SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"fughaan-o-aah hai har-dam pukaar rakhtaa hai ghazab mein jaan dil-e-be-qaraar rakhtaa hai gul-e-chaman na dur-e-shaahvaar rakhtaa hai bharaa bharaa jo badan meraa yaar rakhtaa hai latif ruuh ki maanind jism hai kis kaa piyaada kaun vaqaar-e-savaar rakhtaa hai judaa judaa hai hasinaan-e-dahr kaa andaaz har ek tarah ki har gul bahaar rakhtaa hai fareb-e-husn se allaah aadmi ko bachaa chale ye pech to rustam ko maar rakhtaa hai kamaal-e-ishq ko paataa huun khaaksaari mein taraf nasheb ke dariyaa guzaar rakhtaa hai bahaar aai hai bint-ul-inab pe joban hai girah mein daam koi baada-khvaar rakhtaa hai sunaa hai jab se ki hain dafan us mein aashiq-e-zaar qadam zamin pe nahin vo nigaar rakhtaa hai har ek shisha-e-saaat falak ko kahtaa hai ki 'muntahi' se saraasar ghubaar rakhtaa hai"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"mumkin mujhe jo ho be-riyaa ho masnad ho ki is mein boriyaa ho jab qaabil-e-did dil-rubaa ho allaah kare ki baa-vafaa ho bhejaa nahin khat-e-shauq kab se maa'lum huaa ki tum khafaa ho be-taabi-e-dil agar dikhaaun koi na kisi kaa mubtalaa ho martaa hai zar pe ahl-e-duniyaa naamard ko kab khvaahish-e-tilaa ho miTTi kar de jo aap ko to nazron mein khaak kimiyaa ho aai hai fasl-e-gul chaman mein ai hosh-o-khirad chalo havaa ho kyaa mujh ko dar-ba-dar phiraayaa ai khvaahish-e-dil tiraa buraa ho dikhlaai tu ne yaar ki shakl ai jazba-e-dil tiraa bhalaa ho lipTo mujhe aa ke hijr ki shab ai gesu-e-yaar agar balaa ho ai 'muntahi' bazm-e-yaar kaa haal kyaa jaaniye baa'd mere kyaa ho"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"fughaan-o-aah se paidaa kiyaa dard-e-judaai ko ghazab mein jaan ko Daalaa jataa kar aashnaai ko miTaayaa paas-e-rusvaai se meri aashnaai ko bichhaaun aap ki ismat ko oDhun paarsaai ko na aayaa baa'd-e-murdan bhi lahad par faatiha paDhne main itnaa bhi na samjhaa thaa tiri naa-aashnaai ko na dil apnaa huaa apnaa na ik but par huaa qaabu kareinge yaad kyaa ham ai khudaa tere khudaai ko kisi mahfil mein jis dam zikr-e-sham-e-tur hotaa hai dikhaa dete hain vo jal kar sar-angusht-e-hinaai ko faqir-e-be-navaa us ke dar-e-daulat kaa hai banda ghanimat jaante hain shaah tak jis ki gadaai ko asar paidaa karegi aah apni yaar ke dil mein nishaane tak khudaa pahunchaaegaa tir-e-havaai ko kabhi hai fikr duniyaa ki kabhi uqbaa kaa dhaDkaa hai utaarun jaama-e-tan se main kyunkar is dulaai ko garebaan haath aataa hai na sahraa tak pahunchtaa huun khudaa ke vaaste dekho mire be-dast-o-paai ko falak vo tafraqa-parvaaz-e-aalam hai dilaa sar par ghanimat jaantaa huun gor tak apni rasaai ko shikasta-dil hain har dam har ghaDi hain jaan ke laale karun kyaa nosh-daaru ko main kyaa luun musiyaai ko tamannaa-e-dili ne 'muntahi' khoyaa mashikhat ko milaayaa khaak mein dast-e-havas ne mirzaai ko"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"dar pe us shokh ke jab jaa baiThaa yaar sab kahte hain achchhaa baiThaa khubi-e-qismat-e-qaasid dekho paas us shokh ke kyaa jaa baiThaa hai habaab-e-lab-e-dariyaa insaan jab zaraa sar ko uThaayaa baiThaa zoaf-e-piri se banaa naqsh-e-qadam main vahin kaa huaa jis jaa baiThaa surat-e-baad rahaa sar-gardaan khaak ki tarah main uTThaa baiThaa paanv phule jo tire kuche mein kaaT ke dast-e-tamannaa baiThaa bahr-e-hasti mein habaabon ki tarah saikDon baar main uTThaa baiThaa kab se teraa falak-e-shoabada-baaz dekhtaa huun main tamaashaa baiThaa saamne kis ke jhukaayaa sar ko kis liye shaikh tu uTThaa baiThaa na to naala hai na afghaan ai dil kis liye chup hai akelaa baiThaa khvaab-e-sair-e-chaman-e-aalam hai kyaa dil-e-zaar hai phulaa baiThaa daaman-e-dil pe lagaa daagh-e-junun mulk par ishq kaa sikka baiThaa naqd-e-dil thaa jo bizaaat mein miri ishq mein us ko bhi kho-khaa baiThaa jo gayaa mulk-e-adam kaun gayaa us ke kuche mein jo baiThaa baiThaa dil ko hai jazba-e-ulfat shaayad bak rahaa hai jo akelaa baiThaa chal base 'muntahi' sab yaar tire tu yahaan kartaa hai ab kyaa baiThaa"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"dair-o-haram ko chhoD ke ai dil chal baiTho maikhaane mein khuub guzar jaaegi apni saaqi se yaaraane mein sair tabiat ho jaaegi nasha jo hai hovegaa vahi farq nahin hai saaqi hargiz chullu mein paimaane mein ruuh hai jab tak jism ke andar jism pe mere raunaq hai kaashaana aabaad hai jab tak bulbul hai kaashaane mein dast-e-tamannaa qata huaa barbaad hui hai hirs-o-havaa ziist ki surat apni bandhi ai nafs tire mar jaane mein sach hai dil ko apne bhi juz yaad sanam kuchh dhyaan nahin dekh to ai naaseh kaisi hushyaari hai divaane mein fikr-e-duniyaa se hain chhuTe is ranj-e-jahaan se paai najaat laakh tarah ki raahat paai ik apne mar jaane mein pesh-e-junun-e-bakhta ai dil maut to ziist se khush-tar hai shama ke aage raqs-kunaan thaa parvaana jal jaane mein husn-e-nairang us mah-ru kaa dil-e-hazin mein rahtaa hai chashm-e-binaa ho to dekhe basti hai viraane mein naqsh-e-mohabbat kahin na paayaa lauh-e-dil par insaan ke phiraa qalam ki surat se main barson ik ik khaane mein"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"yaad hai roz-e-azal us ne kahaa kyaa kyaa kuchh bar-khilaaf is ke yahaan tu ne kiyaa kyaa kyaa kuchh huur di khuld diyaa qasr diyaa rahne ko mujh gunahgaar ko khaaliq ne diyaa kyaa kyaa kuchh saal-haa-saal bahaar-e-chaman-e-aalam ne rang dikhlaae hain ham ko ba-khudaa kyaa kyaa kuchh gah khizaan aai gulistaan mein kabhi baad-e-bahaar saamne aankhon ke bande ke huaa kyaa kyaa kuchh tohmat-e-jurm-o-jafaa hirs-o-havaa ghaflat-e-dil ham ne baazaar se hasti ke liyaa kyaa kyaa kuchh aasmaan mehr-e-falak ru-e-zamin arsh-e-barin peshtar is se khudaa jaane huaa kyaa kyaa kuchh baab-e-firduas o dar-e-rauza-e-rizvaan zaahid band in aankhon ke hote hi khulaa kyaa kyaa kuchh nazaa ke vaqt main puchhungaa kisi munim se saath kyaa apne liyaa aur rahaa kyaa kyaa kuchh vaqt-e-dil jaane ke hargiz na khabar-daar kiyaa ab samjhaati hai ye fikr-e-rasaa kyaa kyaa kuchh shiddat-e-ranj-o-alam sadma-e-dil soz-e-jigar furqat-e-yaar mein mujh par na huaa kyaa kyaa kuchh dair ko puujaa haram ko kiye gaahe sajde kar liyaa ziist mein bejaa-o-bajaa kyaa kyaa kuchh jo talaafi na ho mahshar mein ajab hai us kaa khud hain maaqul ki yaan ham ne kiyaa kyaa kyaa