SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byImdad Imam Asar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gham nahin mujh ko jo vaqt-e-imtihaan maaraa gayaa khush huun tere haath se ai jaan-e-jaan maaraa gayaa tegh-e-abru se dil-e-aashiq ko milti kyaa panaah jo chaDhaa munh par ajal ke be-gumaan maaraa gayaa manzil-e-maa'shuq tak pahunchaa salaamat kab koi rahzanon se kaarvaan kaa kaarvaan maaraa gayaa dosti ki tum ne dushman se 'ajab tum dost ho main tumhaari dosti mein mehrbaan maaraa gayaa zahr se kuchh kam na thi daa'vat miri ghairon ke saath kyaa ghazab hai ghar balaa kar mehmaan maaraa gayaa dasht-e-ghurbat ranj-e-tanhaai hujum-e-dard-o-yaas in balaaon mein tiraa 'aashiq kahaan maaraa gayaa kyaa halaak-e-ishq tere gesuon kaa thaa 'asar' sumbulistaan ho gayaa hai do-jahaan maaraa gayaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"kisi kaa dil ko rahaa intizaar saari raat falak ko dekhaa kiye baar baar saari raat taDap taDap ke tamannaa mein karvaTein badlin na paayaa dil ne hamaare qaraar saari raat idhar to shama thi giryaan udhar the ham giryaan isi tarah pe rahe ashk-baar saari raat khayaal-e-sham-rukh-e-yaar mein jale taa-subh liyaa qaraar na parvaana-vaar saari raat na puchh soz-e-judaai ko ham se ai hamdam jalaa kiyaa ye dil-e-daaghdaar saari raat mizha ke ishq se aai na niind aankhon mein nazar khaTakti rahi ban ke khaar saari raat khayaal-e-zulf-e-siyah mein bahaa kiye aansu bandhaa rahaa mire rone kaa taar saari raat na puchh ham se 'asar' raat kis tarah kaaTi ajab tarah kaa rahaa intishaar saari raat"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"subh-dam roti jo teri bazm se jaati hai shama saaf mere soz-e-gham kaa rang dikhlaati hai shama jis tarah kaale ke man ke ru-ba-ru gul ho charaagh dekh kar taaviz-e-zulf-e-yaar bujh jaati hai shama sirf parvaana adab se dam-ba-khud rahtaa nahin tere roab-e-husn se mahfil mein tharraati hai shama gher lete hain tujhe parvaane us ko chhoD kar jis mein tu ho kab farogh us bazm mein paati hai shama kaarband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimaagh bazm mein har samt yaksaan nuur pahunchaati hai shama parda-e-faanus se baahar nahin rakhti qadam ru-ba-ru tere rukh-e-raushan ke sharmaati hai shama jaa-e-girya sohbat-e-ahle--tamaashaa hai 'asar' hai bajaa roti hui jo bazm mein aati hai shama"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"apne dar se jo uThaate hain hamein khaak mein aap milaate hain hamein hai jo manzur jafaa dar-parda munh vo ghairon mein dikhaate hain hamein ghair ko paas biThaa rakhte hain jab kabhi aap bulaate hain hamein garmiyaan ghair ko dikhlaa dikhlaa bazm mein aap jalaate hain hamein shab-e-furqat mein falak ke taare daagh-e-dil yaad dilaate hain hamein un ke andaaz-e-sukhan hain maalum ghair ko kah ke sunaate hain hamein phir kisi gul pe huaa dil maail daagh-e-taaza nazar aate hain hamein chhoD dein aap ki hamraahi ham vaah kyaa raah bataate hain hamein tu hamein raah bataae jis se ghair vo raah bataate hain hamein