SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tu dekh use sab jaa aankhon ke uThaa parde maanind suvaidaa ke dil biich use ghar de aalam ke muraqqe mein tasvir usi ki hai sab husn yahaan yaaro us husn ke hain garde sayyaad kaa sharminda huun be-par-o-baali se uD kar abhi jaa pahunchun jo mujh ko khudaa par de saaqi tujhe kam-zarfi maston se nahin laazim tarsaa na mujhe kaafir saaghar ke taiin bhar de bazm-e-dil-e-mushtaaqaan juun shaam-e-gharibaan hai yak jalva mein tu raushan aa sham-e-sifat kar de ham arz kiyaa us ki khidmat mein ki ai saahab itne tire bandon mein ek ham bhi hain nau-varde daulat se tiri sab kuchh ham paas muhayyaa hai lab khushk o jigar biryaan chashm-e-tar o dil sar de 'haatim' vo lagaa kahne ghusse se ki chal jhuThe bandaa main use jaanun jo pahle qadam sar de hushyaar karun 'haatim' maston ko nigaahon mein qatra mai-e-vahdat se jo saaqi-e-kausar de"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"ishq ne chuTki si li phir aa ke meri jaan ke biich aag si kuchh lag gai hai sina-e-bariyaan ke biich ahl-e-maaani juz na bujhegaa koi is ramz ko ham ne paayaa hai khudaa ko surat-e-insaan ke biich is sabab main jang shaane se karun huun baar baar dil huaa hai gum miraa us kaakul-e-pechaan ke biich zulf o chashm o khaal o khat chaaron hain dushman diin ke haq rakkhe imaan salaamat aise kufristaan ke biich naqd-e-dil khoyaa hai ham ne jaan kar is raah mein fil-haqiqat aashiqon ko suud hai nuqsaan ke biich gar adu meri badi kartaa hai khaas o aam mein main use rusvaa karungaa baandh kar divaan ke biich raat din jaari hai aalam mein miraa faiz-e-sukhan go ki huun muhtaaj par 'haatim' huun hindostaan ke biich"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"ab ki chaman mein gul kaa ne naam o ne nishaan hai fariyaad-e-bulbulaan hai yaa shohra-e-khizaan hai ham sair kar jo dekhaa ru-e-zamin ke uupar aasudgi kahaan hai jab tak ye aasmaan hai ham kyaa kahein zabaan se aap hi tu sun rahegaa shikva tire sitam kaa zaalim jahaan tahaan hai muddat hui ki mar kar main khaak ho gayaa huun jiine kaa bad-gumaan ko ab tak mire gumaan hai holi ke ab bahaane chhiDkaa hai rang kis ne naam-e-khudaa tujh uupar is aan ajab samaan hai makre se faaeda kyaa rindon se kab chhupi hai kyaa haajat-e-bayaan hai jo kuchh hai sab ayaan hai rang-e-gulaal munh par aisaa bahaar de hai juun aaftaab-e-taabaan zer-e-shafaq nihaan hai kesar mein is tarah se aaluda hai saraapaa sunte the ham so dekhaa to shaakh-e-zaafaraan hai aap hi mein dekh 'haatim' vahdat ke biich kasrat tu ek o ek jaa hai aur dil kahaan kahaan hai"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"dekhnaa us ki tajalli kaa jise manzur hai sang-reza bhi nazar mein us ki koh-e-tur hai ham se ham-chashmi anal-haq ko kahaan maqdur hai ashk har yak-daar mizhgaan par mire mansur hai nahno-aqrab ki nahin hai ramz se tu aashnaa varna vo nazdik hai tu aap us se duur hai hijr ki shab ko agar kaaTe to phir hai roz-e-vasl niish ke parde mein dekhaa nosh bhi mastur hai kyaa huaa vaaiz kare hai shor juun tabl-e-tahi vo sar-e-be-maghz goyaa kaansa-e-tambur hai aaj hamein aur hi nazar aataa hai kuchh sohbat kaa rang bazm hai makhmur aur saaqi nashe mein chuur hai roz o shab rahtaa hai teri yaad mein aashiq kaa dil go muqassir hai tiri khidmat se go maazur hai aarzu hai raat andheri mein ki aave maah-ru jis ke aage raushnaai shama ki be-nur hai khaaksaaron ko kabhu laataa nahin khaatir mein vo husn ki daulat par apne is qadar maghrur hai ishq hai daarushshifaa aur dard hai is kaa tabib jo nahin is maraz kaa taalib sadaa ranjur hai ab talak 'haatim' se to vaaqif nahin afsos yaar shaaeri ke fan mein vo aafaaq mein mashhur hai"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"phir khabar is fasl mein yaaro bahaar aane ki hai ab ba-juz zanjir kyaa tadbir divaane ki hai khaak kar deve jalaa kar pahle phir Tisve bahaae shama majlis mein baDi dil-soz parvaane ki hai bhed zulfon kaa bayaan karne mein ho jaataa hai gung varna kahne ko jo puchho sau zabaan shaane ki hai shaikh us ki chashm ke goshe se goshe ho kahin us taraf mat jaao naadaan raah mai-khaane ki hai hausla tangi kare hai shahr ke kuche hain tang ab havas dil mein hamaare sair viraane ki hai chaahiye kyaa baat kahte ho jahaan mein qatl-e-aam der munh se ab tumhaare hukm farmaane ki hai ji mein aataa hai ki 'haatim' aaj us ko chheDiye muddaton se dil mein hasrat gaaliyaan khaane ki hai"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"sab mukhaalif jab kinaare ho gae ham mein aur us mein ishaare ho gae aae aur baiThe na kuchh shikva nahin ye ghanimat hai ki baare ho gae jab chaDh aai ru-ba-ru fauj-e-junun ham bhi sanmukh ho utaare ho gae hijr ne us ko jalaayaa is qadar daagh siine par angaare ho gae jaante the apne ham hosh-o-havaas yak nigah mein sab tumhaare ho gae chashm to teghe the aage hi miyaan surma dene se do dhaare ho gae kaan ke moti tiri zulfon mein raat khalq ki nazron mein taare ho gae jab hue 'haatim' ham us se aashnaa dost bhi dushman hamaare ho gae"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"gar bhalaa maanas hai to khandon se tu mil mil na hans muskuraa juun ghuncha par gul ki tarah khil khil na hans ro ruvaa chaahe jataa rone se jaa hai dil se dang zang ho hai dil upar hansne se aa ai dil na hans tu hanse hai maut ko aur maut hansti hai tujhe maut ko hansnaa nahin hai khuub ai ghaafil na hans aql se hai duur hansnaa dam-ba-dam aaqil ke taiin aql hai tu to kisi be-aql par aaqil na hans hans jataa chaahe akelaa hans tu divaane ki tarah par hansi mein tu kisi hanste se ho shaamil na hans jo hansi hai aur ko us ne hansaayaa aap ko is hansi mein kuchh nahin haasil hai be-haasil na hans hanste hanste mein kai ke ghar lage hain khaalse zabt kar apni hansi 'haatim' tu ab yak til na hans"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"aashiqon ke sair karne kaa jahaan hi aur hai un ke aalam kaa zamin o aasmaan hi aur hai puchhtaa phirtaa hai kyaa har ek se un kaa suraagh laa-makaan hain un ko rahne kaa makaan hi aur hai aazmaaish in ki vazon kaa tujhe hai gaa zarar ye vo firqa hai ki in kaa imtihaan hi aur hai kyaa kharidegaa kharaab-aabaad ke baazaar mein dard ki ho jins jis mein vo dukaan hi aur hai sang o gul kaa tauf ho tujh ko mubaarak haajiyo hazrat-e-dil ke haram kaa kaarvaan hi aur hai baiThne ko shaakh-e-tubaa par nahin kartin nigaah is chaman ki bulbulon kaa aashiyaan hi aur hai us ko kyaa nisbat kisi afsaana-o-qisse ke saath ishq ke daftar ki 'haatim' daastaan hi aur hai"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"na mohtasib se ye mujh ko gharaz na mast se kaam mujhe to lenaa hai saaqi ke aaj dast se kaam sanam tu meri parastish ki qadr tab jaane ki jab paDe tujhe kaafir khudaa-parast se kaam main gosha-gir huaa sair kar nasheb o faraaz rahaa na mere qadam ko buland o past se kaam rakhe hai shisha miraa sang saath rabt-e-qadim ki aaTh pahr mire dil ko hai shikast se kaam jise masaavi hai maazi o haal o mustaqbil use rahaa nahin aainda bud-o-hast se kaam main kufr o diin se guzar kar huaa huun laa-mazhab khudaa-parast se matlab na but-parast se kaam kisu ko qaid kare hai kisu ko baandhe hai vo le hai apne amal biich band-o-bast se kaam dil us ki zulf ke pechon mein 'haatim' uljhaa hai rakhe nahin hai miraa said daam o shust se kaam"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"is zamaane mein na ho kyunkar hamaaraa dil udaas dekh kar ahvaal-e-aalam uDte jaate hain havaas bas rahaa hai bu se teri jaan-e-man aisaa dimaagh be-dimaagh ham ko rakhe hai baagh mein phulon ki baas jis taraf jaave tu ai khurshid-ru saaye ki tarah har qadam main bhi huun tere saath saath aur paas paas tishnagi se chaah ki teri nahin sairaab dil hai masal mashhur mustasqi ki naiin bujhti hai pyaas haq se milnaa gerve kapDon upar mauquf naiin dil ke taiin rango faqiri ye hai aur sab hai libaas juun juun tu saaghar piye hai ghair ki majlis ke biich tuun tuun ai bad-mast dil mein mere aataa hai hiraas kunah zaat-e-haq ko kyaa