Shayari
vaa'da amir-e-shahr kaa dariyaa-dili kaa thaa
dekh un kaa faiz shahr ko dariyaa banaa diyaa
ek hijrat bhi kam nahin hoti
aankh kis kis ki nam nahin hoti
ایک ہجرت بھی کم نہیں ہوتی
آنکھ کس کس کی نم نہیں ہوتی
एक हिजरत भी कम नहीं होती
आँख किस किस की नम नहीं होती

vaa'da amir-e-shahr kaa dariyaa-dili kaa thaa
dekh un kaa faiz shahr ko dariyaa banaa diyaa
aisaa nahin ki main koi gumnaam shakhs huun
sab jaante hain mujh ko main ik ‘aam shakhs huun
urdu mein baat kijiye urdu mein boliye
haq hai zabaan kaa pyaar kaa ras is mein gholiye
hijr mein ik maah ke aansu hamaare gir paDe
aasmaan TuuTaa shab-e-furqat sitaare gir paDe
shab-e-hijr kaa maajraa koele se
likhaa jaa ke main us ke divaar-o-dar par
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
abhi se tujh ko paDi hai visaal ki miri jaan
abhi to hijr ne unvaan hi nahin paayaa
hijr kaa maaraa huun Table par yahi sab paaoge
adh-likhe khat bikhraa album aur khaali botalein
daaman pe loTne lage gir gir ke tifl-e-ashk
roe firaaq mein to dil apnaa bahal gayaa