itr-e-gul se nahin jab dil bhartaa apnaa rumaal sunghaate hain hamein shab ko afsaana-e-dil kah ke 'asar' aap rote hain rulaate hain hamein"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"bahe saath ashk ke lakht-e-jigar tak na ki us ne miri jaanib nazar tak abas sayyaad ko hai bad-gumaani nahin baazu mein apne ek par tak khabar aai mariz-e-dard-o-gham ki kahin pahunche khabar us be-khabar tak nazaakat se lagi bal karne kyaa kyaa abhi gesu na pahunche the kamar tak jiye jaate hain shakl-e-sham-e-sozaan na kuchh baaqi raheinge ham sahar tak agar main yaad hotaa to na aate magar bhule se aae mere ghar tak dam-e-girya thi ghaalib naa-tavaani pahunchte lakht-e-dil kyaa chashm-e-tar tak khudaa jaane 'asar' ko kyaa huaa hai rahaa kartaa hai chup do do pahar tak"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"mere sar mein jo raat chakkar thaa us ke zaanu pe ghair kaa sar thaa apne ghar un ko kyaa bulaate ham boriyaa bhi nahin mayassar thaa zabt-e-dil par bhi us ki mahfil mein apnaa rumaal ashk se tar thaa jaan dene mein soch kyaa karte muflisi par bhi dil tavangar thaa khub-o-zisht-e-jahaan kaa farq na puchh maut jab aai sab baraabar thaa aap jab tak na le chuke the dil kuchh mizaaj aur banda-parvar thaa hijr laahiq huaa visaal ke baad kyaa hi ulTaa miraa muqaddar thaa jaur-e-aadaa ki taab kyaa laataa dil-e-kam-bakht naaz-parvar thaa sohbat-e-hur se hui nafrat main jo teri adaa kaa khugar thaa hai 'asar' yaa nahin khudaa jaane sunte hain us kaa haal abtar thaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"dil sang nahin hai ki sitamgar na bhar aataa karte na agar zabt to munh tak jigar aataa tu faatiha-khvaani ko agar qabr par aataa marne se mire ghair kaa matlab na bar aataa ai qais agar dasht mein tu raah par aataa sau baar tujhe naaqa-e-lailaa nazar aataa takhsis na thi tuur ki ai hazrat-e-musaa har sang mein vo nur-e-tajalli nazar aataa hoti chaman-aaraa-e-azal ki jo mashiyyat apne shajar-e-ishq kaa vaqt-e-samar aataa be-kaar na kar raat basar muntazari mein aanaa use hotaa to vo ab tak 'asar' aataa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"shaikh ke haal par taassuf hai shakl-e-rozi ki ik tasavvuf hai jis ki auqaat ho tasavvuf par us ke is rozgaar par tuf hai jin ko daa'vaa hai haq-shanaasi kaa un se bande ko bhi ta'aaruf hai na to 'irfaan ke un mein hain andaaz maarifat se na kuchh tasharruf hai kaisi taamil-e-hukm khaaliq ki kaisaa islaam sad-taassuf hai kaun se amar-e-din ko koi kahe diin kaa diin hi tasavvuf hai din-e-ahmad se ho jo baahar baat vahi is 'ahd mein tasavvuf hai maal jo kuchh hai bevaqufon kaa shaikh kaa maal be-takalluf hai hai 'asar' ye tasarruf-e-be-jaa aur koi nahin tasarruf hai"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"mahfil mein us pe raat jo tu mehrbaan na thaa aisaa subuk thaa ghair ki kuchh bhi giraan na thaa vasl-e-butaan mein khauf-e-firaaq-e-butaan na thaa goyaa ki apne sar pe kabhi aasmaan na thaa pesh-e-raqib pursish-e-dil tum ne khuub ki dushman thaa parda-daar na thaa raaz-daan na thaa ibrat dilaa chuki thi hamaari sitam-kashi mutlaq shab-e-visaal adu shaadmaan na thaa bigDe hue raqib se vo aae mere ghar is husn-e-ittifaaq kaa koi gumaan na thaa sargarm-e-naala kyuun rahi bulbul bahaar mein kyaa ham na the asiir ki zauq-e-fughaan na thaa sarshaar-e-be-khudi the 'asar' bazm-e-yaar mein kyaa jaanein ham raqib kahaan thaa kahaan na thaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"dil se kyaa puchhtaa hai zulf-e-girah-gir se puchh apne divaane kaa ahvaal tu zanjir se puchh meri jaan-baazi ke jauhar nahin raushan tujh par kuchh khule hain tiri shamshir pe shamshir se puchh pursish-e-haal ko jaati hai kahaan ai lailaa qais ki shakl hai kyaa qais ki tasvir se puchh vaaqif-e-raaz nahin pir-e-mughaan saa koi hai dilaa puchhnaa jo kuchh tujhe us piir se puchh vaaqif-e-lazzat-e-aazaar nahin har koi kyaa mazaa gham mein hai ye aashiq-e-dil-gir se puchh garmi-e-shauq nahin hai to dahan mein ai shama kis liye teri zabaan letaa hai gul-gir se puchh ulTi kyuun paDti hai tadbir ye ham kyaa jaanein kaun ulaT detaa hai is raaz ko tadbir se puchh mujh se ai daavar-e-mahshar hai ye pursish kaisi puchhnaa hai tujhe jo kuchh miri taqdir se puchh yuun to ustaad-e-fan-e-sher bahut se guzre kis ko kahte hain ghazal-goi 'asar' 'mir' se puchh"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"rote hain sun ke kahaani meri kaash sunte vo zabaani meri kaT gayaa ghair mare naalon se vaah-ri saif-zabaani meri aaina dekh ke farmaate hain kis ghazab ki hai javaani meri phir tumhein niind nahin aane ki kahin sun li jo kahaani meri baar kyaa paanv tiri mahfil mein hai subuk tujh pe giraani meri hama-tan-gosh bane sunte hain ghair kahtaa hai kahaani meri yaad aaungaa jafaa-kaaron ko be-nishaani hai nishaani meri iltijaa ek muqaddar do the ghair ki maani na maani meri hashr mein kuchh na huaa mujh se savaal vaah-ri hech-mudaani meri ab uTheinge tire dar se mar kar kabhi uThti nahin Thaani meri mere ash'aar fughaan-e-dil hain qadr kartaa hai 'fughaani' meri khusrav-e-mulk-e-sukhan-daani huun daad hai baaj-sataani meri dil mein poshida rahegi kab tak aatish-e-shauq-e-nihaani meri taar-e-gesu se nazar jaa uljhi dekhnaa resha-davaani meri dil ki haalat se khabar deti hai 'asar' aashufta-bayaani meri"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"suuli chaDhe jo yaar ke qad par fidaa na ho phaansi chaDhe jo qaidi-e-zulf-e-rasaa na ho mazmun vo kyaa jo lazzat-e-gham se bharaa na ho shaa'ir vo kyaa kalaam mein jis ke mazaa na ho bad-naam mere vaaste vo dilrubaa na ho yaa-rab 'adu ke haath se meri qazaa na ho jab apni koi baat baghair-az-du'aa na ho dushman ke kahne sunne se naadaan khafaa na ho ho vo agar khilaaf-e-muaafiq havaa na ho Duube vo naav jis kaa khudaa naakhudaa na ho dil-daadgi ko husn-e-khudaa-daad kam nahin naaseh agar nahin hai buton mein vafaa na ho roz-e-jazaa vo shokh mile ham ko ai khudaa is ke sivaa kuchh aur 'adu ki sazaa na ho mushkil kaa saamnaa ho to himmat na haariye himmat hai shart saahib-e-himmat se kyaa na ho but aazaraan-e-vaqt