Quote
"koi pari ho agar ham-kanaar holi mein to ab ki saal ho duuni bahaar holi mein kiyaa hai vaada to phir bazm-e-raqs mein aanaa na kijiyo mujhe tum sharmsaar holi mein safed pairahan ab to utaar de allaah basanti kapDe hon ai gul-ezaar holi mein hamaare ghar mein utaareinge raah agar bhule hain mast Doli ke un ke kahaar holi mein mujhe jo qumquma maaraa to kar diyaa bismil ajiib rang se khele shikaar holi mein ye rang paash hue hain vo aaj ai 'naadir' hai farsh-e-bazm-e-tarab laala-zaar holi mein"







