SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"puchhtaa hai ai but-e-be-pir kyaa kyaa kahun hai ranj daaman-gir kyaa kyon khafaa ho meri qismat ki tarah kuchh kaho to hai miri taqsir kyaa le rahaa hai mahfil-e-dildaar mein shama ke bose lab-e-gul-gir kyaa ishq mein ik ghuncha-lab ki kyaa kahun chup huun shakl-e-bulbul-e-tasvir kyaa tir-e-aah-e-shoala-zaa ke saamne ai sanam buniyaad-e-charkh-e-pir kyaa be-takalluf har dahaan-e-zakhm ke bose leti hai zabaan-e-tir kyaa haif baDh baDh kar nigaah-e-yaar mein ghaT gae ham surat-e-tauqir kyaa jald uThaa laa khanjar-e-khun-khvaar ko qatl mein qaatil hai ab taakhir kyaa ek yaar-e-naujavaan ke ishq mein dekhiye dikhlaae charkh-e-pir kyaa mere ji uThne ki ai isaa-nafas zehn mein hai aap ke tadbir kyaa azm-e-qatl-e-aashiq-e-jaanbaaz se faaeda hai ai but-e-be-pir kyaa khaana-e-zindaan mein mere ashk ki qadr jaane dida-e-zanjir kyaa ai 'shagufta' us but-e-tarraar se pesh jaaegi miri taqdir kyaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"paanv phailaati hain vo taa-sar-e-daamaan kyaa kyaa naaz karte hain mire chaak-e-garebaan kyaa kyaa yaad-e-dandaan mein tumhaare jo hayaa se royaa ashk ne munh ko chhupaayaa tah-e-daamaan kyaa kyaa daaman-e-dasht mein sau baar vatan se mujh ko khinch laai kashish-e-khaar-e-bayaabaan kyaa kyaa ghuncha-e-dil se tah-e-khanjar-e-burraan qaatil bu-e-gul ban ke nikal jaaeinge armaan kyaa kyaa lutf uThne nahin detaa hai ham-aaghoshi kaa ho shab-e-vasl mein khauf-e-shab-e-hijraan kyaa kyaa shaadi-e-qatl se thaa shauq-e-tabassum mujh ko surat-e-zakhm tah-e-khanjar-e-burraan kyaa kyaa na khulaa uqda-e-gesu-e-sanam vaae nasib dast-e-tadbir thake ho ke pashemaan kyaa kyaa naaz se khanjar-e-qaatil ki tarah maqtal mein meri gardan se lipaTtaa hai garebaan kyaa kyaa roz ghaT jaataa hai kuchh himmat-e-mumsik ki tarah tang kartaa hai mujhe gosha-e-zindaan kyaa kyaa koi dariyaa inhein kahtaa hai koi baarish-e-abr dhoke dete hain mire dida-e-giryaan kyaa kyaa roza-daaraan-e-mohabbat se hayaa karti hai shaam-e-gesu sifat-e-subh-e-gharibaan kyaa kyaa sun ke kuchh meri pareshaani-e-taqdir kaa haal ban ke bigDi hai tiri zulf-e-pareshaan kyaa kyaa lab milaa kar lab-e-khanjar se tire o qaatil muskuraate hain shigaaf-e-dil-e-naalaan kyaa kyaa puchhte kyaa ho 'shagufta' chaman-e-aalam mein kyaa kahun main ki hai be-rahmi-e-khubaan kyaa kyaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"gar ta'alli par hai vahm-e-imtihaan-e-mai-farosh be-nishaan ho kar nikaaleinge nishaan-e-mai-farosh sajde karte hain khum-e-mai ko vufur-e-nashshaa mein surat minaa-e-mai maddaah shaan-e-mai-farosh jaam-o-minaa-o-suraahi-o-subu se be-gumaan saaqi-e-mushfiq pe hotaa hai gumaan-e-mai-farosh bhaTTiyon par jaa ke puchheinge bahaar aane to do 'aalam-e-masti mein maston se bayaan-e-mai-farosh shisha-o-jaam-o-suraahi-o-subu kyaa maal hain bakhsh deinge josh-e-masti mein dukaan-e-mai-farosh mai-kade mein dukht-e-raz ko laa biThaaeinge zarur pahlu-e-minaa-e-dil mein mehmaan-e-mai-farosh jaam aankhein hain to baada ashk hai shisha hai dil dekh o mai-nosh main bhi huun labaan-e-mai-e-farosh kis qadar chamkaa huaa hai baada-e-gulgun kaa daur ek 'aalam aaj-kal hai mehmaan-e-mai-farosh main bhi huun ik saaqi-e-mai-nosh tere daur mein