SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byWali Dakni(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tujh lab ki sifat laal-e-badakhshaan suun kahungaa jaadu hain tire nain ghazaalaan suun kahungaa di baadshahi haq ne tujhe husn-nagar ki yu kishvar-e-iraan mein sulaimaan suun kahungaa taarif tire qad ki alif-vaar sirijan jaa sarv-e-gulistaan kuun khush-alhaan suun kahungaa mujh par na karo zulm tum ai laili-e-khubaan majnun huun tire gham kuun bayaabaan suun kahungaa dekhaa huun tujhe khvaab mein ai maaya-e-khubi is khvaab ko jaa yusuf-e-kanaan suun kahungaa jaltaa huun shab-o-roz tire gham mein ai saajan ye soz tiraa mashal-e-sozaan suun kahungaa yak nuqta tire safha-e-rukh par nain bejaa is mukh ko tire safha-e-quraan suun kahungaa qurbaan pari mukh pe hui chob si jal kar ye baat ajaaib mah-e-taabaan suun kahungaa be-sabr na ho ai 'vali' is dard suun hargiz jaltaa huun tire dard mein darmaan suun kahungaa"
Wali DakniWali Dakni
Quote
"mat ghusse ke sho'le suun jalte kuun jalaati jaa Tuk mehr ke paani suun tu aag bujhaati jaa tujh chaal ki qimat suun dil nain hai miraa vaaqif ai maan bhari chanchal Tuk bhaav bataati jaa is raat andhaari mein mat bhuul paDun tujh suun Tuk paanv ke jhaanjhar ki jhankaar sunaati jaa mujh dil ke kabutar kuun baandhaa hai tiri laT ne ye kaam dharam kaa hai Tuk is ko chhuDaati jaa tujh mukh ki parastish mein gai 'umr miri saari ai but ki pujan-haari Tuk is ko pujaati jaa tujh 'ishq mein jal-jal kar sab tan kuun kiyaa kaajal ye raushni-afzaa hai ankhiyaan ko lagaati jaa tujh neh mein dil jal-jal jogi ki liyaa surat yak-baar ise mohan chhaati suun lagaati jaa tujh ghar ki taraf sundar aataa hai 'vali' daaim mushtaaq daras kaa hai Tuk dars dikhaati jaa"
Wali DakniWali Dakni
Quote
"vo naaznin adaa mein ejaaz hai saraapaa khubi mein gul-rukhaan suun mumtaaz hai saraapaa ai shokh tujh nayan mein dekhaa nigaah kar kar aashiq ke maarne kaa andaaz hai saraapaa jag ke adaa-shanaasaan hai jin ki fikr aali tujh qad kuun dekh bole yu naaz hai saraapaa kyuun ho sakein jagat ke dilbar tire baraabar tu husn haur adaa mein ejaaz hai saraapaa gaahe ai isvi-dam yak baat lutf suun kar jaan-bakhsh mujh ko teraa aavaaz hai saraapaa mujh par 'vali' hamesha dildaar mehrbaan hai har-chand hasb-e-zaahir tannaaz hai saraapaa"
Wali DakniWali Dakni
Quote
"vo sanam jab suun basaa dida-e-hairaan mein aa aatish-e-ishq paDi aql ke saamaan mein aa naaz detaa nahin gar rukhsat-e-gul-gasht-e-chaman ai chaman-zaar-e-hayaa dil ke gulistaan mein aa aish hai aish ki us mah kaa khayaal-e-raushan shama raushan kiyaa mujh dil ke shabistaan mein aa yaad aataa hai mujhe vo do gul-e-baagh-e-vafaa ashk karte hain makaan gosha-e-daamaan mein aa mauj-e-betaabi-e-dil ashk mein hui jalva-numaa jab basi zulf-e-sanam tab-e-pareshaan mein aa naala-o-aah ki tafsil na puchho mujh suun daftar-e-dard basaa ishq ke divaan mein aa panja-e-ishq ne betaab kiyaa jab suun mujhe chaak-e-dil tab suun basaa chaak-e-garebaan mein aa dekh ai ahl-e-nazar sabza-e-khat mein lab-e-laal rang-e-yaaqut chhupaa hai khat-e-raihaan mein aa husn thaa parda-e-tajrid mein sab suun aazaad taalib-e-ishq huaa surat-e-insaan mein aa shaikh yahaan baat tiri pesh na jaave hargiz aql kuun chhoD ke mat majlis-e-rindaan mein aa dard-mandaan ko ba-juz dard nahin said muraad ai shah-e-malk-e-junun gham ke bayaabaan mein aa haakim-e-vaqt hai tujh ghar mein raqib-e-bad-khu dev mukhtaar huaa mulk-e-sulaimaan mein aa chashma-e-aab-e-baqaa jag mein kiyaa hai haasil yusuf-e-husn tire chaah-e-zanakhdaan mein aa jag ke khubaan kaa namak ho ke namak-parvarda chhup rahaa aa ke tire lab ke namak-daan mein aa bas ki mujh haal suun ham-sar hai pareshaani mein dard kahti hai miraa zulf tire kaan mein aa gham suun tere hai tarahhum kaa mahal haal-e-'vali' zulm ko chhoD sajan sheva-e-ehsaan mein aa"
Wali DakniWali Dakni