Shayari
ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaayaa
har kirdaar ke andar ek kahaani hoti hai
isi liye hamein ehsaas-e-jurm hai shaayad
abhi hamaari mohabbat nai nai hai naa
اسی لیے ہمیں احساس جرم ہے شاید
ابھی ہماری محبت نئی نئی ہے نا
इसी लिए हमें एहसास-ए-जुर्म है शायद
अभी हमारी मोहब्बत नई नई है ना

ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaayaa
har kirdaar ke andar ek kahaani hoti hai
daalaan mein sabza hai na taalaab mein paani
kyuun koi parinda miri divaar pe utre
zaraa ye dusraa misraa durust farmaaein
mire makaan pe likkhaa hai ghar baraae-farokht
bhaav taao mein kami beshi nahin ho sakti
haan magar tujh se kharidaar ko naa kaise ho
ik vaDera kuchh maveshi le ke baiThaa hai yahaan
gaanv ki jitni bhi aabaadi hai aabaadi nahin
ye kah diyaa hai mire aansuon ne tang aa kar
hamein ba-vaqt-e-zarurat nikaaliye saahab
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai