Quote
"kahaan mumkin hai poshida gham-e-dil kaa asar honaa labon kaa khushk ho jaanaa bhi hai aankhon kaa tar honaa ghazab mil kar judaa mujh se tiraa o fitna-gar honaa sitam naalon kaa pur-taasir ho kar be-asar honaa jigar mein dard lab par naala-e-vahshat asar honaa ayaan kartaa hai ik rashk-e-pari kaa dil mein ghar honaa ghazab naala-kashi ik sahib-e-ismat ke kuche mein sitam ai dil kisi parda-nashin kaa parda-dar honaa vo un kaa chupke chupke muskuraanaa khuun rone par vo meraa dil hi dil mein vaasif-e-rang-e-asar honaa jo tanhaa paas manzil dil ko shaayaan hai mohabbat mein to aankhon ko hai laazim dida-e-hasrat-nagar honaa qayaamat thaa sitam thaa qahr thaa khalvat mein o zaalim vo sharmaa kar tiraa meri baghal mein jalva-gar honaa sitam ki jaur ki bedaad ki kaafi shahaadat hai judaai mein miraa betaab be-khud be-khabar honaa"







