SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMahmood Nashtari(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"aap kaa jis raaste mein naqsh-e-paa mil jaaegaa taalib-e-manzil ko manzil kaa pata mil jaaegaa jaante ho tum se mil kar kis ko kyaa mil jaaegaa zindagi mil jaaegi aur muddaaa mil jaaegaa aap ki dariyaa-dili par naaz farmaaeinge ham jab hamein apni mohabbat kaa sila mil jaaegaa mushkilein hasti ki apni kam se kam ho jaaeingi doston jis din hamein apnaa pata mil jaaegaa shaakh-e-gul kuchh is tarah katri gai hain dosto agle mausam mein koi pattaa haraa mil jaaegaa us ko paane ke liye khud ko lagaao dosto DhunDne se aap ko be-shak khudaa mil jaaegaa aap ko vo bhuul jaaeinge zamaane ki tarah jab unhein 'mahmud' koi dusraa mil jaaegaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kisi ki mehrbaani ho gai hai tumhein jo bad-gumaani ho gai hai qayaamat ki nishaani ho gai hai jidhar dekho giraani ho gai hai khushi hone lagi hai haadson se tabiat imtihaani ho gai hai mohabbat jis jagah thi raqs-farmaa haveli vo puraani ho gai hai jise dekho vahi sahmaa huaa hai agarche rut suhaani ho gai hai hamaaraa ghar jalaa kar bijliyon ko mayassar shaadmaani ho gai hai kisi ki yaad kaa aalam na puchho sharik-e-zindagaani ho gai hai jise 'mahmud' sunnaa chaahte the mukammal vo kahaani ho gai hai"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"gulshan hai laala-zaar chalo chal ke dekh lein aai hai kyaa bahaar chalo chal ke dekh lein vo kyon hain be-qaraar chalo chal ke dekh lein hai kis kaa intizaar chalo chal ke dekh lein muddat hui hai un se madavaa-e-gham kiye karte hain kitnaa pyaar chalo chal ke dekh lein vo aap se khafaa hain ki naaraaz ham se hain karte hain kis pe vaar chalo chal ke dekh lein saare jahaan kaa aish mayassar to hai unhein kyon zindagi hai yaar chalo chal ke dekh lein phir tazkire hain un ki sadaaqat ke har jagah kar leinge eatibaar chalo chal ke dekh lein miTte nahin kisi se miTaae bhi ye kabhi gham-haa-e-rozgaar chalo chal ke dekh lein mai-khaana-e-hayaat mein 'mahmud' in dinon phailaa hai intishaar chalo chal ke dekh lein"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"misaal apni baDi be-nazir rakhtaa huun main apne aap ko khud kaa asiir rakhtaa huun yuun apne aap ko logo haqir rakhtaa huun khudaa gavaah ki raushan zamir rakhtaa huun unhein yaqin hai meri kamaan mein rahte hain achuk ilm ke tarkash mein tiir rakhtaa huun main zaahira mein huun har chand muflis-o-naadaar dil-o-nigaah ko lekin asiir rakhtaa huun na jaane kaun si manzil pe maut aa jaae khudaa hi jaane kahaan kaa khamir rakhtaa huun dil-o-dimaagh se kartaa huun faisle apne main apne azm ko 'mahmud' miir rakhtaa huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"talab kiyaa hai hamein vaqt ne talab ki tarah nae mizaaj ki surat nae adab ki tarah badal chuki hai zamaane mein ye to sab ki tarah hayaat apni guzaaro na be-adab ki tarah khudaa gavaah ki ab aap maat khaaeinge kisi tarah se bhi dijegaa aap ab ki tarah kisi ki raat hai raushan nae charaaghon se hamaaraa din hai abhi tak siyaah shab ki tarah kisi ki chashm se sairaab ho ke piitaa huun dikhaai detaa huun duniyaa ko tishna-lab ki tarah ye vaaqia hai ki tabdiliyon kaa haami huun miraa mizaaj badaltaa hai roz-o-shab ki tarah hazaar kahne ko us ne khudaa banaa Daale misaal de nahin paayaa vo mere rab ki tarah khudaa ne mujh ko navaazaa hai apni rahmat se mujhe samajhiye na 'mahmud' aap sab ki tarah"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari