SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"shoalon se mohabbat ki miri jaan mein lagi aag phir jaan se bhaDak jism ke maidaan mein lagi aag ye aatish-e-gham hai ki dam-e-sard se apne sar-chashma-e-khurshid-e-darakhshaan mein lagi aag us huur ke kuche mein bhare ham jo dam-e-garm mardum ne kahaa rauza-e-rizvaan mein lagi aag khandaan jo huaa yaar hamein dekh ke giryaan logon ne kahaa barq se baaraan mein lagi aag in rozon mein hai rang jo ashkon kaa gulaabi shaayad ki mire dida-e-giryaan mein lagi aag garmi se nagar ke tire gun aab huaa dekh bulbul ne pukaaraa ki gulistaan mein lagi aag naari hain jo pariyaan ye sabab hai ki tumhaare nur-e-rukh-e-raushan se paristaan mein lagi aag us aatishin-ru ko ba-lab-e-baam jo dekhaa aalam ne kahaa gumbad-e-gardaan mein lagi aag dariyaa mein vo dhoyaa thaa kabhi dast-e-hinaai hasrat se vahin panja-e-marjaan mein lagi aag ghairon ki taraf jo nazar-e-mehr se dekhaa ghairat se mire sina-e-sozaan mein lagi aag kyuun kohkan-o-qais rahein mujh se na naalaan naalon se mire koh-o-bayaabaan mein lagi aag vo sokhta-dil huun main pas-az-marg jo guzraa marqad se mire yaar ke daamaan mein lagi aag 'maatam' hai kisi sokhta-dil kaa asar-e-aah be-vajh nahin kucha-e-jaanaan mein lagi aag"
Maatam Fazl MohammadMaatam Fazl Mohammad
Quote
"aashiq hai jo tumhaare rukh-e-surkh-rang kaa rahtaa hai us ko nashsha sharaab-e-farang kaa kahte hain log dekh tere rukh pe khaal ko kyaa hukm rome mein hai sipahdaar zang kaa ai rashk-e-hur vusat-e-jannat mein bhi mujhe tujh bin hai be-gumaan yaqin gor-e-tang kaa jab se patang huun main tire shama-ru kaa yaar maalum thaa na tujh ko uDaanaa patang kaa khauf-e-khudaa na hotaa to rakhtaa main ai sanam arsh-e-azim naam tumhaare palang kaa ai sabz-rang mast-e-mai-e-ishq-o-husn to afyun ko puchhte nahin kyaa zikr bhang kaa khaal-e-rukh-e-nigaar hain chehre khayaal mein biini dikhaai de hai donaali tufang kaa maatam miraa hai yaar sivaa ham ko bazm-e-nur saut-e-bukaa se kam nahin aavaaz chang kaa aatish kaa sher paDhtaa huun aksar ba-hasb-e-haal dil said hai vo bahr-e-sukhan ke nahang kaa vo chashm ghaat mein dil-e-pur-daagh ke nahin aahu ko hai iraada shikaar-e-palang kaa naamus kaa to fikr hai 'maatam' abas yahaan ye ishq khasm naam kaa dushman hai nang kaa"
Maatam Fazl MohammadMaatam Fazl Mohammad
Quote
"ne amiron mein ne vaziron mein ishq ke ham to hain faqiron mein koi aazaad ho to ho yaaro ham to hain ishq ke asiron mein banda-e-ishq haq hai apne yahaan taaj-daaron mein takht-giron mein furqat-e-yaar ki bhari hai bu naala-haa-e-nai o nafiron mein zan-e-duniyaa murid kis ki nahin ham bhi is qahba ke the piron mein ab to khaamosh hain qafas mein kabhi naghma-sanjaan the ham-safiron mein ham ko tu vaajib-ul-vajud milaa ham kabiron mein ham saghiron mein kunj-e-uzlat mein yaar ko paayaa ne qalilon mein ne kasiron mein shukr-e-haq kijiye ki hai 'maatam' apne dildaar dil-paziron mein"
Maatam Fazl MohammadMaatam Fazl Mohammad
Quote
