SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdul Wahab Yakro(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sharaab laal-e-lab-e-dil-baraan hai mujh kuun mubaah ab aish-o-ishrat-e-donon-jahaan hai mujh kuun mubaah yahi hai farq ham aur tum munin sun ai zaahid vahaan jo tujh ko milegaa yahaan hai mujh kuun mubaah jinhon ke tir-e-mizha dil kuun phoD chalte hain vo shokh dilbar-e-abru-kamaan hai mujh kuun mubaah sharaab o shaahid o khalvat siyaah-masti hosh isi jahaan munin begamaan hai mujh kuun mubaah kharaab dukhtar-e-raz ke hue hain sab 'yakru' ajab ki shaikh kahe hai kahaan hai mujh kuun mubaah"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"teraa hi main gadaa huun meraa tu shaah bas hai mujh shab ki raushni kuun tujh rukh kaa maah bas hai surma se gard-e-mizhgaan saf baandh ke biThi hain shaah-e-nayan kuun teri yu qibla-gaah bas hai dil ki shikastagi suun paayaa huun baadshaahi karne kuun sarvari ke aisi kulaah bas hai mahshar ke khur ki tap siin kuchh Dar nahin haman kuun zulf-e-siyah kaa saaya dil ki panaah bas hai do jaa nahin hai jag mein maujud juz khudaa ke is baat ki shahaadat ik laa-ilaah bas hai 'yakru' huaa hai paani sun 'aabru' kaa misraa ''rakhne ko yusufaan ke ik dil ki chaah bas hai''"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"tujh qad ki adaa sarv-e-gulistaan siin kahungaa jaadu-e-nayan nargis-e-bustaan siin kahungaa dekhaa huun tire lab pe main missi ki dhaDi kuun zulmaat pe jaa chashma-e-haivaan siin kahungaa mujh dil ki lagan tujh siin hai ai khubi-e-mahfil parvaana naman sham-e-shabistaan siin kahungaa paidaa kiyaa tujh shauq mein dil vusat-e-mashrab yuun haalat-e-dil koh-o-bayaabaan siin kahungaa dekhaa huun tujhe khvaab munin ai pari-paikar is khvaab ke taiin jaa ke sulaimaan siin kahungaa khanjar siin nayan ke dil-e-'yakru' huaa zakhmi ab dil ki tapish khaak-e-shahidaan siin kahungaa"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"kyunke kare na shahr ko ro ro ujaaD chashm tufaan hai pahaaD kuun Daali ukhaaD chashm naddi kanaar ruukh kaa ho hai na baas raast rau kare bahaae ashk siin mizhgaan ke jhaaD chashm aashiq kaa jaan kyunke bachegaa ki aaj dil khuun ho tari nigaah siin nakase hai phaaD chashm vo khush-nigaah dil main lagaa ke gayaa hai aag aanjhu hue hain daana-e-baryaan bhaaD chashm tujh tegh abruvaan ke muqaabil hui thi aaj dil chaak ho rahaa hai hamaaraa daraaD chashm 'yakru' kaa kuchh gunaah nahin sarv-qadd-e-jaan chhaT us ki dekhtaa hai tiri taaD taaD chashm"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"gudaaz-e-aatish-e-gham siin hui hain baavli ankhiyaan anjhu ke bhaant paani ho ke maaTi mein ruli ankhiyaan kareingi qatl dil kuun aaj tegh-e-abruvaan-seti nipaT khunin hain zaalim ham niin teri aTkali ankhiyaan pae-daf-e-gazand-e-zul-fiqaar abru tire mukh par mizha kuun kar zabaan karti hain dam naad-e-'ali ankhiyaan agar dekhein bahaar-e-husn khil gul ke naman phulein rahin hain mund judaai ye khizaan siin juun kali ankhiyaan nahin darkaar kuchh ai khush-nigah surme kaa