Shayari
ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaayaa
har kirdaar ke andar ek kahaani hoti hai
ye kah diyaa hai mire aansuon ne tang aa kar
hamein ba-vaqt-e-zarurat nikaaliye saahab
یہ کہہ دیا ہے مرے آنسوؤں نے تنگ آ کر
ہمیں بوقت ضرورت نکالئے صاحب
ये कह दिया है मिरे आँसुओं ने तंग आ कर
हमें ब-वक़्त-ए-ज़रूरत निकालिए साहब

ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaayaa
har kirdaar ke andar ek kahaani hoti hai
daalaan mein sabza hai na taalaab mein paani
kyuun koi parinda miri divaar pe utre
zaraa ye dusraa misraa durust farmaaein
mire makaan pe likkhaa hai ghar baraae-farokht
bhaav taao mein kami beshi nahin ho sakti
haan magar tujh se kharidaar ko naa kaise ho
ik vaDera kuchh maveshi le ke baiThaa hai yahaan
gaanv ki jitni bhi aabaadi hai aabaadi nahin
isi liye hamein ehsaas-e-jurm hai shaayad
abhi hamaari mohabbat nai nai hai naa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
sukut tark-e-taalluq kaa ik garaan lamha
banaa gayaa hai sadaaon kaa silsila mujh ko
ghar ke dukhDe shahr ke gham aur des bides ki chintaaein
in mein kuchh aavaara kutte hain kuchh ham ne paale hain