kafsh-bardaar-e-sharik-e-khaadimaan-e-mai-farosh khum ke khum kar duun tahi dam-bhar mein vo mai-nosh huun ai 'shagufta' haath aae gar dukaan-e-mai-farosh"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"shikasta chhoD kar ye dil hamaaraa kidhar jaataa rahaa qaatil hamaaraa nahin hai aap se inkaar ham ko pasand aae to le lo dil hamaaraa jo ji chaahe karo haazir hain sab mein tumhaare haath mein hai dil hamaaraa nai haT hai vo kahte hain bigaD kar tiri aaghosh mein hai dil hamaaraa zaraa dekho to aakar ro rahaa hai hamaari bekasi par dil hamaaraa na siina mein na pahlu mein na bar mein ilaahi kis taraf hai dil hamaaraa kisi pahlu nahin aaraam detaa balaa-e-jaan huaa hai dil hamaaraa vo kyunkar vasl mein raahat na dete musibat aashnaa thaa dil hamaaraa zaraa dekho bhi dikhlaa do rukh apnaa tarastaa diid ko hai dil hamaaraa nahin ummid aasaani ki tum ko huaa mushkil dam-e-mushkil hamaaraa tumhaare lutf se hotaa hai aasaan nahin uqda hai kuchh mushkil hamaaraa kisi gul-pairahan ki aarzu se shagufta hai 'shagufta' dil hamaaraa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"haTaa kar daaman-e-gesu dikhaa do husn surat kaa ki aaghosh-e-musibat mein mujhe armaan hai raahat kaa mire naalon se chhoDaa taur zaalim ne adaavat kaa duaaon ko milaa malbus daamaan-e-ijaabat kaa zaraa to dil ko dil se rabt hone de mohabbat kaa miri haajat se bar aaegaa matlab teri haajat kaa na nikli munh chhupaa kar ye gulu-e-khushk se gham mein miri fariyaad ne sikhaa asar dar-parda ismat kaa tumhaaraa dast-e-naazuk aa gayaa jab tauq-e-gardan par garebaan-e-musibat mein huaa paivand raahat kaa qad-e-mauzun pe zulfon ne havaa se ki jo chaalaaki nazar aaya tasalsul saaf aashob-e-qayaamat kaa huaa huun muntahi taalim paa kar ishq-e-kaamil se paDhaao naaseh-e-mushfiq na dibaacha nasihat kaa bahut tadbir ki lekin na niklaa ye mire dil se ilaahi hausla matlab hai kyaa us ki tabiat kaa tamannaa-e-safaai kaa na kyunkar khuun ho ai zaalim jigar par zakhm kaari paD gayaa tegh-e-kudurat kaa zaraa do haath mein haath ai pari-paikar khushi ho kar sar-e-dast aap ki raahat se hove vasl raahat kaa gulistaan-e-jahaan mein miT ke tujh par ai gul-e-khubi tamanna se shagufa ban gayaa huun shaakh-e-ulfat kaa hansi mujh ko na aaegi tumhaare gudgudaane se musibat aashnaa ke paas hai kyaa kaam raahat kaa karun tadbir kyaa ai ham-nafas kuchh ban nahin paDti miri jaanib se dil TuuTaa huaa hai meri qismat kaa giraa jo ashk chashm-e-kilk se daamaan-e-kaaghaz par nazar aaya mujhe qatra mire aab-e-nadaamat kaa jo likhtaa huun kabhi mazmun-e-raahat yaar-e-bad-zan ko dikhaa kar aankh kyaa kyaa ghurtaa hai ain usrat kaa karo tegh-e-nigah se qatl aa kar jaan-nisaaron mein nikal jaae kahin armaan mire dil se shahaadat kaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"shauq se furqat-e-saaqi mein main saaghar ke evaz ashk pi jaataa huun main baada-e-ahmar ke evaz zulf ko chuum ke laam-e-lab-e-dilbar ke evaz zahr khaa lete hain ham qand-e-mukarrar ke evaz kho ke dil bosa-e-laam-e-lab-e-dilbar ke evaz mim-e-mahrum hue mim-e-muqaddar ke evaz dekh o qaatil-e-be-rahm garebaan meraa bose letaa hai gulu ke lab-e-khanjar ke evaz shauq-e-aaraaish-e-rukh ho to pahan lo ai jaan ashk daaman se uThaa kar mire gauhar ke evaz aabru paai bun-e-gosh-e-sanam se mil kar daana-e-ashk