Quote
"vahi sitaara shab-e-gham kaa ik sitaara hai vo ik sitaara jo chashm-e-sahar mein rahtaa hai khuli fazaa kaa payaami havaa kaa baasi hai kahaan vo halqa-e-divaar-o-dar mein rahtaa hai jo mere honTon pe aae to gungunaaun use vo sher ban ke bayaaz-e-nazar mein rahtaa hai guzartaa vaqt miraa gham-gusaar kyaa hogaa ye khud taaaqub-e-shaam-o-sahar mein rahtaa hai miraa hi ruup hai tu ghaur se agar dekhe bagula saa jo tiri rahguzar mein rahtaa hai na jaane kaun hai jis ki talaash mein 'bismil' har ek saans miraa ab safar mein rahtaa hai"