banaaein agar hazaar teraa nazir ek bhi naam-e-khudaa na ho dhoke mein mere qatl kyaa us ne ghair ko qaatil kaa kyaa qusur jo meri qazaa na ho sach hai ki har kamaal ko duniyaa mein hai zavaal aisaa baDaa hai kaun jo aakhir ghaTaa na ho roz-e-jazaa se vaa'iz-e-naadaan use Daraa sadma shab-e-firaaq kaa jis ne sahaa na ho miltaa nahin pataa tire chhalle ke chor kaa ai gul-badan ye shokhi-e-duzd-e-hinaa na ho teraa gila na ghair kaa shikva zabaan pe hai kartaa huun 'arz haal-e-sitamgar khafaa na ho paate hain kaj-sarisht jazaa apne fe'l ki kahti hai raasti ki bure kaa bhalaa na ho bulbul na phuul khanda-e-subh-e-bahaar par naadaan kahin ye khanda-e-dandaan-numaa na ho teri zabaan pe aae agar harf-e-iltiyaam kyuun kar shikast-e-dil ke liye momiyaa na ho ghaafil mariz-e-'ishq ki tu ne khabar na li thaa ghair us kaa haal vo ab tak ho yaa na ho sharminda ai karim na hon 'aashiqon mein ham pursish hamaare qatl ki roz-e-jazaa na ho kartaa hai ai 'asar' dil-e-khun-gashta kaa gila 'aashiq vo kyaa ki khasta-e-tegh-e-jafaa na ho"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"sharaab khun-e-jigar hai ham ko sharaab ham le ke kyaa kareinge gazak ki jaa hai dil-e-birishta kabaab ham le ke kyaa kareinge hazaar parde mein tum chhupaao pa husn chhuptaa nahin miri jaan tumhaare aariz ye kah rahe hain naqaab ham le ke kyaa kareinge hamaare naqd-e-dil-o-jigar ko hisaab ke baad pher deinge hisaab lene kaa un se haasil hisaab ham le ke kyaa kareinge hamein jo bhejaa hai tum ne mushaf to yaar harf-aashnaa nahin ham dikhaao apnaa rukh-e-kitaabi kitaab ham le ke kyaa kareinge buton ki ulfat se baaz aaein magar jo dil maan jaae vaaiz azaab mein jaan paD gai hai savaab ham le ke kyaa kareinge jo mana kartaa hai dil na deinge buton ko naaseh magar khudaaraa bataa de tu hi ki is tarah kaa azaab ham le ke kyaa kareinge khudaa ki bakhshi hui hai vaqat 'asar' nahin koi aisi neamat mili hai jab izzat-e-siyaadat khitaab ham le ke kyaa kareinge"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"jhuTe vaadon par tumhaari jaaein kyaa jaante hain tum ko dhokaa khaaein kyaa pursish apne qatl ki hone lagi daavar-e-mahshar ko ham batlaaein kyaa un ki mahfil hairat-e-aalam sahi ghair ham-pahlu jahaan ho jaaein kyaa khun-e-dil khaane se kuchh inkaar hai jab nahin ai lazzat-e-gham khaaein kyaa naaseh-e-mushfiq ko samjhaanaa paDaa is samajh par tum ko vo samjhaaein kyaa ghair ne rah kar jahannam kar diyaa hain musalmaan tere ghar ham aaein kyaa ham se un se baat kyaa baaqi rahi ham kahein kyaa aur vo farmaaein kyaa hai pashemaani mein iqraar-e-khataa qatl kar ke mujh ko vo pachhtaaein kyaa aaeinge phir bhi vahi ishrat ke din inqilaab-e-dahr se ghabraaein kyaa mar hi kar uTTheinge tere dar se ham aa ke jab baiThe to phir uTh jaaein kyaa dil ko khoe ek muddat ho gai ai 'asar' ab DhunDne se paaein kyaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"zabaan-e-haal se ham shikva-e-bedaad karte hain dahaan-e-zakhm-e-qaatil dam-ba-dam fariyaad karte hain samajh kar kyaa asiraan-e-qafas