Quote
"adaa-shanaas tiraa be-zabaan nahin hotaa kahe vo kis se koi nukta-daan nahin hotaa sab ek rang mein hain mai-kade ke khurd o kalaan yahaan tafaavut-e-pir-o-javaan nahin hotaa qimaar-e-ishq mein sab kuchh ganvaa diyaa main ne umid-e-nafaa mein khauf-e-ziyaan nahin hotaa sahm rahaa huun main ai ahl-e-qabr batlaa do zamin tale to koi aasmaan nahin hotaa vo mohtasib ho ki vaaiz vo falsafi ho ki shaikh kisi se band tiraa raaz-daan nahin hotaa vo sab ke saamne is saadgi se baiThe hain ki dil churaane kaa un par gumaan nahin hotaa jo aap chaahein ki le lein kisi kaa muft mein dil to ye muaamlaa yuun mehrbaan nahin hotaa jahaan fareb ho 'majzub' ye tiri surat buton ke ishq kaa tujh par gumaan nahin hotaa"
K
Khwaja Aziz






