaad na ho jo ghubaar uThtaa hai kahtaa hai ba-aavaaz-e-buland sar na is khaak kaa unchaa ho jo barbaad na ho dil shikasta na ho TuTegaa qafas khud 'betaab' vaqt ki baat hai mumkin nahin aazaad na ho"
"dil liye aur dikhaa dikhaa ke liye ki jafaa aur maze jafaa ke liye rind ham hain to phir piyegaa kaun kyaa ye utri hai paarsaa ke liye aatish-e-hijr ai maaaz allaah ek dozakh hai mubtalaa ke liye jitne dil the buton ne chhin liye ek kaaba bachaa khudaa ke liye har hasin par na yuun miTo 'betaab' ek ke ho raho khudaa ke liye"
"Duub jaane ke sivaa ishq mein chaaraa hi nahin is samundar kaa kisi samt kinaaraa hi nahin talkhi-e-zakhm-e-jigar jis ko gavaaraa hi nahin us ko naavak nigah-e-naaz ne maaraa hi nahin sunte aate hain ki ik roz qayaamat hogi aap ne zulf-e-pareshaan ko sanvaaraa hi nahin parda-e-dil se sadaa yaar ki aa hi jaati ham tazabzub mein rahe us ko pukaaraa hi nahin baaz ham aise tasavvur se ki ab tak jis ne ek naqsha bhi tiraa Thiik utaaraa hi nahin phir shikaayat hai mire dil ke taDapne ki abas taak kar tiir koi aap ne maaraa hi nahin kyaa hai dariyaa-e-mohabbat ke udhar kyaa maalum teri talvaar ne us ghaaT utaaraa hi nahin un ki mahfil ki ajab baat hai kyaa arz karein tazkira sab kaa hai ik zikr hamaaraa hi nahin mil gai us ki nazar meri nazar se aakhir ab to denaa hi paDaa dil koi chaaraa hi nahin aur bhi dida-e-dil rakhte hain pur-khun ham se kuchh tire hijr mein ye rang hamaaraa hi nahin paarsaai mein hai fard us ki hayaa ai 'betaab' shauq-aalud nazar us ko gavaaraa hi nahin"
"na mere dil ne na idraak nukta-ju ne kiyaa khudaa gavaah hai jo kuchh kiyaa vo tu ne kiyaa farefta mujhe aalam ke rang-o-bu ne kiyaa baDaa sitam tire milne ki aarzu ne kiyaa lihaaz-e-daaman-e-qaatil mire lahu ne kiyaa khayaal-e-shart-e-adab khud rag-e-gulu ne kiyaa khud apni ziist kaa parda thaa jab alag ye huaa hijaab duur jamaal-e-rukh-e-niku ne kiyaa bahaar aai to kyaa naa-shagufta-khaatir ko fasurda aur bhi is mausam-e-numu ne kiyaa harim-e-quds mein pahunchaaegi shahaadat khud ki meri ruuh ko taahir mire lahu ne kiyaa tumhaari chaaragari ko salaam hai meraa ki ek zakhm ko sau zakhm ik rafu ne kiyaa vo kyunkar aa ke mile khud ye haal mujh se na puchh baraae-maqsad-e-dil tark aarzu ne kiyaa jo zaahidon ne na baatin ko dho ke saaf kiyaa to koi kaam na zaahir ki shust-o-shu ne kiyaa juz apne dil ke na paayaa kisi ne us kaa nishaan hazaar aql ko aavaara justuju ne kiyaa baDi umiid bandhi be-bason ko mahshar mein ajab karishma tire tarz-e-guftugu ne kiyaa kahungaa yaar se main saaf saaf hashr ke din ki mujh se hijr mein jo kuchh huaa vo tu ne kiyaa bajaa rahe na mire aql-o-hosh ai 'betaab' ghazab kaa mast mujhe pahle hi subu ne kiyaa"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"