fariyaad karte hain tavajjoh bhi kahin fariyaad par sayyaad karte hain azaab-e-qabr se paate hain raahat ishq ke mujrim pas-e-murdaan jafaaein yaar ki jab yaad karte hain na kah bahr-e-khudaa tu bandagaan-e-ishq ko kaafir buton ki yaad mein zaahid khudaa ko yaad karte hain zaraa sayyaad chal kar dekh tu kyaa haal hai un kaa asiraan-e-qafas fariyaad par fariyaad karte hain butaan-e-sang-dil ke haath se dil hi nahin naalaan baraabar dair mein naaqus bhi fariyaad karte hain banaate hain hazaaron zakhm-e-khandaan khanjar-e-gham se dil-e-naashaad ko ham is tarah pur-shaad karte hain mile lazzat jo iizaa se to baaz aate hain iizaa se sitam-ijaad hain tarz-e-sitam ijaad karte hain 'asar' ko dekh kar kyaa ruuh ko sadma pahunchtaa hai khudaa samjhe buton se kis qadar be-daad karte hain"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"kyuun dekhiye na husn-e-khudaa-daad ki taraf laazim nazar hai gulshan-e-ijaad ki taraf paae jo tere gosha-e-dastaar ki havaa qumri uDi na turra-e-shamshaad ki taraf be-asl ai falak nazar aataa hai tu mujhe kartaa huun ghaur jab tiri buniyaad ki taraf gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf mazlum huun magar nahin miltaa koi gavaah hain ahl-e-hashr is sitam-ijaad ki taraf naadaan kahin panaah nahin maut se tujhe kyaa dekhtaa hai qila-e-faulaad ki taraf ham-jins ko zarur hai ham-jins kaa khayaal raghbat na ho bashar ko pari-zaad ki taraf mazmun kamar kaa haath na aayaa jo dahr mein jaanaa paDaa mujhe adam-aabaad ki taraf taklif ju-e-shir ki de kar jo thi khajil shirin na dekh sakti thi farhaad ki taraf divaangi kaa zor tamaashaa hai ai pari fassaad ki nigaah hai haddaad ki taraf gardan jhukaae shauq-e-shahaadat mein huun ravaan dil le chalaa hai kucha-e-jallaad ki taraf umid-vaar chashm-e-inaayat kaa hai gharib dekho to ik nazar dil-e-naashaad ki taraf naaseh agar sitam na sahein ham to kyaa karein dil dauDtaa hai yaar ki be-daad ki taraf bulbul samajh rahi hai ki gulhaa-e-khanda-ru rakhte hain kaan naala-o-fariyaad ki taraf fazl-e-khudaa se apni tabiat hai be-niyaaz ru-e-talab kabhi na huaa daad ki taraf vaaiz se sun ke qaamat-e-tauba ki khubiyaan dauDaa khayaal ik qad-e-aazaad ki taraf bhule hue hain saare zamaane ki nematein mailaan-e-dil jinhein hai teri yaad ki taraf yaa shaah-e-jinn-o-ins 'asar' par bhi ik nazar rakhtaa hai aankh aap ki imdaad ki taraf"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"qaid-e-tan se ruuh hai naashaad kyaa chand-roza umr ki miaad kyaa meri iizaa se adu ho shaad kyaa tujh pe takiya o sitam-ijaad kyaa un ki khaatir jaaein bazm-e-ghair mein aarzu-e-jannat-e-shaddaad kyaa paa rahaa hai dil musibat ke maze aae lab par shikva-e-bedaad kyaa dil mein jo aae use kah Daaliye aap ki baatein kareinge yaad kyaa dosto aae hain vo dushman ke saath mujh ko dete ho mubaarakbaad kyaa jab nahin kuchh e'tibaar-e-zindagi is jahaan kaa shaad kyaa naashaad kyaa kuchh agar taasir rakhti hai to khinch varna ai dil haasil-e-fariyaad kyaa jab ba-rang-e-gul hai paaband-e-makaan baandhte hain