kuchh gosh par jaam ke munh raat ko rakh kar apnaa kis ko maalum hai shishe ne kahaa kyaa kyaa kuchh daagh-e-dil khun-e-jigar aatish-e-gham dard-e-firaaq ham ko bhi ishq ki daulat se milaa kyaa kyaa kuchh 'muntahi' zor-e-badan quvvat-e-dil chaalaaki ek aane se zaifi ke gayaa kyaa kyaa kuchh"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"duniyaa mein yahi chor banaataa hai asas ko allaah kare qata kahin dast-e-havas ko dil detaa huun main qaamat-e-dil-daar ko apnaa laTkaataa huun main nakhl-e-mohabbat mein qafas ko jaisaa ki ye dil daam-e-mohabbat mein phansaa hai kam dekhtaa huun murgh-e-giraftaar-e-qafas ko nikle hain khat-o-khaal lab-e-yaar ke nazdik allaah ne diyaa shahd-o-shakar mor-o-magas ko dauDaati hai ye ruuh miri jism ko har-su asvaar uDaataa hai zamaane mein faras ko zakhm-e-dil-e-shaidaa huaa achchhaa na masihaa khayyaat-e-azal sil na sakaa chaak-e-qafas ko rahte the ham-aaghosh javaani mein buton se is piiri ke aate hi tarasne lage mas ko kab pech se is rishtha-e-ulfat ke chhutungaa toDungaa na jab tak ki main is taar-e-nafas ko bimaari-e-ulfat se jo main bach gayaa naaseh Tal jaaungaa ab ki kahin do-chaar baras ko daaman kaa nishaan hai na garebaan kaa pataa hai ai dast-e-junun maantaa huun main tire bas ko sayyaad jo dekhe mujhe ulfat ki nazar se gulzaar se behtar kahin samjhun main qafas ko ai dil kabhi kahne kaa nahin raaz-e-mohabbat is dasht mein dauDaa na tabiat ke faras ko dil detaa hai us tifl-e-pari-zaad ko naadaan kyuun 'muntahi' shoale se bhiDaataa hai tu khas ko"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"jaan di un pe mar-miTe siske hain hasin log aashnaa kis ke un ko sikhlaai ham ne aaraaish ruuh phunki hai shakhsh-e-be-his ke naale pahunche gharib ke taa-arsh bach gae danke mard-e-muflis ke rakh ke khanjar gale pe kahtaa hai maar Daalaa agar zaraa khiske bazm mein jaa mili rafiqon ko kaanTe boe hain baagh mein bis ke kyaa bataaein ki kis ke aashiq hain vo nazar aae to kahein is ke naala kar kar ke dil huaa khaamosh rah gayaa hai pa phoDaa ris ris ke koi kaabe gayaa haram ko koi bande dargaah apne ghar ghis ke gesu-e-yaar agar hai daam-e-balaa khaal-e-mushkin bhi kaanTein hain bis ke chhoDaa piiri mein ruuh ne tan-e-zaar jaama utraa badan se ghis pis ke dida-e-surma-saa ki ulfat mein 'muntahi' khaak ho gae pis ke"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"mansur piite hi mai-e-ulfat bahak gayaa jaam-e-mai-e-alast bharaa thaa chhalak gayaa piiri hui shabaab se utraa jhaTak gayaa shaair huun meraa misr-e-saani laTak gayaa mujh rind-paak kaa kabhi chullu na bhar diyaa saaqi tire karam se har ik yaar chhak gayaa main loT ho gayaa huun khat-e-sabz-rang par khaar-e-chaman se daaman-e-dil pe aTak gayaa piiri mein dil diyaa but-e-be-raham yaar ko manzil qarib thi ki musaafir bahak gayaa bhaDkaayaa dil ko tazkira-e-husn-e-yaar ne ek Dher aag kaa thaa havaa se dahak gayaa parda sharaab-e-ishq kaa mansur se khulaa naddaaf thaa ki pamba-e-minaa dhanak gayaa bulbul hai chup nasim-e-sahar bhi khamosh hai shaayad chaman mein barg-e-kharaabi khaDak gayaa jaam-e-bilur mai kaa bharaa yaar ne diyaa shab ko hamaaraa akhtar-e-taalea chamak gayaa tu vo hasin huaa ki hue tujh pe sab fidaa aisaa hi gul khilaa ki zamaanaa mahak gayaa rutba tire karam se huaa khaaksaar kaa khurshid ki tarah se ye zarra chamak gayaa saude se jo bharaa vo huaa sar vabaal-e-dosh baar-e-shajar huaa vo samar jo ki pak gayaa lagtaa bahaar-e-gul mein garebaan kaa kyaa pataa daaman ke phaaDne mein kaho haath thak gayaa"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"subh-dam uTh kar tiraa pahlu se jaanaa yaad hai loTnaa dil kaa jigar kaa phaDphaDaanaa yaad hai yaar thaa pahlu mein shishe ki pari thi saamne kyuun dil-e-naalaan tujhe vo bhi zamaana yaad hai sun ke ahvaal-e-mohabbat ko miraa bolaa vo shokh jaan dene kaa tujhe achchhaa bahaana yaad hai loT thaa dil qaamat-e-dildaar par muddat hui nakhl-e-tubaa par thaa apnaa aashiyaana yaad hai kaun dekhe khanda-e-gul ki taraf ai andalib ek muddat se kisi kaa muskuraanaa yaad hai kyaa dikhaataa hai falak abr-e-siyah mein ru-e-maah ham ko baalon mein kisi kaa munh chhupaanaa yaad hai ho muqaabil naala-e-dard-e-dil-e-ushshaaq ke baaghbaan bulbul ko aisaa bhi taraanaa yaad hai hijr ki shab niind aae aashiq-e-bimaar ko 'muntahi' tujh ko koi aisaa fasaana yaad hai"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"hamesha sair-e-gul-o-laala-zaar baaqi hai agar baghal mein dil-e-daagh-daar baaqi hai tufail-e-ruh miraa jism-e-zaar baaqi hai havaa ke dam se ye musht-e-ghubaar baaqi hai baghair ruh-e-ravaan jism-e-zaar baaqi hai nikal gai hai savaari ghubaar baaqi hai bahaar mein tujhe naale sunaaungaa bulbul agar ye zindagi-e-musta'aar baaqi hai kahungaa yaar se ik roz haath phailaa ke mujhe bhi hasrat-e-bos-o-kanaar baaqi hai jahaan ko chashm-e-haqiqat se dekh o ghaafil khuli hai aankh abhi ikhtiyaar baaqi hai umiid hai hamein fardaa ho yaa pas-fardaa zarur hoegi sohbat vo yaar baaqi hai"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"bazm-e-'aalam mein bahut se ham ne maare haath-paaon teri surat ke na dekhe pyaare pyaare haath-paaon bahr-e-ulfat mein bahut se ham ne maare haath-paaon lag rahe maanind-e-khas aakhir kinaare haath-paaon 'aashiq mu-e-kamar ki le khabar o be-khabar suukh kar tinkaa hue hain us ke saare haath-paaon meri khidmat se nihaayat khush huaa vo bad-mizaaj vasl ki shab kaam aae apne baare haath-paaon bahr-e-hasti mein milaa ham ko dur-e-maqsad na haif mauj ke maanind kyaa kyaa ham ne maare haath-paaon vaqt-e-zabh bolaa ye qaatil aashiq-e-naad-shaad se TukDe kar Daalaa kabhi tu ne jo maare haath-paaon khel rahtaa hai tavakkul par miri auqaat kaa chalte-phirte hain hamaare be-sahaare haath-paaon tikhi tikhi un ki chitvan baanki baanki un ki chaal bholi bholi un ki surat pyaare pyaare haath-paaon"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"husn ki dil mein mire jalva-gari rahti hai band is shisha-e-naazuk mein pari rahti hai dil vahaan khultaa hai jis jaa ki rahe jaam-e-sharaab daana vaan ugtaa hai jis jaa ki tari rahti hai tifli-o-ahd-e-javaani kaa na puchho ahvaal be-khudi aage thi ab be-khabari rahti hai baagh-e-'aalam mein nahin dast-e-karam ko hai zavaal shaakh ye vo hai jo taa-hashr hari rahti hai