ne kyaa daana-e-gauhar ke evaz baar-e-ehsaan ne tire yaar jhukaayaa aisaa paanv par aa gai dastaar miri sar ke evaz be-takalluf tiri shamshir mujhe ai qaatil zevar-e-zakhm pinhaa deti hai zevar ke evaz khaaksaaraan-e-mohabbat ko tire kuche mein haath aai hai zamin gor ke bistar ke evaz dekhtaa kyaa hai mire qatl ke baad ai qaatil qatra-e-khun hain tiri tegh mein jauhar ke evaz parvarish baad-e-fanaa jism ki karne ke liye daaman-e-gor milaa daaman-e-maadar ke evaz jalve dikhlaane lagi safha-e-tan par kyaa kyaa fart-e-kaahish se har ik rag rag-e-mistar ke evaz baada-e-rashk se labrez huaa ai saaqi halqa-e-chashm miraa halqa-e-saaghar ke evaz aatish-e-rashk ne jis vaqt kiyaa sard mujhe tan miraa garm rahaa sina-e-mijmar ke evaz jaa pahunchtaa hai khayaal-e-dil-e-naadaan us tak jazb-e-kaamil se shab-e-gham mein paighambar ke evaz chashm-e-zaahir se to kyaa dida-e-baatin se kabhi ru-e-mahtaab na dekhun rukh-e-dilbar ke evaz aatish-e-rashk se hai parvarish-e-dil har dam aap ke ishq mein ai yaar samundar ke evaz kyaa laDaaun tiri aankhon se main ai jaan aankhein chaadar-e-ashk mire munh pe hai chaadar ke evaz dur-e-dandaan ke tasavvur mein luTaa kar dur-e-ashk mim-e-muflis hue ham taa-e-tavangar ke evaz hukm detaa hai 'shagufta' mujhe mai-noshi kaa halqa-e-chashm miraa hijr mein 'saaghar' ke evaz"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"kyaa is ki shikaayat hai ki main kuchh nahin kahtaa kuchh to mujhe dahshat hai ki main kuchh nahin kahtaa naahaq ki ye hujjat hai ki main kuchh nahin kahtaa meri to ye aadat hai ki mein kuchh nahin kahtaa tum gaaliyaan dete ho har ik baat mein dekho meri ye sharaafat hai ki main kuchh nahin kahtaa vo kahte hain mujh se ki khataa par tire haq mein itnaa hi ghanimat hai ki main kuchh nahin kahtaa chaahun to abhi ghair ko pahlu se uThaa duun par aap ki dahshat hai ki main kuchh nahin kahtaa dekh ai but-e-kam-go tiri sohbat ke asar se meri bhi ye khaslat hai ki main kuchh nahin kahtaa but ban gayaa huun ik but-e-be-raham ke Dar se varna miri shaamat hai ki main kuchh nahin kahtaa ahbaab ko saktaa hai miri kam-sukhani par mujh ko bhi ye hairat hai ki main kuchh nahin kahtaa ai jaan na puchho miri chup rahne kaa kuchh haal aisi hi aziyyat hai ki main kuchh nahin kahtaa kahtaa jo main kuchh haal to hotaa unhein kuchh rahm ye bhi miri qismat hai ki main kuchh nahin kahtaa kyaa tum se kahun us but-e-tarraar ke aage meri to ye surat hai ki main kuchh nahin kahtaa khaamosh huun mujrim ki tarah aap ke aage goyaa mujhe khiffat hai ki main kuchh nahin kahtaa jo dil pe guzar jaae guzar jaae 'shagufta' par meri ye aadat hai ki main kuchh nahin kahtaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"us but ko dil dikhaa ke kaleja dikhaa diyaa asbaab apni zaat kaa saaraa dikhaa diyaa ham ne tumhaari baat pe dikhlaa ke aaina maashuq khub-ru tumhein tum saa dikhaa diyaa mushtaaq-e-dil huaa jo vo mai-nosh bazm mein main ne uThaa ke haath mein shisha dikhaa diyaa ham ne bhi un ko un ki tarah chheD-chhaaD mein ronaa dikhaa diyaa kabhi hansnaa dikhaa diyaa o bahr-e-husn girya-e-behad ke lutf se sau baar mujh ko ashk kaa dariyaa dikhaa diyaa ham ne 'shagufta' us but-e-kaafir ko pyaar mein apnaa samajh ke maal paraayaa dikhaa diyaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"paidaa kiyaa hai qalb ne simaab kaa khavaas haasil na kyon ho maahi-e-be-aab kaa khavaas royaa jo shab ko gauhar-e-dandaan ki yaad mein thaa ashk-e-chashm mein dur-e-naayaab kaa khavaas laaegaa ek roz tumhein bar mein khinch kar ai dilrubaa mire dil-e-betaab kaa khavaas ho husn-e-laa-zavaal kaa kuchh aur hi kamaal mahtaab gar bane mire mahtaab kaa khavaas zakhmon ke munh shigaaf hue bu-e-zulf se rakhtaa hai mushk marham-e-tezaab kaa khavaas kyunkar paDhun main aayat-e-sajda jhukaa ke sar abru ke kham mein hai kham-e-mehraab kaa khavaas barham hai us se bosa-e-rukhsaar ki havas rakhti hai zulf maar-e-siyah-taab kaa khavaas o sim-bar khayaal-e-azaab-e-firaaq se haasil dil-o-jigar ko hai simaab kaa khavaas daaman ki tarah chaadar-e-gardun ho tar abhi dikhlaaun gar main dida-e-pur-aab kaa khavaas shukr-e-khudaa ki baazu-e-qaatil mein in dinon paidaa hai zor-e-rustam-o-suhraab kaa khavaas ham rind tujh ko dekh ke kyunkar na mast hon aankhon se hai numud mai-e-naab kaa khavaas aaya jo is mein phir na hui mukhlisi nasib aaghosh-e-qabr rakhti hai girdaab kaa khavaas hangaam-e-qatl gulshan-e-khanjar ke lutf se har zakhm-e-tan mein thaa gul-e-shaadaab kaa khavaas aate hi fasl-e-gul mujhe behosh kar diyaa hai daur-e-gham mein daur-e-mai-e-naab kaa khavaas aankhon ne be-qaraari-e-tifl-e-sarishk se paidaa kiyaa hai maadan-e-simaab kaa khavaas tar kijiye na mujh ko rulaa kar visaal mein hai aastin mein daaman-e-sailaab kaa khavaas din ko jo hai visaal to shab ko mafaariqat hai qalb-e-yaar mein dil-e-surkhaab kaa khavaas ai dil khayaal-e-ru-e-munavvar ke lutf se raushan hai daagh-e-jism se mahtaab kaa khavaas kartaa hai khushk surat-e-daaman firaaq mein har uzv-e-tan ko dida-e-pur-aab kaa khavaas pi leinge ham bhi bazm mein saaqi ke shauq se paidaa kare tu ashk-e-mai-e-naab kaa khavaas ham ne 'shagufta' us lab-e-shirin ko chuus kar haasil kiyaa hai lazzat-e-'unnaab kaa khavaas"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"aankh Daale na falak se mah-e-taabaan munh par rakh lo phulon ke evaz zulf kaa daamaan munh par naaz se aap jo chun lein kahin afshaan munh par saaf raushan nazar aa jaaein charaaghaan munh par aaj gesu nahin lahraate hain ai jaan munh par tum ne biThlaae hain ye afi-e-pechaan munh par piiTh pichhe mire haq mein to hain kaDve kalime miThi baatein na karo ai shah-e-khubaan munh par dast-e-jaanaan ki adaaein jo kare dast-e-junun noch kar pheink de daamaan-o-girebaan munh par saaya-e-zulf nahin yaar rukh-e-raushan par subh raahat ki hai shaam-e-gham-e-hijraan munh par zikr jo aap ke pichhe hai vahi aage hai jhuuT kahte nahin hargiz kabhi insaan munh par ghaaebaana jo koi be-adabi ho mujh se kijiyegaa na bayaan us kaa miri jaan munh par sach na samjho use jo tum ko koi jhuuT kahe khaak paDti nahin mahtaab ke ai jaan munh par sach na samjho use jo tum ko koi jhuuT kahe khaak paDti nahin mahtaab ke ai jaan munh par ganj se maar ki hoti hai hamesha ulfat kyaa huaa aa gai gar zulf-e-pareshaan munh par aabru meri baDhe ghair hon paani-paani aab-e-khanjar jo paDe ai dil-e-naadaan munh par surkh-rui ki tamanna mein hamesha qaatil tegh malti hai tiri khun-e-shahidaan munh par bosa-e-ru-e-munavvar ki havas be-jaa hai maar baiThein na kahin gesu-e-pechaan munh par sahar-e-vasl kaa kuchh kijiye mujh se vaada hai udaasi ki tarah shaam-e-gharibaan munh par surkh-ru gardan-e-bismil ki tarah ho jaaun de koi zakhm agar khanjar-e-burraan munh par kyon na ho jumbish-e-abru mein ajal aashiq ki mah-jabin rakhti hain shamshir ko uryaan munh par chashm paidaa to kare josh-e-asar naisaan kaa ham bhi le leinge kabhi gauhar-e-ghaltaan munh par huun vo bulbul main 'shagufta' chaman-e-aalam mein munh ki khaae jo chaDhe murgh-e-ghazal-khvaan munh par"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"fart-e-kaahish ki inaayaat se pinhaan ho kar yaar ke dil mein rahaa kartaa huun armaan ho kar vasl ki shab mein rag-e-kaakul-e-pechaan ho kar un ki gardan se lipaTtaa huun garebaan ho kar zulf ki yaad shab-e-hijr mein afsos afsos ji Daraati hai miraa afi-e-pechaan ho kar koi kahtaa hai jo achchhi to samajhtaa huun buri josh-e-ulfat se mizaaj-e-but-e-naadaan ho kar saaqiyaa mahfil-e-zindaan mein urus-e-baada bar mein saaghar ke rahaa karti hai jaanaan ho kar bhar diyaa ashk-e-guhar-zaa se hamaaraa daaman shab-e-gham mein sadaf-e-chashm ne naisaan ho kar joshish-e-ishq ye dekho ki dil-e-dilbar mein aaya ghusse ki tarah niklaa main armaan ho kar kaar mansur kaa furqat mein dikhaate hain tujhe daar-e-mizhgaan pe mire ashk numaayaan ho kar parvarish saaya-e-gardan ne kiyaa hai ham ko muddaton tak rahe paivand-e-garebaan ho kar josh par aati hai jis vaqt ki betaabi-e-dil uTh khaDaa hotaa huun taazim-e-bayaabaan ho kar taa-dam-e-zist rahaa yaar-e-pari-ru taskhir harf-e-khaatam hue ham naqsh-e-sulaimaan ho kar khaak hone pe rahaa aashiq-o-maashuq se rabt gor-e-bulbul bani aaghosh-e-gulistaan ho kar dukht-e-raz lailaa ke maanind hayaa karti hai mahmil-e-shisha mein har tarah se pinhaan ho kar mehrbaani sifat-e-ashk kiyaa karte hain ai 'shagufta' vo miri god mein shaadaan ho kar"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"nim-jaan huun zindagi dud-e-charaagh-e-kushta hai meri hasti surat-e-bud-e-charaagh-e-kushta hai go huun muflis par huun apni tira-bakhti se nami mere ghar mein daulat-e-sud-e-charaagh-e-kushta hai ho nahin saktaa siyah-kaari se main raushan-zamir dil miraa ik zarf maa'sud-e-charaagh-e-kushta hai dekh kar parvaanon ke par subh ko saabit huaa ye bahaar-e-gulshan jud-e-charaagh-e-kushta hai ai 'shagufta' mujh ko piiri mein ye misra' yaad hai buud apni vahm-e-naa-bud-e-charaagh-e-kushta hai"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"dikhaa ai naakhun-e-gham lutf-e-baaham aise saamaan par garebaan kaa ho munh daaman pe daaman kaa garebaan par vo soe ho ke be-parda yahaan kis kis tamannaa se magar sadqe havaa ke raat bhar roe darakhshaan par tumhaare dast-e-naazuk ne jo kiin aThkheliyaan us se utar aayaa garebaan muskuraa kar paa-e-daamaan par sikhaayaa chashm ko kyaa aatish-e-gham ne dam-e-girya har ik aansu banaa hai aabla daamaan-e-mizhgaan par jigar mein kis maze se chuTkiyaan letaa hai chhup-chhup kar gumaan-e-shaahid-e-pahlu hai mujh ko dard-e-pinhaan par main vo shaidaa-e-gesu huun ki aksar mausam-e-gul mein miraa paa-e-nazar paDtaa hai zanjir-e-gulistaan par vo bulbul huun ghazal-khvaan ai 'shagufta' baagh-e-aalam mein garaan hotaa nahin meraa sukhan tab-e-sukhan-daan par"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"ho agar madd-e-nazar