sarv ko aazaad kyaa hai tiraa paamaal har nakhl-e-chaman tere aage sarv kyaa shamshaad kyaa yaar ki tasvir dil par khinch li khinchte ham minnat-e-bahzaad kyaa ghair dil se ek dam jaataa nahin ham tujhe aaein sitamgar yaad kyaa mujh se pahle sun chuke hain ghair ki vo mire haq mein karein irshaad kyaa sar Tapakte hain asiraan-e-qafas hai chaman ki ai sabaa rudaad kyaa aashiqi hai sar pe lenaa koh-e-gham naazish-e-sar baazi-e-farhaad kyaa arz apni hai jo hai arz-e-adu dekhiye karte hain vo irshaad kyaa sar-kashi tujh se kare kyaa taab hai aadmi ki ai khudaa buniyaad kyaa be-haqiqat jaan kar dil ko 'asar' to ne ai naadaan kiyaa barbaad kyaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"Thikaanaa hai kahin jaaein kahaan naa-chaar baiThe hain ijaazat jab nahin dar ki pas-e-divaar baiThe hain ye matlab hai ki mahfil mein manaae aur man jaaein vo mere chheDne ko ghair se bezaar baiThe hain kharidaar aa rahe hain har taraf se naqd-e-jaan le kar vo yusuf ban ke bikne ko sar-e-baazaar baiThe hain achaanak le na luun bosa ye khaTkaa un ke dil mein hai mire pahlu mein baiThe hain magar hoshyaar baiThe hain tumhaare aashiqon mein be-qaraari kyaa hi phaili hai jidhar dekho jigar thaame hue do-chaar baiThe hain qayaamat hai sitam murde pe bhi un ko gavaaraa hai miraa laasha uThaane ke liye aghyaar baiThe hain lab-e-baam aa ke dikhlaa vo tamaashaa tuur kaa tum bhi baDe mauqe se dar par taalib-e-didaar baiThe hain 'asar' kyun-kar na jaanun us ke dar ko qibla-e-aalam usi jaanib kai rukh kaafir o din-daar baiThe hain"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"yunhi uljhi rahne do kyuun aafat sar par laate ho dil ki uljhan baDhti hai jab zulfon ko suljhaate ho chhup chhup kar tum raat ko saahib ghairon ke ghar jaate ho kaisi hai ye baat kaho to kyun-kar munh dikhlaate ho sunte ho kab baat kisi ki apni haT par rahte ho hazrat-e-dil tum apne kiye par aakhir ko pachhtaate ho muddat par to aae ho ham dekh lein tum ko ji bhar ke aae ho to Thahro saahib roz yahaan kyaa aate ho kaisaa aanaa kaisaa jaanaa mere ghar kyaa aaoge ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho aankhein jhapki jaati hain matvaali ki si surat hai jaage kis ki sohbat mein jo niind ke itne maate ho dil se 'asar' kyaa kahte ho hai jaan kaa saudaa ishq-e-butaan tum bhi to divaane ho divaane ko samjhaate ho"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"husn ki jins kharidaar liye phirti hai saath baazaar kaa baazaar liye phirti hai dar-ba-dar hasrat-e-dildaar liye phirti hai sar-e-har-kucha-o-baazaar liye phirti hai adam-aabaad mein aane kaa sabab hai zaahir justuju-e-kamar-e-yaar liye phirti hai dil-e-sozaan se nahin koi nishaan-e-zulmat mashal-e-aah-e-shab-e-taar liye phirti hai aate hi fasl-e-khizaan bulbul-e-shaidaa bahki har taraf gul ki jagah khaar liye phirti hai dair o masjid mein tamann-e-ziyaarat kis ki tum ko ai kaafir o din-daar liye phirti hai dasht mein qais ko kyaa aae nazar jab lailaa saath mein gard ki divaar liye phirti hai daur-e-saaghar mein nahin kaf