SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAzeem Quraishi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sahraa kaa koi phuul mo'attar to nahin thaa thaa ek chhalaavaa koi manzar to nahin thaa phir kyuun tiri tasvir Dhali ruuh mein meri afsun tiri aankhon kaa musavvar to nahin thaa ban kar miraa apnaa vo banaa hasrat-e-jaaved thaa khaak kaa putlaa hi muqaddar to nahin thaa main bhi tiri khalvat kaa koi naaz churaataa aisaa koi qismat kaa sikandar to nahin thaa afsaana tiri zulf kaa ai jaan-e-tamannaa main kaise sunaataa mujhe azbar to nahin thaa talkhaaba-e-dil thaa ki havaadis kaa sharar thaa fariyaad na kartaa koi patthar to nahin thaa khud aag mein apni hi main jaltaa rahaa aksar bargashta main tujh se mire daavar to nahin thaa ham ne bhi 'azim' aaj ghazal teri suni hai uslub-e-bayaan teraa muassar to nahin thaa"
Azeem QuraishiAzeem Quraishi
Quote
"ye phuul jo miTTi ke hayulon se aTaa hai maazi kaa koi khvaab hai maanus sadaa hai sukhaa huaa pattaa huun ki be-Daal paDaa huun kyaa jaaniye kis ke liye ye jog liyaa hai ai khaar-e-chaman-zaar munajjim to nahin tu fardaa kaa har ik raaz tire lab se sunaa hai puchho ye sitaaron se ki tauzih karein vo kyuun laash pe yuun chaand ki maatam saa bapaa hai dukhte hue dil se kai shahkaar nikaale is daur ko ham ne hi ziyaa-paash kiyaa hai jam bhi vahi daaraa bhi sikandar bhi vahi hai ji kar bhi tiraa aur jo mar kar bhi tiraa hai tu mujh se gurezaan hai to main tujh pe huun qurbaan ishva hai jo vo teraa to ye meri adaa hai fankaar ne samjhaa na mughanni hi ne samjhaa jo sirr-e-nihaan ek qalandar ne kahaa hai main phir bhi 'azim' us ki adaaon pe miTaa huun jo marg kaa unvaan miri hasti ki baqaa hai"
Azeem QuraishiAzeem Quraishi
Quote
"biich dilon mein utraa to hai dard tiraa albelaa to hai ruup tiraa ai raaj-kumaari jaise meri rachnaa to hai chaand ko tum aavaaz to de lo ek musaafir tanhaa to hai srijan-haaraa srijan-haaraa tujh bin baalak bilkaa to hai sirr-e-aalam kuchh kuchh ham ne sochaa to hai jaanaa to hai kitni subhein barham hongi shoala imshab bhaDkaa to hai kahne vaale kahtaa jaa tu sunne vaalaa suntaa to hai muzd kabhi barbaad na hogi nazd-o-dur ye charchaa to hai marg ko yuun be-naam na samjho ek takhayyul ujlaa to hai subh-e-ishq akeli kab hai shaam-e-gham kaa pahraa to hai maggham maggham pinhaan pinhaan baat kaa afsun gahraa to hai khvaab sahi gar naqsh-e-aalam insaan aataa jaataa to hai khoj mein us ki barson phir ke chaand-nagar pahchaanaa to hai raste baste baagh mein yaaro marg kaa har-dam khaTkaa to hai teraa 'azim' ai jaan-e-aalam 'mir' ki lai mein gaataa to hai"
Azeem QuraishiAzeem Quraishi
Quote
"rang kahaan hai saayaa saa hai naqsh kahaan hai dhokaa saa hai subh ki rangat zardi-maail shaam nahin hai dhaDkaa saa hai dil kaa khuun huaa ho shaayad duur pare jo kohraa saa hai sail-e-ishq thamaa kab hogaa dariyaa hai aur chaDhtaa saa hai lab us ke jo khulte dekhe ek jahaan kuchh hanstaa saa hai asl mein naqsh-e-kaif-e-hasti faani saa hai miTtaa saa hai husn aur ishq hain donon kaafir donon mein ik jhagDaa saa hai aao pyaar se dho lein us ko naqsh-e-jahaan kuchh mailaa saa hai"
Azeem QuraishiAzeem Quraishi
Quote
"vo shokh dil-o-jaan ki tamannaa to na niklaa sho'la to na niklaa vo sharaaraa to na niklaa mahsus kiyaa dard ke har ruup mein us ko aavaaz kaa afsun kabhi jhuTaa to na niklaa mahrumi-e-jaaved ne donon hi ko maaraa ye raaz-e-mohabbat koi gahraa to na niklaa ye dil kaa kharaaba hi tiri raahguzar thi kaa'ba to na niklaa vo kalisaa to na niklaa vo mere muqaddar ki siyaahi thaa saraapaa nur-e-shab-e-mahtaab sunahraa to na niklaa ham bhi kisi shirin ke liye khaana-badar the farhaad rah-e-'ishq mein tanhaa to na niklaa is mein tiri khalvat kaa har ik rang hai paayaa ye chaand sar-e-charkh akelaa to na niklaa pahle se baDhi aur gham-e-'ishq ki talkhi tu bhi mire dam-saaz masihaa to na niklaa andaaz-e-bayaan teraa 'azim' aur hi kuchh hai dekhe sabhi fankaar pa tujh saa to na niklaa"
Azeem QuraishiAzeem Quraishi
Quote
"surur-e-ishq ki masti kahaan hai sab ke liye vo mujh mein jazb huaa aa ke ek shab ke liye vo ek karb-e-hasin jo mujhe huaa hai ataa na tere rukh ke liye hai na tere lab ke liye kabhi to ulTe sar-e-aam vo naqaab apni taras rahe hain sabhi baada-e-inab ke liye tire visaal ki kab aarzu rahi dil ko ki ham ne chaahaa tujhe shauq-e-be-sabab ke liye dil-e-hazin ki do-aalam nahin bahaa jis ki luTaayaa main ne ise teri ek chhab ke liye vahi kiran jo sar-e-charkh rah gai tanhaa vo sog ban gai taaron ke har tarab ke liye 'azim' ishq-e-shah-e-do-saraa basaa dil mein vahi ajam ke liye hai vahi arab ke liye"
Azeem QuraishiAzeem Quraishi