yaad mein jaam-o-suraahi ke tire ai saaqi dil bharaa rahtaa hai aankhon mein tari rahti hai mai-o-maashuq se daulat se bahaar-e-gul mein chakkhiyaan rahti hain yaaron ki chari rahti hai har ghaDi rahtaa hai khayaal-e-rukh-e-mahbub kaa dhyaan aaj-kal saamne kotah-nazari rahti hai bhiiD si bhiiD lagi rahti hai kuche mein tire jins ulfat ki magar vahaan pe khari rahti hai naqd-e-dil lete ho har ek kaa be-bos-o-kanaar aap ke dhyaan mein kyaa muft-bari rahti hai haath pakDaa hai miraa dast-e-junun ne jab se har ghaDi madd-e-nazar jaama-dari rahti hai baal khole nahin phirtaa hai agar vo saffaak phir kaho kyuun mujhe aashufta-sari rahti hai rind vaan baste hain jis jaa ho khum-o-khum-khaana sher vaan rahte hain jis jaa ki tari rahti hai"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"sar-sar gesu hilaa rahi hai sar par kaale khilaa rahi hai furqat mein khuun rulaa rahi hai taqdir ye rang laa rahi hai daaghon se dil jalaa rahi hai ulfat sikke biThaa rahi hai daaman mein hai tere bu-e-kaakul kyuun mujh ko sabaa uDaa rahi hai haal-e-tap-e-hijr kuchh na puchho dil khaa chuki jaan khaa rahi hai jheli hui hai jafaa tabiat barson hi mubtalaa rahi hai kisraa mahal na taaq-e-jam hai ai dil kis ki sadaa rahi hai martaa hai dil buton ke uupar taqdir pahaaD Dhaa rahi hai tifli-o-javaani khuub guzri do din achchhi havaa rahi hai uDti hai khaak us jagah par barson jis jaa fazaa rahi hai ye bint-e-inab bahaar-e-gul mein yaaron ki bhi aashnaa rahi hai laati nahin bu-e-yaar nighat us dil ki lagi bujhaa rahi hai ham bhi the kabhi javaan raaanaa apni bhi kabhi havaa rahi hai khultaa nahin haal gul kaa bulbul shabnam paani chuaa rahi hai ye fasl-e-bahaar be-khudi kaa rasta ham ko bataa rahi hai gulshan mein urus-e-gul ke uupar shabnam moti luTaa rahi hai phule nahin gul chaman ke andar vahshat aankhein dikhaa rahi hai fiqre se le aae us sanam ko kyuun 'muntahi' baat kyaa rahi hai"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"aap aae the yaan jafaa ke liye jaaiye bhi kahin khudaa ke liye dil diyaa thaa tumhein jafaa ke liye hosh mein aaiye khudaa ke liye tere baazaar-e-dahr mein gardun ham bhi aae hain ik qabaa ke liye paanv hain kucha-e-tavakkal mein haath uThte nahin du'aa ke liye aa kabhi to mire qafas ki taraf ai nasim-e-chaman khudaa ke liye hai tah-e-khaak farsh-e-khaak lagaa shaah ke vaaste gadaa ke liye dam phaDaktaa hai tauf-e-kaaba par dil taDaptaa hai karbalaa ke liye sar uThaae hain khaar-e-dasht-o-junun 'muntahi' se barahna-paa ke liye"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"miThi hai aisi baat us ki launDi hai ik nabaat us ki samjhaa na main ek baat us ki mujh par kyaa kaaenaat us ki aalam hai be-sabaat ai dil ik zaat ko hai sabaat us ki mah us kaa hai aaftaab us kaa din us kaa hai aur raat us ki kis munh se karun main vasf us kaa hai aql se duur zaat us ki mimber pe jo bak rahaa hai vaaiz kab suntaa huun khair baat us ki hai daulat-e-husn paas tere detaa nahin kyuun zakaat us ki hai jo ki shahid tegh-e-taslim hai misl-e-khizar hayaat us ki dam de ke na naqd-e-dil ko le-le chal jaae kahin na ghaat us ki jo dil ki hai gharq bahr-e-duniyaa