sar-e-baada saaqi dukht-e-raz shaikh ki dastaar liye phirti hai khun-e-farhaad se bechain hai ruh-e-shirin be-sutun se bhi giraan-baar liye phirti hai gul se kyuun kah nahin deti hai payaam-e-bulbul apne sar baad-e-sabaa baar liye phirti hai maantaa hi nahin lailaa ki kare kyaa lailaa saath mein qais ko naa-chaar liye phirti hai sadma pahunchaa kisi gul ko ki chaman mein bulbul khuun mein Duubi hui minqaar liye phirti hai kushta-e-naaz ki turbat na milegi bulbul phuul minqaar mein be-kaar liye phirti hai taair-e-dil ko havaa-e-kham-e-zulf-e-sayyaad surat-e-murgh-e-giraftaar liye phirti hai jumbish-e-paa se hai galiyon mein qayaamat barpaa saath mahshar tiri raftaar liye phirti hai kohkan khud to subuk-dosh huaa, par shirin sar pe ilzaam kaa kohsaar liye phirti hai dasht-e-ghurbat mein nahin phirtaa huun khud aavaara gardish-e-charkh-e-sitamgaar liye phirti hai saath duniyaa kaa nahin taalib-e-duniyaa dete apne kutton ko ye murdaar liye phirti hai hasrat-e-did 'asar' hazrat-e-'aatish' ki tarah pesh-e-rauzan pas-e-divaar liye phirti hai"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"apni jaan-baazi kaa jis dam imtihaan ho jaaegaa khanjar-e-saffaak par jauhar ayaan ho jaaegaa aah-e-sozaan kaa agar unchaa dhuaan ho jaaegaa aasmaan ik aur zer-e-aasmaan ho jaaegaa kuchh samajh kar us mah-e-khubi se ki thi dosti ye na samjhe the ki dushman aasmaan ho jaaegaa le khabar bimaar-e-gham ki varna ai rashk-e-masih teri furqat mein firaaq-e-jism-o-jaan ho jaaegaa khaak kar degaa mujhe aakhir siyah-chashmon kaa ishq jism-e-khaaki gard-e-paa-e-aahuvaan ho jaaegaa jab adaa se vo karegaa qatl mujh ko ai 'asar' kushta-e-shamshir-e-hairat ik jahaan ho jaaegaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"kab ghair huaa mahv tiri jalvagari kaa tu puchh mire dil se maza be-khabari kaa saudaa jo gul-o-laala ko hai jeb-dari kaa adnaa ye shagufa hai nasim-e-sahari kaa kis ne lab-e-baam aa ke dikhaayaa rukh-e-raushan khurshid mein hai rang charaagh-e-sahari kaa apni ye ghazal hai ki paristaan-e-sukhan hai parvaaz-e-mazaamin mein hai andaaz pari kaa kuchh kam nahin naazuk mire mazmun-e-kamar se shohra hai bajaa yaar ki naazuk-kamari kaa ik raat bhi ai maah na jaagi miri qismat suntaa thaa bahut shor duaa-e-sahari kaa jis ne mujhe aagaah kiyaa haal-e-jahaan se kyaa lutf jamaadaat ko hai be-khabari kaa ghurbat mein milaa lutf kahin baDh ke vatan se haasil jo huaa tujh se mazaa ham-safari kaa us maah ki mahfil mein jo hai qahqaha-zan aaj hotaa hai bat-e-mai pe gumaan kabk-e-dari kaa quraan kahe detaa hai ki ham haq ki zabaan hain hotaa hai judaa taur kalaam-e-bashri kaa aadam ki to maan bhi na thi ai munkir-e-eajaaz iisaa ko milaa sirf sharaf be-pidri kaa sarv-e-qad-e-dilbar ki jo tasvir hai dil par ham-sang nahin laal-e-aqiq-e-shajari kaa aankhein hain hasinon ki tire sabza-e-rukh par kyunki na ho mailaan ghazaalon ko chari kaa chal tu bhi 'asar' le ke mataa-e-dil-e-betaab vo dekhne jaate hain tamaashaa guzari kaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar