Shayari
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
بہت دنوں میں محبت کو یہ ہوا معلوم
جو تیرے ہجر میں گزری وہ رات رات ہوئی
बहुत दिनों में मोहब्बत को ये हुआ मा'लूम
जो तेरे हिज्र में गुज़री वो रात रात हुई

na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
qafas vaalon ki bhi kyaa zindagi hai
chaman duur aashiyaan duur aasmaan duur
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo bhi hamaare naam se begaane ho gae
ham ko bhi sach hai un se mohabbat nahin rahi
aisaa nahin ki un se mohabbat na ho magar
pahle saa josh pahle si shiddat nahin rahi
mohabbat ki bhi kyaa hotin nahin ai ham-nashin raahein
ki khubaan yuun hamein dukh dein, ham un ko is tarah chaahein