Shayari
sahraa mein base sab divaane shahron mein bhi mahshar hai barpaa
allaah tiri is khilqat se baaqi na rahaa viraana tak
is qadar Duube gunaah-e-ishq mein tere habib
sochte hain jaaeinge kis munh se tauba ki taraf
اس قدر ڈوبے گناہ عشق میں تیرے حبیب
سوچتے ہیں جائیں گے کس منہ سے توبہ کی طرف
इस क़दर डूबे गुनाह-ए-इश्क़ में तेरे हबीब
सोचते हैं जाएँगे किस मुँह से तौबा की तरफ़

sahraa mein base sab divaane shahron mein bhi mahshar hai barpaa
allaah tiri is khilqat se baaqi na rahaa viraana tak
is qadar naaz na kiije ki buzurgon ne bahut
baarhaa bazm-e-khud-aaraai sajaai hui hai
rah gayaa dard dil ke pahlu mein
ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui
kaisi hain aazmaaishein kaisaa ye imtihaan hai
mere junun ke vaaste hijr ki ek raat bas
shukriyaa tum ne bujhaayaa miri hasti kaa charaagh
tum sazaa-vaar nahin tum ne to achchhaai ki
kuchh khud mein kashish paidaa kar lo ki mahfil tum se aankh bhare
ye chaal baDe ayyaar ki hai ye chaal na khaali jaaegi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil kaa sahaaraa hai
bhaarat pyaaraa desh hamaaraa sab deshon se pyaaraa hai
gulzaar-e-mohabbat mein na phule na phale ham
maanind-e-chinaar aag mein apni hi jale ham
'ishq mein jal jal ke kundan ban gayaa huun sar-basar
ab bhi kyaa meraa khudaa dozakh mein Daalegaa mujhe
be-shak asir-e-gesu-e-jaanaan hain be-shumaar
hai koi ishq mein bhi giraftaar dekhnaa