kyunkar hogi najaat us ki dil jaataa hai su-e-ku-e-qaatil khaaliq rakhe hayaat us ki dam de ke le aayaa yaar ko dil kyaa rah gai aaj baat us ki tanhaa nahin 'muntahi' kisi jaa taqdir hai us ke saath us ki"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"karte hain chain baiThe husn-o-jamaal vaale phirte hain maare maare kyaa kyaa kamaal vaale meri tarah se ek din baazaar se jahaan ke jaaveinge haath khaali jitne hain taal vaale dam de ke phaanstaa hai ushshaaq ke dinon ko main jaantaa huun tujh ko zulfon ke jaal vaale mahshar kaa maarka ho jis dam jahaan ke andar us din hamein bachaanaa o lambi Dhaal vaale bulbul hain tere ham bhi baagh-e-jahaan ke andar o gul se gaal vaale sumbul se baal vaale tanhaa lahad ke andar honge gadaa ki surat jitne hain is jahaan mein jaah-o-jalaal vaale zulf-e-shab-e-judaai teri buri balaa hai is kaa khayaal rakhnaa o lambe baal vaale aashiq hain ham bhi tere abru ke aur rukh ke ham ko bhi yaad rakhnaa badr-o-hilaal vaale bhule hain do-jahaan ko sud-bud nahin kisi ki jo jo hain is jahaan mein tere khayaal vaale sayyaad ne bichhaayaa gulshan mein daam-o-daana sun gul-ezaar vaale o khatt-o-khaal vaale meri tarah se ik din baazaar se jahaan ke jaaeinge haath khaali jitne hain maal vaale mansur-o-qais-o-vaamiq farhaad-o-'muntahi' se kyaa kyaa gae jahaan se fazl-o-kamaal vaale"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"rah gae ashkon mein lakht-e-jigar aate aate ruk gae bahr se laal-o-gohar aate aate tham gae qatra-e-khun-e-jigar aate aate ruk gae mujmar-e-dil se sharar aate aate hote hote na huaa misra-e-rangin mauzun band kyuun ho gayaa khun-e-jigar aate aate tham gae ashk mire aankh se Dhalte Dhalte rah gae chashm-e-sadaf se guhar aate aate rah gayaa kahne pe ghammaazon ke sun sun ke miri phir gayaa yaar miraa raah par aate aate de diyaa naqd-e-dil us but ko baghair az jaane ho gayaa raah mein kaisaa zarar aate aate dekhte dekhte dekheinge mire jauhar-e-taba aaeinge aaeinge ahl-e-nazar aate aate kyaa bharaa zang-e-kudurat se ye aaina-dil jo nazar aae na vo phir nazar aate aate gardish-e-chashm ne kis ko tah-o-baalaa na kiyaa ho gae zer-o-zabar raah par aate aate ashk-e-khuni nahin aate hain jo aankhon se tiri kyuun ruki 'muntahi' dil ki khabar aate aate"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"nafs-e-sag-e-palid ko gar apne maariye maanind-e-sher dasht-e-jahaan mein Dakaariye us gul ko josh-e-gul mein ye kah kar ubhaariye gulshan mein andalib ko chal kar pukaariye phir murgh-e-dil ko phaansiye phir jaal maariye phir ho sake to aap se gesu sanvaariye piiri mein kaif-e-ishq se tauba to kijiye manzil rahi hai thoDi si himmat na haariye girdaab-e-bahr-e-ishq ke chakkar hain raat din kaun aashnaa-e-haal hai kis ko pukaariye dil de ke jaur-o-zulm kaa shikva na kijiye do din ki zindagi kisi Dhab se guzaariye ahl-e-havas ki dahr mein miTTi kharaab hai galiyon mein khaak chhaan rahi hain niyaariye maanind-e-zulf ghair ko kyuun sar chaDhaaiye aankhon se shakl-e-ashk ke is ko utaariye paidaa karein asar jo dur-e-ashk naaseho un motiyon pe hans ko sau baar vaariye juz mere daal aap ki galti nahin kahin yuun munh se jitni chaahiye shekhi baghaariye naala jo zer-e-tegh kiyaa main ne jis ghaDi bole ki ek dam ke liye dam na maariye tauba sharaab-e-ishq se kis tarah kijiye kyunkar ye jin chaDhaa huaa sar se utaariye kyaa kyaa na dost apne miyaan-e-adam gae kis ko talaash kijiye kis ko pukaariye us but ke bahr-e-husn mein dil ko Duboiye is kashti-e-hayaat ko yuun paar utaariye manzur ho jo raahat-e-kaunain 'muntahi' haathon ko khich lijiye paanv pasaariye"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"ye jis ne jaan di hai naan degaa diyaa hai jis ne sar saamaan degaa mizha se us kamaan-abru ki bachnaa vo naavak hai kaleja chhaan degaa mashaqqat se vo de yaa be-mashaqqat ba-har-surat ba-har-unvaan degaa vo bosa de ke dil le kar ye bole evaz ehsaan kaa kyaa insaan degaa milegaa qadr-daan-e-ishq ham ko khudaa maa'shuq baaimaan degaa suneinge tab butaan-e-hind apni ijaazat jab unhein shaitaan degaa fasaana kohkan kaa sun ke bole jo 'aashiq hogaa vo hi jaan degaa na thi ummid tujh se qaasim bakht dil-e-pur-dard o pur-armaan degaa rah-e-ulfat kaa huun kaar-aazmuda kisi ko dil koi anjaan degaa chalegaa tiir jab apni du'aa kaa kaleje dushmanon ke chhaan degaa muqaddar se ziyaada ek luqma gadaa kyaa legaa kyaa sultaan degaa lipaT jaaungaa un se roz-e-vaslat agar mujh ko khudaa ausaan degaa na phailaa 'muntahi' dast-e-havas ko vagarna ye tujhe nuqsaan degaa"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"mubtalaa ye dil huaa jab yaar nangaa ho gayaa sham' be-parda hui qurbaan patangaa ho gayaa gir paDe 'ushshaaq us ki tegh-e-khun-aashaam par kal shahaadat ke talab-gaaron kaa dangaa ho gayaa dafn kar ke faatiha paDh ke miraa bolaa vo shokh aaj bimaar-e-mohabbat meraa changaa ho gayaa bazm mein jal kar kiyaa shab raaz-e-ulfat aashkaar sham' ke maanind parvaana bhi nangaa ho gayaa gir ke us ke kucha-e-taarik mein niklaa na dil pech-e-zulf-e-yaar kaa mujh ko aDangaa ho gayaa vasf dair-o-kaa'ba kaa ham ne judaagaana kiyaa ek hi mazmun thaa fiqra do-rangaa ho gayaa baDhte baDhte apnaa tul-e-zindagaani kam huaa ghaTte ghaTte jaama-e-hasti uTangaa ho gayaa khushnumaa hai us rukh-e-raushan pe kyaa khaal-e-siyaah zeb gulzaar-e-iram kaa laa-bhujangaa ho gayaa shaah-e-haft-aqlim se ai dil gadaa-e-dahr tak Dhang se aayaa vahaan se yaan kaDhangaa ho gayaa jis qadar vo mujh se bigDaa main bhi bigDaa us qadar vo huaa jaame se baahar mein bhi nangaa ho gayaa yuun kaheinge yaar iqlim-e-sukhan mein in dinon 'muntahi' bhi ek hi kaTTaa-dabangaa ho gayaa"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"qaatil-e-aalam se kyaa yaaraana hai dil charaagh-e-gor kaa parvaana hai har makaan mein jalva-e-jaanaana hai aashiqon kaa har jagah afsaana hai chhin legaa bahr-e-zulf-e-ambarin ye dil-e-sad-chaak rashk-e-shaana hai log kahte hain jise pir-e-mughaan yaar kaa kyaa jalva-e-mastaana hai halqa-e-aadaa mein hai vo sim-bar ganj hai jis jaa vahaan viraana hai jis jagah chalte the kal jaam-e-sharaab aaj vaan ulTaa huaa paimaana hai baiat-e-dast-e-subu se ye khulaa sab se behtar mashrab-e-rindaana hai kyuun na phaanse daulat-e-duniyaa hamein hai vahaan par daam jis jaa daana hai mard-e-aakhir-bin ke aage munimon kasrat-e-hasti bhi ik viraana hai kaam kyaa hai us ko mulk-o-maal se paas jis ke himmat-e-mardaana hai hijr mein ashk-e-musalsal zaahidaa aashiqon kaa subha-e-sad-daana hai 'muntahi' zer-e-qadam us yaar ke sar kaTaanaa sajda-e-shukraana hai"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"kali jo gul ki chaTak rahi hai tabi'at apni khaTak rahi hai jahaan mein vahshat bhaTak rahi hai hazaar sar ko paTak rahi hai chaman mein hai jo ki shaakh-e-sumbul 'urus-e-gul ki vo yaa hai kaakul tujhe khabar hai kuchh us ki bulbul jo us ke munh par laTak rahi hai vahaan mujhe shauq-e-dil tu le jaa jahaan na saaghar na hue miinaa ba-rang-e-saaqi har ek baiThaa sharaab-e-khaalis Tapak rahi hai chaman mein bulbul yahi pukaari lo mai-kashon ki phir aai baari zabaan pe shishe ke hai ye jaari sharaab lo yaan Dhalak rahi hai kahin pe majma' hai mai-kashon kaa kahin akhaaDaa hai un buton kaa kahin barasnaa hai baadalon kaa kahin pe bijli chamak rahi hai mizha ki ulfat mein zaar ban kar rahaa huun mu-e-nigaar ban kar ye saans siine mein khaar ban kar jigar ke andar khaTak rahi hai nahin bagulaa miyaan-e-haamun jo mujh se puchho to saaf kah duun talaash-e-laila mein ruh-e-majnun har ek jaanib bhaTak rahi hai ghurur-e-husn ai nigaar kab tak chaman ke uupar bahaar kab tak rahoge zeb-e-kanaar kab tak khizaan har ik gul ko tak rahi hai jahaan na bhaTTi na mai-kada hai 'ajab tarah kaa magar samaan hai khum-e-falak mein ye kyaa bharaa hai sharaab-e-saafi Tapak rahi hai kahun main fiqara vo hai hansi kaa charaagh-e-mahfil kaa hai falitaa chhuTaa jo shamla hai shaikh ji kaa ye un ki shekhi laTak rahi hai bahaar laayaa hai saaghar-e-gul bhare hain goyaa piyaala-e-mul nahin hai mahfil mein shor-e-qulqul chaman mein bulbul chahak rahi hai laDaai kis ne hai aankh uupar nigaah us ki hai misl-e-khanjar main dekhtaa huun ki chashm-e-akhtar falak ke uupar jhapak rahi hai hamaare dil mein nahin hai kiina ki jaise be-jurm ho nagina ye bahr-e-hasti kaa hai safina isi pe duniyaa phaDak rahi hai bahaar hai daur-e-mai-kashi ki gulon ki rangat abhi hai phiki 'ajib haalat hai 'muntahi' ki abhi se chhaati dhaDak rahi hai"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Quote
"javaani ki haalat guzar jaaegi chaDhi hai jo sar par utar jaaegi jidhar ko miri chashm-e-tar jaaegi udhar kaam dariyaa kaa kar jaaegi zamaane ki iizaa kaa shikva na kar guzarte guzarte guzar jaaegi khulegaa tujhe ishq-baazi kaa haal ye hirs-e-havaa jabki mar jaaegi mire jism-e-khaaki se ho ke judaa ye ruh-e-ravaan phir kidhar jaaegi mire naghmon se andalib-e-chaman kahaan uD ke tu musht-e-par jaaegi tavajjoh tiri o but-e-bevafaa miraa kaam aakhir ko kar jaaegi bahaar-e-chaman jabki hogi khizaan miri vahshat-e-dil kidhar jaaegi agar jazba-e-dil pe qaabu rahaa shab-e-vasl ki phir Thahar jaaegi khinchi hai jo tegh-e-mohabbat dilaa yahi ek din tere sar jaaegi chaDhi hogi kachche ghaDe ki jise utarte utarte utar jaaegi qimaar-e-mohabbat mein gar aah ki ye jiiti hui baazi har jaaegi miri marg aisi hai ai 'muntahi' ki jis ki adam tak khabar jaaegi"
M
Mirza Maseeta Beg Muntahi