gulshan mein ai gulfaam raqs surat-e-bismil dikhaae bulbul-e-naakaam raqs khaana-e-maqtal mein hotaa hai gumaan firdaus kaa mor ban kar jab dikhaati hai tiri samsaam raqs vo havaa-khvaah-e-nasim-e-zulf huun main tira-bakht kyuun na marqad par kare dud-e-charaagh-e-shaam raqs aarzu hai iltifaat-e-be-qaraari se mujhe vasl mein us ko dikhaae har rag-e-andaam raqs dam nahin apnaa taDap kar lauTtaa hai hijr mein ruuh ko sikhlaa rahaa hai maut kaa paighaam raqs ai 'shagufta' vo pari-ru mujh se farmaataa hai ye tum ko dikhlaaeinge apnaa aaj zer-e-baam raqs"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"ye ham hain ki jaur-o-sitam dekhte hain sahar uTh ke phir ye qadam dekhte hain tiraa lutf jab yaar kam dekhte hain to dil par hujum-e-alam dekhte hain tire rukh pe jab zulf ham dekhte hain ham-aaghosh shaadi-o-gham dekhte hain tumhaari nigaah-e-lutf-aamez ko ham ghazab hai ki ab besh-o-kam dekhte hain unhin ki tarah be-gharaz ban gae hain jo vo dekhte hain to ham dekhte hain tasavvur mein rukhsaar-o-gesu ke paiham baham kufr-o-islaam ham dekhte hain tumhaaraa su-e-mazraa-e-ghair aksar tarashshoh pe abr-e-karam dekhte hain tire naaz-o-andaaz se ai sitamgar sitam hai sitam par sitam dekhte hain Thahar tu zaraa josh-e-betaabi-e-dil abhi ham mizaaj-e-sanam dekhte hain likheinge mire sina-chaaki kaa mazmun vo hans kar shigaaf-e-qalam dekhte hain nahin dekhti gar hamein tum to dekho tumhein to mohabbat se ham dekhte hain khudaa par hai aaina ai aaina-ru tumhein ek muddat se ham dekhte hain khudaa aabru jaan-nisaaron ki rakh le ki vo aab-e-tegh-e-do-dam dekhte hain na maangeinge ab bosa-e-zulf tum se qasam hai tumhaari qasam dekhte hain samajhte hain sipaarah-e-bakht aashiq jo taara koi subh-dam dekhte hain shab-e-vasl mein ai 'shagufta' khushi se karam yaar kaa dam-ba-dam dekhte hain"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta
Quote
"raaz-e-makhfi tum ne meraa ghair se ifshaa kiyaa khair behtar mujh ko rusvaa kar diyaa achchhaa kiyaa kaun kahtaa hai kahe tu aa ke mere saamne kis ghaDi kis vaqt main ne aap kaa shikvaa kiyaa puchhiye mujh se na apni bazm-e-ishrat-zaa kaa haal aap to hanste rahe ghairon se main royaa kiyaa aab-e-shamshir-e-do-dam se zakhm-e-daaman-daar ke be-takalluf phuul apne jism par pahnaa kiyaa jo kahaa tum ne tamanna se bajaa laayaa use kab nahin main ne tumhaaraa ai sanam kahnaa kiyaa le liyaa sote mein bosa us but-e-chaalaak kaa ai dil-e-gustaakh tu ne kaam ye bejaa kiyaa khaaksaar-e-ishq-e-saadiq thaa zamin-e-dahr mein der tak misl-e-urus-e-nau vo sharmaayaa kiyaa ik but-e-naa-aashnaa se aashnaa kar ke mujhe hazrat-e-dil aap ne kis kis tarah rusvaa kiyaa dam hamaaraa kyaa koi thaa vaada-e-vasl-e-habib subh se taa-shaam roz-e-hijr mein TuuTaa kiyaa zer-e-khanjar khaana-e-maqtal mein vaqt-e-qatl main chehra-e-qaatil ko chashm-e-zakhm se dekhaa kiyaa hijr jaanaa main samajh kar shaahid-e-pinhaan use muddaton dard-e-jigar se dil ko bahlaayaa kiyaa hazrat-e-dil ik but-e-be-rahm par maftun hue baiThe-biThlaae shagufa aur ye paidaa kiyaa marhabaa sad-marhabaa ai sarsar-e-aah-o-fughaan aakhirash tu ne charaagh-e-zindagi ThanDaa kiyaa ai shagufta ham ne ro ro kar khayaal-e-yaar mein ashk-e-chashm-e-tar se paidaa dam-ba-dam dariyaa kiyaa"
M
Munshi Khairati Laal Shagufta