Shayari
vo ab bhi dil dukhaa detaa hai meraa
vo meraa dost hai dushman nahin hai
kyaa bharosa zindagi kaa ham karein
aaj ham mein jaan hai kal ho na ho
کیا بھروسہ زندگی کا ہم کریں
آج ہم میں جان ہے کل ہو نہ ہو
क्या भरोसा ज़िंदगी का हम करें
आज हम में जान है कल हो न हो

vo ab bhi dil dukhaa detaa hai meraa
vo meraa dost hai dushman nahin hai
tumhaare saath rahne ke liye bhi
hamein koi bahaana chaahiye ab
us ne puchhaa hai kyaa mohabbat hai
ab bhalaa kyaa javaab duun us ko
ek din lauT kar main aaungaa
ho sake intizaar kar lenaa
teraa afsaana chheD kar koi
aaj jaagegaa raat-bhar koi
vo mire saath yuun rahaa jaise
kaaTtaa ho koi sazaa jaise
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTti hai umr
itni aasaani se to baab-e-hunar khultaa nahin
zindagi sundar ghazal hai dosto
zindagi ko gungunaanaa chaahiye
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai