SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byImran(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mausam-e-gul hai tire surkh dahan ki had tak yaa mire zakhmon se aaraasta tan ki had tak vaqt har zakhm ko bhar detaa hai kuchh bhi kiije yaad rah jaati hai halki si chubhan ki had tak na kisi gul se taalluq na kisi khaar se bair rabt gulzaar se hai bu-e-saman ki had tak vo mujhe bhuul nahin paayaa abhi tak yaani main use yaad huun maathe ki shikan ki had tak baat ik aur pas-e-parda-e-alfaaz bhi thi us ne khat meraa paDhaa lutf-e-sukhan ki had tak mahr-o-mahtaab ki khvaahish se mujhe kyaa lenaa mutmain dil hai jab ik sim-badan ki had tak ye jo kahnaa hai ki har husn jafaa-pesha hai ek tohmat hai mire rashk-e-adn ki had tak"
I
Imran
Quote
"apne hisse mein hi aane the khasaare saare dost hi dost the basti mein hamaare saare zer-e-lab aah nami aankh mein chup chup tanhaa aise hi hote hain ye dard ke maare saare khvaab, ummid, tamannaaein, taalluq, rishte jaan le lete hain aakhir ye sahaare saare tujh ko ik lafz bhi kahne ki zarurat kyaa hai ham samajhte hain miri jaan ishaare saare ishq kyaa itnaa baDaa jurm hai? jis par yaavar! dushman-e-jaan hue jaan se pyaare saare aae jab tere muqaabil to khulaa kuchh bhi nahin gul-badan maah-jabin nuur ke dhaare saare haar hi jiit hai aain-e-vafaa ki ru se ye vo baazi hai jahaan jiit ke haare saare husn khud qaane huaa laal-o-guhar par varna ham to aflaak se le aate sitaare saare kaun kaafir hai ye jab puchhaa gayaa vaaiz se auj-e-mimbar se sadaa aai ki saare saare Dubnaa likkhaa ho taqdir mein 'imrran' agar aap ban jaate hain gardaab kinaare saare"
I
Imran
Quote
"payaam le ke havaa duur tak nahin jaati navaa-e-khalq-e-khudaa duur tak nahin jaati yahin kahin pe bhaTakti hain zer-e-charkh-e-kuhan hamaari koi duaa duur tak nahin jaati gale mein halqa-e-zarrin halaq mein luqma-e-tar tabhi to apni sadaa duur tak nahin jaati kisi ke chehre ke pichhe kaa haal kyaa maalum shikast-e-dil ki sadaa duur tak nahin jaati mire diye ko bas ik zid si hai andhere se agarche us ki ziyaa duur tak nahin jaati ajiib khauf kaa mausam hai in dinon 'imrran' sugandh le ke havaa duur tak nahin jaati"
I
Imran
Quote
"apne lahu mein zahr bhi khud gholtaa huun main soz-e-darun kisi pe nahin kholtaa huun main aflaak meri durd-e-tah-e-jaam mein hain gum tasbih-e-mahr-o-anjum-o-mah roltaa huun main kuchh na samajh ke uTh chale sab mere gham-gusaar jaane vahi ki jis ki zabaan boltaa huun main kyaa jaane shaakh-e-vaqt se kis vaqt gir paDun maanind-e-barg-e-zard abhi Doltaa huun main baazaar-e-dil mein dard kaa gaahak nahin koi mizaan-e-aarzu mein ziyaan taultaa huun main 'imrran' bu-e-gul se hain naakhun mahak uThe ye kis hasin ke band-e-qabaa kholtaa huun mein"
I
Imran
Quote
"ham na duniyaa ke hain na diin ke hain ham to ik zulf-e-ambarin ke hain shisha-o-mai se be-niyaaz hain ham mast us chashm-e-surmagin ke hain rang ho raushni ho yaa khushbu sab mein partav usi hasin ke hain chashm-e-be-khvaab daaman-e-gulgun sab karishme usi zahin ke hain hain makin qarya-e-mohabbat ke aasmaan ke na ham zamin ke hain aae the shahr-e-husn mein ik din aur ik umr se yahin ke hain aayatein hain hamaari qismat ki ye jo chitvan tiri jabin ke hain zulmat-e-shaam-e-hijr se 'imrran' tazkire ek mah-jabin ke hain"
I
Imran
Quote
"koi to hai jo aahon mein asar aane nahin detaa mire nakhl-e-tamannaa pe samar aane nahin detaa liye phirtaa hai mujh ko qarya qarya ku-ba-ku har dam magar saare safar mein meraa ghar aane nahin detaa mire khuun se jalaataa hai charaagh-e-shahr-e-ahl-e-zar mire hi ghar ke aangan mein sahar aane nahin detaa khilaataa hai vo dil mein nit-nae gul aarzuon ke magar honTon talak is ki khabar aane nahin detaa jidhar bhi dekhtaa huun main nazar aataa hai bas vo hi mujhe apne alaava kuchh nazar aane nahin detaa khulaa rakhtaa hai mere saamne aflaak kaa manzar magar kuchh soch kar vo mere par aane nahin detaa khudaayaa vaqt ke us paar kyaa asraar hain pinhaan musaafir ko kabhi to lauT kar aane nahin detaa main jaanaa chaahtaa huun par miri majburiyaan 'imrran' vo aanaa chaahtaa hai koi Dar aane nahin detaa"
I
Imran
Quote
"us kaa badan bhi chaahiye aur dil bhi chaahiye surkhi-e-lab bhi gaal kaa vo til bhi chaahiye ye kaarobaar-e-shauq hai be-gaar to nahin is kaarobaar-e-shauq kaa haasil bhi chaahiye paani aur aag ek jagah chaahiyein hamein jo shaakh gul-ba-dast ho qaatil bhi chaahiye sab ko khabar to ho ki vo meraa hai bas miraa pahlu mein yaar barsar-e-mahfil bhi chaahiye paa kar charaagh-e-dil ki havas aur baDh gai mausuf ko ab ik mah-e-kaamil bhi chaahiye yuun be-kanaar aarzuon se vasul kyaa khvaahish ko ek samt bhi saahil bhi chaahiye zholida-mu o chaak-garebaan sab ahl-e-dil koi to is qabile mein aaqil bhi chaahiye apni alag shanaakht bhi 'imrran' ho zarur vo shakhs apni ziist mein shaamil bhi chaahiye"
I
Imran