dumbaala miraa dil qatl karne kuun yu bas hain aTkali ankhiyaan gayaa hai maah-ru jab siin judaa ho aab-e-haivaan juun jise maahi judaa jal siin tapin yuun tilmili ankhiyaan na hove dard-e-sar 'yakru' kuun paidaa garmi-e-gham suun agar dekhein piyaa ke mukh kaa rang-e-sandali ankhiyaan"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"miraa dil mubtalaa hai jhaanvali kaa tari ankhiyaan saloni saanvli kaa gayaa tan suukh ankhiyaan tar hain gham siin huaa huun shaah khushki o tari kaa jabhi tu paan khaa kar muskuraayaa tabhi dil khil gayaa gul ki kali kaa kahtaa huun vasf dandaan-o-misi ke mazaa letaa hon ab tal-chaavli kaa nahin hai rekhte ke bahr kaa paar samajh mat sher us kuun paarsi kaa jo ru paao to dil meraa dikhaao sunaa hai shokh khvaahaan aarasi kaa mujhe kahte hain 'yakru' sab mohibbaan ki banda jaan siin huun hazrat-'ali' kaa"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"agar nahin qasd ai zaalim mire dil ke sataane kaa sabab kyaa hai tujhe mujh se namaane se bahaane kaa hui muddat nahin taaqat mire dil kuun judaai ki karam kar aa sajan yaa fikr kar mere bulaane kaa shah-e-khubaan mire ghar raat ko aayaa hai ai mutrib miraa dil shaad hai gaa raag ai mutrib shahaane kaa na hove kyuun ke gardun pe sadaa dil ki buland eti hamaari aah hai Dankaa damaame ke bajaane kaa jabhi ho vasl haansi siin hisaar-e-pairahan tab tiraa 'yakru' tsunami hai nahin hargiz samaane kaa"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"gal ko sharminda kar ai shokh gulistaan mein aa lab siin ghunche kaa jigar khuun karo muskyaan mein aa vahi ik jalva-numaa jag mein hai duujaa koi nahin dekh vaajib kuun sadaa majmaa-e-imkaan mein aa zindagi mujh dil-e-murda ki tauhin hai mat jaa dil se gar khush nahin ai shokh miri jaan mein aa gul dil-e-ghuncha naman tang ho rang-o-bu siin jab kare yaad tire lab ke taiin dhyaan mein aa gar tu mushtaaq hai dilbar safar-e-dariyaa kaa aa ke kar mauj mire dida-e-giryaan mein aa mat milaa kar tu raqibaan siin sabhi paaji hain dekh kar qadr aapas kaa ai sanam shaan mein aa yuun miraa dil tire kuche kaa balaa-gardaan hai jyuun kabutar uDe hai chhatri ke gardaan mein aa gar karo qatl mire dil kuun taghaaful siin jaan phir ke daavaa na karun hashr ke maidaan mein aa dil-e-'yakru' hai tiraa paae bandhiyaa kaakul kaa yaad rakh us kuun sadaa mat kabhu nisyaan mein aa"
A
Abdul Wahab Yakro
Quote
"agar vo gul-badan dariyaa nahaane be-hijaab aave taajjub nahin ki sab paani sati bu-e-gulaab aave jidhaan dekhun bahaaraan mein nashaat-e-bulbul-o-qumri mujhe us vaqt be-shak yaad ayyaam-e-shabaab aave miraa afsaana o afsun tire kan sabz kyunke ho siyah mizhgaan tumhaari dekh ke sabze kuun khvaab aave miri ankhiyaan phaDakti hain yaqin hai dil manin yaaraan ki naame kuun piyaare ke kabutar le shitaab aave siyah-mastaan ke aage siin nikalnaa hai nipaT mushkil agar hoshyaar tujh ankhiyaan ke taiin dekhe kharaab aave darang ik dam nahin laazim judaai siin phaDaktaa hai kaho jaa kar khush-abru kuun ki 'yakru' kan shitaab aave"
A
Abdul Wahab Yakro