SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byZain(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aashiq hue the jo kahin rusvaa nahin huun main main mar gayaa huun aap pe zinda nahin huun main kyaa be-khudi mein khidmat-e-mai-khaana ho sake pir-e-mughaan se taalib-e-sahbaa nahin huun main saaqi hanse hai kyaa mujhe do-tin de ke jaam pi kar khum-e-sharaab hi bahkaa nahin huun main kyaa ghaT ke laaghari se haqiqat mein baDh gayaa nazron mein jo kisi ki samaataa nahin huun main 'aarif' mire kalaam ko insaaf kar ke dekh fann-e-sukhan mein ham-sar-e-‘saudaa’ nahin huun main"
ZainZain
Quote
"qaail bhalaa hon naama-bari mein sabaa ke khaak phirti hai vo bhi galiyon mein aksar uDaa ke khaak kahtaa huun soz-e-dil se ki kar chuk jalaa ke khaak ek baat par jo yaar ne jaani uThaa ke khaak kyaa kaanptaa hai naala-e-sozaan se ai falak jab baat thi ki mujh ko kiyaa ho jalaa ke khaak paani nikal ke dasht mein jaari hai jaa-ba-jaa yaa-rab gayaa hai kaun ye sar par uDaa ke khaak daaman uThaa uThaa ke jo bachtaa huaa chalaa kyuun hovein mar ke kuche mein is bevafaa ke khaak rizvaan abir-e-khuld se badlun na zinhaar khushbu hai kuche mein vo mire mah-laqaa ke khaak 'aarif' ko yaaro ham to samajhte the ahl-e-din dariyaa mein log aae hain us ki bahaa ke khaak"
ZainZain
Quote
"har ghaDi chalti hai talvaar tire kuche mein roz mar rahte hain do chaar tire kuche mein haal sar kaa mire zaahir hai tire kyaa kiije koi saabit bhi hai divaar tire kuche mein shakl ko kyunki na har dafa badal kar aauun hain miri taak mein aghyaar tire kuche mein gham se badli hai miri shakl to be-khauf-o-khatar din ko bhi aate hain sau baar tire kuche mein na kare su-e-chaman bhuul ke bhi rukh hargiz aan kar bulbul-e-gulzaar tire kuche mein naragistaan na samajh kholi hui aankhon ko hain tire taalib-e-didaar tire kuche mein laae jab ghar se to behosh paDaa thaa 'aarif' ho gayaa aan ke hoshiyaar tire kuche mein"
ZainZain
Quote
"tum jo kahte ho ki aaveinge tire haan kal tak kaun jiitaa hai judaai mein miri jaan kal tak tere vahshi kaa agar khaak uDaanaa hai yahi kahin DhunDaa bhi na paavegaa bayaabaan kal tak kuchh bhi kahte hain jaraahat ki mere ai hamdam iktifaa kyunki kare ek namak-daan kal tak duur se gar use tasvir dikhaa duun teri aap mein aave na phir shaahid-e-kanaan kal tak khaak mein aaj vo sar Thokarein khaate hain paDe jo imaarat kaa kiyaa karte the saamaan kal tak dil lagaati hai abas apne liye ai bulbul DhunDe paavegi na gul-haa-e-gulistaan kal tak kyaa nazar kaam kare us ke dahan par 'aarif' laakh dekhaa kare ye dida-e-hairaan kal tak"
ZainZain
Quote
"us pe karnaa mire naalon ne asar chhoD diyaa mujh ko ek lutf ki kar ke jo nazar chhoD diyaa saunp kar khaana-e-dil gham ko kidhar jaate ho phir na paaoge agar us ne ye ghar chhoD diyaa ashk-e-sozaan ne jalaae mire laakhon daaman ponchhnaa main ne to ab dida-e-tar chhoD diyaa bakhiya-gar jal gayaa kyaa haath tiraa sozish se karte karte jo rafu chaak-e-jigar chhoD diyaa gulshan-e-dahr mein khaami ne bachaayaa ham ko dekh kar khaam kudurat ne samar chhoD diyaa le gae saamne haakim ke mire qaatil ko is ko us ne bhi samajh khun-e-pidar chhoD diyaa nek o bad kuchh nazar aataa nahin vo vahshat hai parda ghaflat kaa mire pesh-e-nazar chhoD diyaa kucha-e-zulf ko katraa ke gayaa dil rukh par us ne vo rasta-e-pur-khauf-o-khatar chhoD diyaa ai falak khaana-kharaabi ki hai parvaa kis ko dasht mein rahte hain muddat hui ghar chhoD diyaa mujh pe ehsaan sabaa kaa hai ki kuche mein tire khaak ko meri sar-e-raahguzar chhoD diyaa mujh ko ai aah taajjub hai ki kaashaana-e-ghair kal shab-e-hijr ne barsaa ke sharar chhoD diyaa bhar gayaa dil miraa ek chiiz ko khaate khaate khun-e-dil khaaeinge ab khun-e-jigar chhoD diyaa bojh se aap hi mar jaaegaa kyuun ho badnaam ye samajh kar but-e-saffaak ne sar chhoD diyaa nahin tir-e-nigah-e-yaar se bachnaa mumkin kal hai maujud vo din aaj agar chhoD diyaa aa gayaa dil mein jo aalam kaa musakhkhar karnaa zulf ko chehre pe hangaam-e-sahar chhoD diyaa ye nahin hai rah-e-but-khaana kidhar jaanaa hai aaj se ham ne tiraa saath khizar chhoD diyaa kar diyaa tiron se chhalni mujhe saaraa lekin khuun hone ke liye us ne jigar chhoD diyaa saath dekhaa thaa use kal to tere ai majnun aaj us 'aarif'-e-vahshi ko kidhar chhoD diyaa"
ZainZain
Quote
"is dar pe mujhe yaar machalne nahin dete armaan mire ji ke nikalne nahin dete dam dam mein khabar pahunche hai jo aane ki apni hai jaan labon par vo nikalne nahin dete aashob-e-qayaamat se zi-bas khauf hai sab ko do chaar qadam bhi unhein chalne nahin dete jaataa hai safaa-e-rukh-e-dildaar pe jab dil maqdur tak apne to phisalne nahin dete aadat mein karo farq na tum apni nigah se kyuun zahr use aaj ugalne nahin dete vo parda-nashini ki riaayat hai tumhaari ham baat bhi khalvat se nikalne nahin dete ye dast-basar rahne kaa 'aarif' vo mahal hai us jaa kaf-e-afsos bhi malne nahin dete"
ZainZain