"dudmaan-e-dard ki shaadi hain ham khaandaan-e-gham ki aabaadi hain ham apni shumi se hui shaadi ghami shaayad aabaadi ki barbaadi hain ham apne aab-e-chashm se sarsabz hain zeb-e-dasht-o-zinat-e-vaadi hain ham darmiyaan-e-zindagi-o-marg hain qaabil-e-said o na sayyaadi hain ham zakhm-haa-e-hijr mein kyaa kyaa sahe kushtagaan-e-tegh-e-faulaadi hain ham banda-e-pirem yaa-rab az azaab murid-e-altaaf-e-aazaadi hain ham ham nahin kahte muqallid hain tire tere dar ke kalb-e-qillaadi hain ham daad kar ai daad-gar ushshaaq-kush tere aage tujh se fariyaadi hain ham khun-bahaa maashuq se lete nahin aashiq-e-insaaf-e-be-daadi hain ham dukhtar-e-raz ko koi ham se kahe tere to haqdaar daamaadi hain ham ham gunahgaar-e-janaab-e-ishq hain abd-e-ubbaadi na auraadi hain ham ai azizaan tark-e-ishq-e-husn mein sang par juun naqsh-e-bahzaadi hain ham laa-valad kahte hain ham ko laa-valad sher se az-bas-ki aulaadi hain ham aaqibat khaaki hain khaaki honge ne aatishi-o-aahi-o-baadi hain ham fath-baaghi ne nasar-puri hain balki sindh mein bhi haidraabaadi hain ham kyaa kahein kyaa the kahaan se aae hain misl-e-mazmun-e-nau iraadi hain ham phir bhi vo iraad karne saktaa hai jis ke avval baar ijaadi hain ham mast-e-ahmad se 'maatam' hain shakar* ne sumudi qaum ne aadi hain ham"
Maatam Fazl MohammadMaatam Fazl Mohammad
Quote
"ai dil-e-zaar likho jaanib-e-jaanaan kaaghaz haal kaa likhte hain fuqaraa su-e-sultaan kaaghaz marjaa-e-gabr-o-musalmaan hai vo but naam-e-khudaa bhejte hain use hindu o musalmaan kaaghaz un kaa mazmun bhi albatta huvaidaa hogaa ab jo aane lage us shokh ko pinhaan kaaghaz haif hai subh-e-vatan se na huaa vaarid-e-vaqt hech gaahe ba-sar-e-shaam-e-gharibaan kaaghaz kisi kaa bhi na javaab aayaa hamein ghurbat mein laakh ham likhe vatan ko su-e-yaaraan kaaghaz vasf afshaan kaa hai kis sim-badan ke likhnaa kaaghzi ham ko hai darkaar zar-afshaan kaaghaz is qadar ham ne giraan kar diye likh likh ke kise varna kis martaba the shahr mein arzaan kaaghaz likhte ham to khat-e-mahbub ko har dam nau-khat likhne dete jo hamein dida-e-giryaan kaaghaz mujh se divaane ko kyaa khat vo pari-zaad likhe likhte albatta hain insaan su-e-insaan kaaghaz bhejtaa huun main kisi rashk-e-gulistaan ki taraf meraa pahunchaae magar murgh-e-gulistaan kaaghaz bhejtaa huun main kisi saani-e-bilqis ke saub meraa le jaae magar murgh-e-sulaimaan kaaghaz kyaa magar bhuul gae baais-e-jamiyyat-e-khvesh ham ko bheje na adam se jo azizaan kaaghaz kahte hain nisf mulaaqaat hai maktub bhi yaar kabhi likkho to su-e-maatam-e-naalaan kaaghaz"
Maatam Fazl MohammadMaatam Fazl Mohammad
Quote
"bas tamannaa hai ishq-e-maulaa mein ki marun main yahi tamannaa mein ishq-e-khubaan nahin hai aisi shai baandh kar rakhiye jis ko puDiyaa mein rukh-e-afshaan mein tere aalam-e-nur nam qamar mein hai nam surayyaa mein yad-e-baizaa kaa hai khayaal aataa dekh mehndi tire kaf-e-paa mein tere bimaar-e-hijr ai mahbub na to moti mein hain na ahyaa mein vahdahu-laa-sharik-la hai tu tujh saa duniyaa mein hai na uqbaa mein tujh ko kyuun kar kahein ham harjaai nuur to jalva-gar hai har jaa mein kyaa kahun din ko kis qadar royaa raat dilbar ko dekh ruuyaa mein ishq lagte hi ho gayaa maalum haal-e-majnun ishq-e-lailaa mein maraz-e-ishq husn-e-khubaan kaa marg darmaan hai naam hukamaa mein haasil-ul-amr ham hue badnaam ishq husn-e-butaan-e-zebaa mein rukh-e-yusuf se rukh mushaabah hai lab hain milte lab-e-masihaa mein aab-e-baaraan se gir na paae madad khaak paD jaae chashm-e-dariyaa mein ye duaa haq se hai miraa 'maatam' dafn ho karbalaa-muallaa mein"
Maatam Fazl MohammadMaatam Fazl Mohammad