Shayari
sahraa mein base sab divaane shahron mein bhi mahshar hai barpaa
allaah tiri is khilqat se baaqi na rahaa viraana tak
main hikaayat-e-dil-e-be-navaa mein ishaarat-e-gham-e-jaavidaan
main vo harf-e-aakhir-e-motabar jo likhaa gayaa na paDhaa gayaa
میں حکایت دل بے نوا میں اشارت غم جاوداں
میں وہ حرف آخر معتبر جو لکھا گیا نہ پڑھا گیا
मैं हिकायत-ए-दिल-ए-बे-नवा में इशारत-ए-ग़म-ए-जाविदाँ
मैं वो हर्फ़-ए-आख़िर-ए-मोतबर जो लिखा गया न पढ़ा गया

sahraa mein base sab divaane shahron mein bhi mahshar hai barpaa
allaah tiri is khilqat se baaqi na rahaa viraana tak
is qadar naaz na kiije ki buzurgon ne bahut
baarhaa bazm-e-khud-aaraai sajaai hui hai
rah gayaa dard dil ke pahlu mein
ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui
kaisi hain aazmaaishein kaisaa ye imtihaan hai
mere junun ke vaaste hijr ki ek raat bas
is qadar Duube gunaah-e-ishq mein tere habib
sochte hain jaaeinge kis munh se tauba ki taraf
kuchh khud mein kashish paidaa kar lo ki mahfil tum se aankh bhare
ye chaal baDe ayyaar ki hai ye chaal na khaali jaaegi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
is nae saal ke svaagat ke liye pahle se
ham ne poshaak udaasi ki silaa ke rakh li
ab to vahaan hain jis kaa bayaan bhi hai laa-vajud
sadmon pe haae haae kare ab vo dil kahaan
khud ko bachaaun jism sambhaalun ki ruuh ko
bikhraa huaa hai dard yahaan se vahaan talak