paave koi 'haatim' kabhu sab ke aajiz hain yahaan vahm-o-gumaan fahm o qayaas"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"ek muddat se talabgaar huun kin kaa in kaa tishna-e-hasrat-e-didaar huun kin kaa in kaa jaan ko bech ke ye naqd-e-dil ab laayaa huun sab se pahle main kharidaar huun kin kaa in kaa imtidaad is mire bimaar kaa mat puchh tabib roz-e-misaaq se bimaar huun kin kaa in kaa mukhlisi qaid se mushkil hai mujhe taa-dam-e-marg daam-e-ulfat mein giraftaar huun kin kaa in kaa bud-o-baash apnaa bataaun main tumhein kyaa yaaro saakin-e-saaya-e-daar huun kin kaa in kaa hai bajaa fakhr karun apni agar taalaa par kafsh-bardaaron kaa sardaar huun kin kaa in kaa gaaliyaan tujh ko jo dete hain ye 'haatim' hain kaun kuchh na puchho mein gunahgaar huun kin kaa in kaa to sazaa-vaar-e-sazaa kis kaa huaa hai 'haatim' saahib-e-man main gunahgaar huun kin kaa in kaa"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"is daur ke asar kaa jo puchho bayaan nahin hai kaun si zamin ki jahaan aasmaan nahin is darja dilbaron se koi rasm-e-dilbari dil haath par liye huun koi dil-sitaan nahin afsurda dil thaa ab to huaa gham se murda-dil jiitaa huun dekhne mein vale mujh mein jaan nahin aadaab sohbaton kaa koi ham se siikh le par kyaa karun ki taalib-e-sohbat yahaan nahin dil jal ke bujh gayaa hai kisi ne khabar na li ham sokhta-dilon kaa koi qadr-daan nahin hai kal ki baat sab ke dilon mein aziiz thaa par in dinon to ek bhi dil mehrbaan nahin aisi havaa bahi ki hai chaaron taraf fasaad juz saaya-e-khudaa kahin daar-ul-amaan nahin aalam ki haigi nirkh-e-ilaahi se zindagi tis par bhi dekhtaa huun ki bahuton ko naan nahin 'haatim' khamosh lutf-e-sukhan kuchh nahin rahaa baktaa abas phire hai koi nukta-daan nahin"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"duniyaa khayaal-o-khvaab hai meri nigaah mein aabaad sab kharaab hai meri nigaah mein bahti phire hai umar talaatum mein dahr ke insaan juun hubaab hai meri nigaah mein main bahr-e-gham ko dekh liyaa naa-khudaa ba-ru kashti na ho pa aab hai meri nigaah mein chhuTaa huun jab se shaikh taayyun ki qaid se har zarra aaftaab hai meri nigaah mein tum kaif mein sharaab ke kahte ho jis ko dil bhunaa huaa kabaab hai meri nigaah mein kyuun khinchte ho tegh kamar se che-faaeda muddat se is ki aab hai meri nigaah mein 'haatim' tu is jahaan ki lazzaat par na bhuul ye paa-e-dar-rikaab hai meri nigaah mein"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"kyunki divaana beDiyaan toDe is ko jaane hai paanv ke toDe sab ne moDaa hai munh khudaa na kare teri tarvaar ham se munh moDe tere kuche mein sar shahidon ke hain paDe jaise baaT ke roDe zarf TuuTaa to vasl hotaa hai dil koi TuuTaa kis tarah joDe ek parvaaz mein dikhaaun par jo vo sayyaad mere taiin chhoDe kohkan jaan-kani hai mushkil kaam varna bahtere hain pathar phoDe har ghaDi ham ko aazmaanaa kyaa chaahne vaale aur hain thoDe qatl kartaa hai tu jo 'haatim' ko kaun uThaavegaa tere naktoDe"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim
Quote
"gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman kaa shaana hai sarv hai juun sham' tis par faakhta parvaana hai roz o shab yaa nauha yaa zaari hai yaa aah-o-fughaan yaa ilaahi ye koi dil hai ki maatam-khaana hai tan kar us ki tegh ke aage huaa hai sar-ba-kaf hai qayaamat hai ghazab ye dil hai yaa divaana hai bulbul-e-tasvir ki maanind said-e-dil ke taiin ne havaa uDne ki ne parvaa-e-aab-o-daana hai ek haalat par na dekhaa us ko ham ne ek aan gah gul o gah bulbul o gah sham' o gah parvaana hai moatakif ho shaikh apne dil mein masjid se nikal saahib-e-dil ki baghal mein dil ibaadat-khaana hai mai-kasho mujh ko tumhaari bazm ki hasrat nahin paas mere diida o dil shisha o paimaana hai khvaab mein the jab talak thaa dil mein duniyaa kaa khayaal khul gaiin aankhein to dekhaa ham ne sab afsaana hai she’r ustaadaana o 'haatim' hai be-baakaana-vaza tab' aazaadaana o auqaat darveshaana hai"
Shaikh Zahuruddin HatimShaikh Zahuruddin Hatim